Sarkari Yojna

AP Ration Card List 2020 – Check EPDS Ration Card Status @epdsap.ap.gov.in

AP Ration Card List
Written by A to Z Classes

AP Ration Card List 2020:- Andhra Pradesh ke sabhi aavedak jinhone naye Ration Card ke liye aavedan kiya tha, Ve AP Ration Card status check kar sakte hai. Iske sath hi aap AP Rice Card List me apna naam check kar sakte hai. Is post me aap sabhi ko in sabhi prakriyao ke bare me detail jankari epdsap.ap.gov.in official website par online madhyam se pradan karenge.

Iske sath hi aap Andhra Pradesh Ration Card List bhi download kar sakte hai. Kisi bhi Rajya ke dwara jari kiya gaya Ration Card ek bahut hi jaruri documents hai. Bharat me rahne vale pratyek nagrik ke liye Ration Card ek bahut hi mahtvpurn document hai. Jiske madhyam se Sarkari dukhan se uchit mulya aur sasti daro par bhojan aur any suvidhaye pradan karta hai.

Any Rayjon ki tarah, Andhra Pradesh Sarkar dwara parivar ke sadsayo ki sankhya aur aarthik sthiti ke aadhar par Ration Card pradna kiye jate hai. Iske alava AP Rice Card, ko Rajya sarkar ke dwara ek pilot project ke rup me bhi shuru kiya gaya hai. AP Rice Card ke tahat, Safed ration cardholders apne aavedan ki sthiti online bhi dekh sakte hai.

Andhra Pradesh Ration Card 2020

Bharat me garib aur aarthik rup se kamjor parivaro ko sasti daro par food items uplabdh karane ke udeshya se Ration card ki vyavstha hai. Andhra Pradesh ke log ration card ke madhyam se kai any suvidhao ka labh prapt kar sakte hai.

Is prakriya ke tahat, Andhra Pradeh Sarkar ne 14th February 2020 se purane ration card ko naye Chaval card ke sath badlana shuru kar diya hai. Rajya Sarkar naye AP Rice Card ke sath 1,29,00,000 ration cards ko badlane ki taiyari kar rahi hai. Food and Civil Supplies Andhra Pradesh ke anusar, 18 lakh labharthi sandigdh paye gaye hai.

Andhra Pradesh Public Distribution System ke tahat in sandigdh labharthi ko labh se vanchit karne ke liye ab Food and Civil Supplies Department ka naya vibhag shuru karne ja raha hai. Jiske tahat 18 Lakh sandigdh ki pahchan ki jayegi. Door-to-door survey me ek volunteer ke dwara AP Rice Card ke labharthi ki pahchan ki jayegi.

Price of Commodity for Consumer on Ration Card

Bharat me sabhi rajyo parivar aur aarthik sthiti me sadsayo ki sankhya ke aadhar par garib logo ko riyati kimar par sabhi food items ki uplabdhta sunischit karte hai. Yaha hamne aap sabhi ko Ration card ke madhyam se gairb parivaro ko kitni food items pradan karti hai, Uski jankari pradan kar rahe hai:-

CommodityDistributed per MonthPrice for Consumers (Per kg)
Rice to AAY35 Kg per cardRs.1.00/-
Rice to Annapurna card10 Kg per cardsFree of cost
Rice to priority/ white cards5 Kg per unit in ration card 
Wheat Atta1 Kg per BPL cardRs.16.50/-
Sugar 1 Kg per AAY cardRs.13.50/-
½ kg per ANP & WAP/PHH card10.00/- (1/2 Kg) 
Red gram dal2 Kg per BPL cardRs.40.00/-
D.F salt1 kg12.00/-
Ragi (Millet) (ATP and CTR districts)Up to 3 Kg per card (in lieu of rice)Rs.1.00/-
JowarUp to 2 Kg per card (in lieu of rice)Rs.1.00/-

How To See AP Ration Card Beneficiary List?

Andhra Pradesh ke sabhi nagrik jinhone online yaa offline madhyam se Ration Card ke liye aavedan kiya tha, Ve abhi AP Ration Card Beneficiary List me apna naam check kar sakte hai:-

  • Sabse pahle niche ke diye gaye link se AP Civil Supplies Department’s ke official site par visit kare.
  • https://epds1.ap.gov.in/epdsAP/epds
  • Iske home page par District name choose karna hai.
  • Iske bad aapko Mandal select karna hai.
  • Jiske bad aapke samne district-wise Rice Card beneficiary list show ho jayega.

Check AP Ration Card Application Status Online

AP Ration Card Application status check karne ke liye niche diye gaye link aur bataye gaye Steps ko follow kar sakte hai.

  • Yaha iske homepage se Public Report ke tab par click kare.
  • Public report ke tisre option me aap sabhi ko Ratio card Status ke link par click kare.
  • Aur fir aap apna Ration Card no. dalkar Status check kar sakte hai.

How To Apply Online For AP Rice Card?

Aap sabhi AP Rice card online banba sakte hai, Yadi aap Ration card Application form bharna chahte hai, To aap avedan offline aur online dono prakriya se kar sakte hai.

Agar aap Online madhyam se AP Ration Card ke liye avedan karna chahte hai, To aap sabhi niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai:-

  • Sabse pahle Andhra Pradesh Civil Supplies department ke official site par visit kare.
  • Iske alava aap Meeseva portal par bhi online avedan kar sakte hai.
  • Ab iske homepage par Application Form for Ration Card ke link par click kare.
  • Form me apni sabhi jankari pradan kare.
  • Form bharne ke bad submit button par click kar den.
  • Jiske bad aapko ek Refrence numbr diya jayega.
  • Jiska upyog aap sabhi future me kar sakte hai.

Check Transaction History

Ration Card Transaction History check karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare:-

  • Niche diye gye link se iske official site par visit kare.
  • https://epdsap.ap.gov.in/epdsAP/epds
  • Iske homepage par aapko transaction history check karne ke liye box diya gaya hai.
  • Jisme aap apna ration card no. enter kar sakte hai.

Civil Supplies Department Official Website

Helpline Desk

Helpline Phone Number – 040-23494808 / 822 or 1967

Email ID – pds-ap@nic.in

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment