Bihar Sarkari Yojna

Bihar Kisan Registration Online Form | @dbtagriculture.bihar.gov.in

Written by A to Z Classes

Kisan Registration Bihar 2020 @dbtagriculture.bihar.gov.in:- Yadi aap bihar ke nivasi hai, aur krishi sambandhi yojanao ka labh lena chahte hai, To is post me iski puri jankari share ki gayi hai. Bihar Sarkar dwara kisano ko rajya star par lagu hone vali yojanao ka labh pahuchane ke liye Kisan Registration Bihar (बिहार किसान रजिस्ट्रेशन) prakriya shuru ki gayi hai. Is yojana ke liye registration form, Krishi vibhag dwara DBT Agriculture ki official website par jari kiye gaye hai. Yadi is yojana ki puri jankari prapt karna chahte hai, To is post ko ant tak jarur padhe.

Is yojana me register kisan sabhi sarkar yojanao ka labh sidhe DBT website ke madhyam se apne Bank account me prapt kar sakenge. Bihar Kisan Registration ke bad sabhi register kisano ko Beneficial scheme ki samay par jankari prapt ho sakengi. Isi ke sath aap is portal ke dwara diesel anudan, Beej anudan aur sukharast kshestron ko ke liye jari ki gayi subsidy aadi ki jankari bhi prapt kar sakenge.

Yadi aap Bihar ke sthai nivasi hai to aap Kisan registration ke madhyam se kisano ke hit me jari ki jane vali Yojanao ka labh le sakte hai. Bihar Krishi Vibhag ka prayas hai ki jyada se jyada kisano ko DBT Agriculture Portal par registration karaya jaye. Yaha is post me aap sabhi ko Kisan Registration process, eligibility criteria aur necessary documents ke bare me jankari pradan ki hai.

Bihar Kisan Registration Online 2020

Bharatvarsh ek krishi pradhan desh hai, Jiski economy krishi par aadharit hai. Bharart ki 65% aavadi direct aur indirect rup se krishi par aashrit hai. Bharat me pratyek rajya me kisano ko dhyan me rakhkar yojanao ki shuruat ki gayi hai, Prantu jankari ke abhav me kisano ko in yojanao ka labh nahi mil pata. Isi ko dhyan me rakhte huye Bihar Kisan Registration Portal ki shuruat ki gayi hai.

Yah Kendra sarkar ki yojana hai, DBT Agriculture ke tahat har rajya ke liye alag alag DBT Agriculture Portal banaye gaye hai. Alag alag rajyo ke dwara dbt agriculture portal par un rajyo ko Kisano ka Registration (Online Farmer Registration) karaya jata hai aur unko rajya sarkar ke dwara chalai jane vali yojanao ki labh di jati hai.

Kisan Registration @DBT Agriculture Portal

Is official website se dwara register kisan, Krishi input anudan, Diesel anudan, Beej anudan ke liye avedan kar sakte hai. Aur iske sath hi Kisan Yantrikaran Anudan aur Bihar Kisan Samman Nidhi Yojana ke liye bhi avedan kar sakte hai. Bihar ke sabhi kisan registration ke bad Rajya sarkar dwara shuru ki gayi sabhi yojanaon ka labh sidhe bank khate me prapt kar sakenge.

Article Name Kisan Registration Bihar
Kisan Registration Website DBT Agriculture Portal
Facilities AvailableInput grant, Seed grant, Diesel grant, etc.
Beneficiaries People of Bihar
Official Website https://dbtagriculture.bihar.gov.in/

DBT Agriculture Portal Bihar Registration

Niche Bihar rajya sarkar dwara chalai ja rahi kuchh yojanao ki suchi di gayi hai, In yojanao ke liye sabhi kisan online registration kar sakte hai, Jiske bad unhe un yojanao ke tahat sahayata rashi pradan ki jayegi:-

  1. Agricultural Input Grant Scheme
  2. Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana
  3. Application for Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi Yojana
  4. Agricultural input subsidy scheme for drought-prone blocks
  5. Agricultural input subsidy scheme for reclamation drought-prone blocks.
  6. Diesel Grant KMS
  7. Pradhan Mantri Krishi Sichain Yojana
  8. Agricultural Mechanization Scheme
  9. Application for Seed Admitted State Government
  10. Seed Grant Scheme Application

Hamne upar aapko 10 Yojanaon ki list di hai. In 10 yojanao ke tathat Bihar ke kisan DBT Agriculture Portal ke madhyam se online avedan kar sakte hai. Jiski puri detail niche share ki gayi hai.

