Sarkari Yojna

Ayushman Bharat Yojana की New List यहाँ से देखें, आपको फायदा मिलेगा या नहीं?

PMJAY
Written by A to Z Classes

Ayushman Bharat Yojna List 2023:- Desh ke Pradhan Mantri Shree Narendra Modi Ji ke dwara chalai gyi Ayushman Bharat Yojna jo Bharat ke sabhi mahatvapurn Yojnao me se ek hai. Is Yojna ke tahat Bharat ke lagbhag 50 Crore se jyada hi nagriko ka Aavedan Form jama kiya gya hai, Jiska List Kendra Sarkar dwara online jaari kar di gyi hai. Isliye is article me Ayusham Bharat Yojna List 2023 online check karne ke liye puri jankari hindi me diya ja raha hai. Agar aap is Yojna ke liye aavedan kiye hain to is post ko last tak padhkar kafi aasani se Ayushman Bharat Yojna List ko check karke pata kar sakte hain ki aapka naam List me aaya hai ya nahi.

To Jin logo ne AYUSHMAN BHARAT YOJNA ke antargat Health Insurance ka labh uthane ke liye Application Form bhar chuke hain to iske official website par jakar Online Labharthi List me apna naam dekh sakte hain, Aur PM Ayushman Bharat Yojna New Labharthi List PDF Form me online download bhi kar sakte hain. Jiska official portal ka link is page me niche provide karaya gya hai.

Ayushman Bharat Yojna New List 2023

Aapko bata den ki Ayushman Bharat Yojna ko launch karne ke baad iska naam Pradhanmantri Jan Arogya Yojna bhi diya gya hai, Jabki is Yojna me paper work bahut kam hai. Isme Patient ko kis bhi Private ya Sarkari Hospital me Treatment karbane par bhugtan nahi karna padta hai, Jiske liye aapke pass Ayushman Bharat Card hona aavashyak hai.

Agar aapne bhi Is Yojna ke liye aavedan kiya hai to aap iske List ko online check kar sakte hain, Aur check karne ke baad agar aapka aur aapke sabhi family ka naam is Pradhan Mantri Jan Arogya Yojna List me hai. Tab aap Medical Treatment ke liye kisi bhi Listed Hospital me 5 Lakh Rupaye ka labh utha sakte hain.

Desh ke jo bhi ichhuk labharthi Ayusham Bharat Yojna New List apne ghar baithe internet ke madhyam se Pradhan Mantri Ayushan Bharat Yojna ke official portal par jakar List me apna naam online check kar sakte hain. Labharthi ka New List me naam rahne par unhe 5 Lakh Rupaye tak ka Health Insurance pradan ki jayegi.

Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana List 2023 Highlights

Name of the SchemeAyushman Bharat Yojna 2023
Started byPrime Minister Narendra Modi
BeneficiaryCountry People
Objective5 Lakh Rupaye ka Health Insurance Prdan Karna
Check ListOnline
Official Websitehttps://pmjay.gov.in/

Benefits of Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana List 2023

  • PM Ayushman Bharat List me apna naam apne Mobile Phone ke madhyam se online check kar sakte hain.
  • Aur is Yojna ke tahat diye jane bale Labh par Claim karne ke liye aap apne anubhav bale Hospital ya Community Service Center me pahachan kar sakte hain.
  • PM Jan Arogya Yojna List me jinka naam aayega unhe Surgery, Medical and Daycare Treatments, Medicines ki Cost and diagnosis ko cover karne bale 1350 Medical Package pradan ki jayegi.
  • Bhartiyo Nagriko ko is Yojna ke tahat 5 Lakh Rupaye tak ka Health Insurance pradan ki jayegi.
  • Desh ke log is Yojna ke antargat sirf Sarkar dwara Listed Hopital me apna ilaaj karba sakte hain.

प्रधानमंत्री आयुष्मान भारत योजना की शुरुआत कब हुआ?

Pradhanmantri Ayushman Bharat Yojna ki shuruaat 25 September 2018 ko Bharat Sarkar Shree Narendra Modi Ji ke dwara kiya gya hai. Jo ki Government of India ne Tweet karte huye kaha ki is Yojna ke tahat abhi tak 1 Crore se adhik Labharthiyon ko labh pahuchaya ja chuka hai. Aur is Yojna ke tahat desh ke garib parivaro ko Yearly 5 Lakh Rupaye ki Health Insurance ki sahayata pradan kiya ja raha hai.

Pradhanmantri Ayushman Bharat Yojna ka labh uthakar Desh ke Nagrik apni kisi bhi bimarion ka ilaaj Listed Hospital me Free me karba sakte hain. Is Yojna me Bharat Sarkar dwara diye gye nirdesh ke anusar 10 Crore se jyada Labharthiyon ko shamil ki jayegi aur in sabhi ko Government and Private Hospitals me free me health sevaon ka labh milega. Abhi tak jo labharthi is Yojna ke liye Registration nahi karbaye hain ve apne najdiki Common Service Center (CSC) me jakar Registration karba sakte hain.

Ayushman Bharat List Kaise Check Kare?

Pradhan Mantri Jan Arogya List iske official website se online check karne ke liye niche bataye gye sep ko follow kar sakte hain.

  • Sabse pahle Yojna ke official website par jana hoga.
  • Iske home page se aapko Am I Eligible bale option par click karna hai.
  • Click karne ke baad Log.in page open ho jayega.
  • Jisme aapko apna Mobile Number enter karke OTP par click karna hoga.
  • Ab aapke Mobile par ek OTP aayega jise aap enter karen.
  • Iske baad aapke samne ek page open ho jayega.
  • Apna naam check karne ke liye diye gye option par click karne.
  • Ration Card No, Labharthi Name, Register Mobile No. kisi ek se check kar sakte hain.
  • Iske baad puchhi gyi sabhi details ko bharna hoga.
  • Ab aapke screen par Ayushman Bharat Yojna List show ho jayega.

Official Website:- Click Here

Important Links

ऑनलाइन PM-JAY लाभार्थी सूची देखेंयहाँ क्लिक करें
ऑफिसियल वेबसाइटयहाँ क्लिक करें

अस्पताल में भर्ती होने से पहले जरूरी दस्तावेज

  • Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Ration Card
  • Ayushman Card
  • Caste Certificate
  • E-card

PM Ayushman Yojana

PM Ayushman Yojna ke labharthi ko apna Golden Card banbana hoga, Isi Golden Card ki shayata se Desh ke garib log Hospital me 5 Lakh Rupaye ka Free me apna ilaaj karba sakte hain. Lekin Labharthi usi Hospitals me Treatment karba sakte hain jo Kendra Sarkar dwara select ki gyi hai.

Aur is Yojna ke antargat desh ke jo bhi log aavedan kye hain ve Labharthi List me apna naam online check kar sakte hain. Onlne check karne me kisi prakar ki problem aati hai to comment box ke jariye puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment