Full Form

BPO Full Form In Hindi – BPO का फुल फॉर्म क्या है.

BPO Full Form hindi
Written by A to Z Classes

BPO Full Form:- Hello Friends, Is post me aap sabhi ko BPO ke bare me bataya ja raha hai, Kya aap jante hain ki BPO ka full form kya hota hai, ya kise kahte hain. To agar aap BPO ke bare me nahi jante hain to aapke liye yah post kafi upyogi hoga. Kyonki BPO ke full form ke saath iske bare me aur bhi jankari diya ja raha hai jise padhkar aap is post ke madhyam se iske bare me aap achhe se jankari prapt kar sakte hain.

BPO Full Form – Business Process Outsourcing

BPO ka full form Business Process Outsourcing hoti hai aur ise hindi me (बिजनेस प्रोसेस आउटसोर्सिंग) kaha jata hai. BPO ek Out Source process hai jisme Third party Provider ko kisi bhi prakar ke Contrct ke aadhar par Business me shamil kiya jata hai.

Bata den ki BPO ek tarah ki Out Soursing process hai jo IT Sector ka bahut hi important Part hota hai. BPO ka main uddeshy kam vetan me logo se kaam niklana hota hai. Aur bahar ki bahut si badi badi company apne service dusre desho me Out Sourcing karti hai jaha par badi shankhya me kam vetan me staff mil jate hain.

BPO aamtaur par Back office me classified Out Source hai jisme internal business jaise Accounting, Finaance aur Human Resource shamil hain. BPO ko aap sector ke behad important Part bhi kah sakte hain. Kyonki aaj ke samay me bahut saare bade company me kuchh important service Outsource karke puri karti hai.

Business Process Outsource me front office Outsource me costumer service jaise Call Center shamil hota hai. Aapko pata hona chahiye ki BPO me agar koyi company apna contract country se bahar karti hai to use Outsource kaha jata hai. Aur agar company kisi padosee desh ki company se contract karti hai to use Nearshore Outsource kaha jata hai.

To is prakar ki sabhi company ka uddeshy kam lagat me aapko achhi service dena hota hai. Ek aapko example ke taur par bataya ja raha hai jo hai United States of America me bahut saare aise company hai jinki service baha ke Hight Cost bale employees ke karan india me Outsource karti hai aur hamare india me bahut saare service jo hai bo bhi Outsource ki jati hai.

BPO के Types

BPO ke 3 types hote hain.

  • Onshore Outsourcing – Bata den ki agar koyi BPO Service Same country me liya ja raha hai to use Onshore Outsourcing kaha jata hai.
  • Nearshore Outsourcing – Aur yadi koyi BPO Service kisi padosee desh me laya ja raha hai to use Nearshore Outsourcing kaha jata hai.
  • Offshore Outsourcing – Aur jab BPO Service padosee desh ko chhod kar kisi other country se liya ja raha hai, to use Offshore Outshourcing kaha jata hai.

Qualification for BPO Job

Yadi aapke man me sabal aa raha hai ki BPO me Job kaise kare to is se pahle aap apni qualification ko BPO ke liye check kar len. Jo ki BPO me job karne ke liye aapko niche bataya ja raha hai.

  • Yadi aapko BPO me Job karna hai to aapke pass Graduation degree hona bahut jaruri hai. Lekin bahut log yah bhi sochte honge ki BPO ki Job bahut aashan hai, par aisa bilkul nahi hai. Agar aap soch rahe hain ki 10th ya 12th pass karke isme ham Job kar sakte hain, to aapko bata diya jata hai ki yah ek Responsible work hai. Aur iske liye aap me ability hona bahut aavashyak hai.
  • Aur aap kisi bhi stream jaise BCA, BA, MBA, B.SC, B.COM ke degree holdar hain to aapko BPO me Jobs mil sakti hai. Is Jobs ke liye English aur saath hi Communication Skill jaruri hai taki aap kisi bhi customer ko aashani se deal kar saken.
  • Aur iske liye aapko basic computer ke bare me knowledge hona bahut jaruri hota hai, BPO me Job karne ke liye.
  • Aaj ke samay me bahut saare aise foreign company hai jo apne Business ko sambhalne ke liye BPO ki service par depend karti hai. Isliye aapko timing ke liye flexible hona chahiye.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

Leave a Reply to Mahesh Sharma X