Kisan Registration Bihar Eligibility Criteria

  • Keval Bihar ke kisan hi is yojana ke liye registration kar sakte hai.
  • Kisan ka Bank khata mobile aur aadhar se link hona anivary hai.
  • Avedak ko apni Bank khate ki jankari aur IFSC Code ki jankari deni hogi.

Kisan Registration Important Documents

  • Aadhar Card
  • Voter ID Card
  • Bank passbook
  • Aadhaar linked mobile number
  • Passport size photo

Bihar Kisan Registration Online – On DBT Agriculture Portal

Yadi aap Bihar Kisan registration ke liye sabhi eligibility criteria ko pura karte hain, To aap sbhi nihce diye gaye steps ko follow karke Kisan Registration Online kar sakte hai:-

  • Sabse pahle aap Krishi Vibhag Bihar Sarkar ke official site par visit karen.
  • https://dbtagriculture.bihar.gov.in/
  • Iske home page par  “पंजीकरण करे” option par click karen.
  • Iske bad “DEMOGRAPHY + OTP” option par click kar, avedan ke liye aage badhen.
  • Iske aage aap Aadhare Name aur Number enter kare.
  • Ab aapke Aadhar se link mobile no. par ek OTP aayega, Jise aap jaldi se box me bhar den.
  • OTP sahi hone par, Ek naya page khulega, Jaha Kisan registration form ke link par click kare.
  • Ab aapke samne Bihar Kisan Registration Form, Is tarah khul jayega.
  • Registration form sahi tarike se bhar den, Aur bharne ke bad submit kar den.
  • Jiske bad aap form ka ek print out nikal len.

Search Bihar Kisan Registration Record

Aap DBT Agriculture Official website par Bihar Kisan Registration Record ki khoj kar sakte hai. Iske liye niche diye gaye steps ko follow kare:-

  • Sabse pahle DBT Agriculure ke official website par visit kare.
  • Iske Home page par “पंजीकरण जाने” ke link par click karen.
  • Iske bad Bihar Kisan Registration Number enter kare.
  • Jiske baad, Kisan Registration Record check kar sakte hai.

DBT Agriculture Portal:- Click Here

Aapko bata den bahut sari Kendra aur Rajya Sarkar ki aisi yojana hai jinka labh keval Registered farmer ko hi diya jata hai. Isi karan se aapko Registration karbana bahut jyda jaruri hai.

Upar bataye gaye tarike ke anusar aap dbt agriculture portal ke madhyam se Bihar Farmer Registration karba sakte hai. Yadi aapko is Registration karne me koi problem aa rahi ho to use comment me jarur puche.

पूछे गए प्रश्नों के उत्तर – FAQ’s

Q.1 किसान रजिस्ट्रेशन बिहार के प्रमुख लाभ क्या हैं?

Ans:- इसके माध्यम से बिहार के सभी किसान रजिस्ट्रेशन के बाद राज्य सरकार द्वारा शुरू की गई सभी योजनाओ का लाभ सीधे बैंक खाते में प्राप्त कर सकेंगे।

Q.2 बिहार किसान रजिस्ट्रेशन आधिकारिक वेबसाइट पर कौन सी सुविधाएं उपलब्ध हैं?

Ans:- इस आधिकारिक पोर्टल के द्वारा पंजीकृत किसान कृषि इनपुट अनुदान, बीज अनुदान, डीजल अनुदान के लिए आवेदन कर सकते हैं। इसके साथ ही किसान यंत्रीकरण अनुदान तथा बिहार किसान सम्मान निधि योजना के लिए भी आवेदन कर सकते हैं।

Q.3 कौन किसान रजिस्ट्रेशन पोर्टल पर पंजीकृत करने के लिए पात्र हैं?

Ans:- बिहार के सभी किसान आधिकारिक पोर्टल पर रजिस्ट्रेशन के द्वारा सभी सरकारी योजनाओ का लाभ लेने के लिए पात्र हैं।

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Reply to AADDAR CARD X