Bihar BSSC

BSSC Inter Level Mains Exam Date 2020 | जाने कब होगा BSSC इंटर लेवल-1 की परीक्षा

Bihar BSSC Inter Level 1st Mains Exam Date 2020:- Hello Friends, Bihar Staff Selection Commission (BSSC) Mains Exam Date 2020 ka wait kar rahe Candidates ke liye good news hai ki BSSC ne Inter Level 1st Mains Exam 2020 ke liye Official Notification jaari kar diya hai. BSSC 1st Inter Level Mains Exam 2020 me shamil hone bale Candidates iske official website www.bssc.bih.nic.in par jakar official notification ko check kar sakte hain.

Lekin is post ke madhyam se bata den ki BSSC ke dwara jaari official notification ke anusar Inter Level 1st Mains Exam 18 October 2020 ko aayojit ki jayegi. Jo bhi Candidates Prelims Exam paas kar chuke hain, Aur Mains Exam ke liye Application Form bhar chuke hain, To vah 18 October ko hone baali Examination me shamil ho sakte hain.

Aur is Bharti ki Advertisement Number – 06060114 ke anusar Bihar Staff Selection Commission ke Various Post par 13,000 se adhik qualified Candidates ko Select kiya jayega. Jiski Preliminary Competition Examination-2014 Six Stages me 8 / 9 aur 10 December 2018 ko Various Exam Centers par aayojit ki gayi thi. Aur iska Result 14 February 2020 ko official website par jaari kiya gya tha.

Result jaari karne ke baad Prelims Exam me Paas hone bale Candidates ko Mains Exam ke liye 16 March 2020 tak Online Application Form bharne ka samay diya gya tha. To jinhone bhi Mains Exam ke liye Aavedan kiya hai, Ve ab 18 October 2020 ko hone bali Exams me shamil ho sakte hain. Jiski aur bhi adhik jankari is page me niche share kiya gya hai.

BSSC Inter Level Mains Exam Date 2020

Jo bhi Candidates Prelims Exam Pass kar Inter Level 1st Mains Exam 2020 ke liye Application Form bhar chuke hain, Aur Exam Date ka wait kar rahe hain. To iske liye 3 September 2020 ko BSSC Inter Level Mains Exam ke liye Official Notification jaari kar diya hai, Notification ke anusar 18 October 2020 ko Mains Exam ka aayojan kiya jayega, Jaisa aapko upar me bataya gya hai. Adhik jankari ke liye niche se Notification ko dekh sakte hain|

चुनाव से ठीक पहले आयोजित होगी BSSC इंटर लेवल-1 मेंस परीक्षा 2020

Aapko bata den ki BSSC ke mutavik Bihar Vidhan Sabha Chunav se pahle Inter Level 1st Recruitment ki Mains Exam 2020 ko aayojit ki jayegi, Jiske liye Exam Date jaari kar diya gya hai. Kyonki Election me smajh rakhne bale log is dauran Mains Exams ke aayojan ko Chunav se jodkar dekh rahe hain.
Aise sabhi ko pata hoga ki is Bharti me lagbhag 13,120 Vacancies hai, Jisme lakho Candidates Application Form bhar chuke hain. Aur bahut sare Candidates Prelims Exam bhi Clear kar chuke hain. Iske babjud Bihar me kai Departments ne Various Post par 3,000 se jyada Bharti ke liye Application Form bhi manga hai|

अक्टूबर- नवंबर में होगी बिहार विधानसभा चुनाव

Election Commission of India ke anusar Bihar Assembly Election 2020 ke liye puri taiyari kiya ja raha hai, ECI Bihar Election ke Samay karib 65 Seats par UP Chunav bhi karane ki taiyari me hai. Chunav Aayog ke mutavik Bihar Vidhansabha Chunav ko 29 November 2020 se pahle pura karne ki ummid hai.

Download Official Notification:- Click Here

BSSC Official Website

Isi ko dekhte huye BSSC ne Inter Level 1st Mains Exam ko Bihar Election 2020 se pahle 18 October ko hi aayojit karne ka nirnay liya hai. Ve Candidates jo Prelims Exam me Pass kar chuke hain, To ab hone bale BSSC Mains Exam 2020 me shamil ho sakte hain, Jiski puri jankari is post me Share kiya gya hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment