Jankari

Bank PO Salary 2020 Hindi Me- Check SBI and IBPS Bank Basic and Gross Salary

bank po salary kya hai
Written by A to Z Classes

Bank PO Salary 2020:- Yadi aap bhi Banking Sector me Job ke liye prayas kar rahe hai, To aapko bhi pata hoga PO (Probationary Officers) sabse adhik mang kiye jane bala Job hai. Ek Probationary Officiers (PO) bank me Scale I ka Assisant Manager hota hai. Ise lekar kai Candidate sabse pahle iska Salary janne chahte hai. To is Post me aap sabhi ke liye SBI, Co-operative, and Private Bank me kam karne bale PO ki Basic and Gross Salary batane ja rahe hai.

Aapko bata den PO (Probationary Officer) ko bank me finance, accounting, billing, investment, revenue collection ke kamo ke liye rakha jata hai. Candidates PO me selection criteria ke bad Institute of Banking Management me Training program se gujarte hai, Jaha unko PO se related sare kam sikhaye jate hai.

To aayie jante hai Candidates ke dwara Bank me sabse jyada pasand kiye jane bala PO ki SBI, IBPS, Co-operative, and Private Bank me Salary kitni hoti hai. Aap niche se tino Sectors ke Bank ka salary dekh sakte hai.

SBI Bank PO Salary 2020

State Bank of India me PO ka basic Salary 27,620/ – ( Char advance increments ke sath) 23700-980/7-30560-1145/2-32850-1310/7-42020 ke paimane par. Iske sath SBI Bank ke PO ko H.R.A (House Rent Allowances), D.A (Dearness Allowances), C.C.A (City Compensatory Allowances), T.A (Travel Allowances), Medical aur any Sarkari Bhatte(Allowance) ko pradan kiye jate hai.

State Bank of India me ek PO ko lagbhag 8.20 Lakhs minimum aur maximum 13.08 Lakhs prati varsh Kamata hai.

Atirikt labh ke rup me, SBI PO ke liye 100% medical insurance aur family members ke liye 75% medical insurance muhaiya karata hai. Bank PO ke liye kuch chijo me Cashless treatment provide karta hai. Jaise ki Newspaper Allowances, Books aur Magazine Allowances, Petrol Allowances, House Maintenance Allowances, Telephone Bill Reimbursement, Entertainment Allowances, House Loan, Car Loan and Personal Loan bhi provide karta hai.

SBI PO Career Growth and Promotion Structure:-

  • – Probationary Officer
  • – Deputy Manager
  • – Manager
  • – Chief Manager
  • – Assistant General Manager
  • – Deputy General Manager
  • – General Manager
  • – Chief General Manager

IBPS PO Salary 2020

Institute of Banking Personnel and Selection ek pramukh governing body hai jo har saal Public Bank me Qualified Candidate ko bharti karta hai. IBPS PO candidates ke bich sabse adhik mang bale pado me se ek hai. Kyunki yah Bank me pravesh karne aur ek Officier ke rup me kam karne ka pahla kadam hai.

IBPS PO ka basic salary 23,700 Rupee hai, Aur gross salary 36,570 Rupee hai. Basic salary ke alava IBPS me PO ko any bhatte aur labh prapt hote hai. Jise ki Leased accommodation, traveling Allowances, Medical Aid, Newspaper Reimbursement, etc.

Salary Details of IBPS PO:

  • – Basic Pay: 23,700 Rupees.
  • – Special Allowances: 1836.75 Rupees.
  • – DA (Dearness Allowances): 10,163.63 Rupees.
  • – CCA (City Compensatory Allowances): 870 Rupees.
  • – HRA (Home Rent Allowances): 2133 Rupees.
  • – Gross with HRA: 38,703.38 Rupees.
  • – Medical Aid: 8,000 Rupees.
  • – Entertainment: 500 Rupees.
  • – Newspaper: 300 Rupees.
  • – Petrol: 3000 Rupees.
  • – Telephone: 400 Rupees.
  • – Canteen Subsidy: 400 Rupees.
  • – Pension Contribution: 2500 Rupees.
  • – Gross Annual CTC: 5,57,640 Rupees.

Co-operative Bank PO Salary 2020

Kisi bhi Sarkari Bank ka salary any Bank PO jitna achha nahi hai. Co-operative Bank Society bank jaisa adhik hai. Jo Reserve Bank of India ke dwara sanchalit kiya jata hai. Co-op Bank me basic salary 30,000 rupees hai.

Pratyek Rajya ka apna Co-operative Bank hota hai, Aur ye mukhya rup se small industry aur self-employed workers ki seva karte hai. Yah Bank Co-operative Societies Act, 1912 ke tahat register hai. Co-operative bank PO ka salary alag alag rajyon me alag alag hota hai.

Private Bank PO salary 2020

Adhikansh Private Banks jaise Axis Bank, Yes Bank, HDCF Bank, etc. mamuli antro k sath salary structure ka palan karte hai. Aayie ek niji bank ka example lete hai. Sabhi private banks me ICICI Bank highest-ranked private bank me se ek hai. Halanki public sector ke bank jaise SBI ki tulna me ICICI ke salary structure kafi kam hai.

Aisa kahe ki ICICI Bank me PO ki job karne bale candidates ko SBI ki tulana me Half salary milta hai. Public Sector bank jaise ICICI Bank me PO ka Salary 34,561 rupees prati mahina hai, Yani ki prati varsh 4 Lakhs se adhik.

PO Salary of ICICI bank:-

  • Basic Pay: 11,000 Rupees.
  • House Rent Allowance: 5000 Rupees.
  • Conveyance Allowance: 2500 Rupees.
  • Superannuation Allowance: 1650 Rupees.
  • Leave Travel Allowance: 2000 Rupees.
  • Additional HRA Allowance: 3125 Rupees.
  • Canteen: 1300 Rupees.
  • Medical: 1250 Rupees.
  • PF & Gratuity: 2236 Rupees.
  • Performance Pay: 45,000 Rupees.

To jaisa ki aapne upar Post me dekha ki SBI, IBPS, Co-operative, and Private Bank jaise banks me PO ki kitni salary hoti hai, Iske bare me puri jankari di gayi hai. Halanki Salary hamesa candidate ke hath me nahi hota, Yaha Company ke overall cost par depend on karta hai. PO bank sector me sabhi labh aur bhatte ko dhyan me rakhkar sabse achii Job hai.

Isliye aap apne Preparation pe dhayn de aur banking sector me aane bale Oppurtunity se Job prapt kare.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment