Full Form

CBI Full Form in Hindi – सीबीआई का फुल फॉर्म

CBI Full Form
Written by A to Z Classes

CBI Full Form in Hindi:- Aapne kai bar CBI ka nam suna hoga aur iske bare me puri jankari janna chahte honge. Isliye aaj is post me hamne CBI Full Form, CBI Meaning, CBI Kya hai, CBI Kaise kaam karta hai, ke bare me puri mahtavpurn jankari aapke sath share kiya hai.

Is artice me CBI se juri sari jankari aapke sath Hindi me share ki gayi hai, To chaliye shuru karte hai CBI Full Form ke sath.

CBI Full Form in Hindi

Aapko bata den ki CBI ka Full Form – “Central Bureau Of Investigation” hota hai jise ham Hindi me केन्द्रीय जांच एजेंसी & केन्द्रीय जांच ब्यूरो kahte hai. CBI Bharat ki sabse badi Investigation(Janch) Agency hai, Jo Bharat ke bare Mamlon ki Janch karti hai aur iski Report sidhe Home Ministry ko deti hai.

History of CBI in Hindi

Central Bureau of Investigation ki Sthapana Bharat ki aajaadi ke 6 saal pahle yani ki 1941 me ki gayi thi, Shuruat me ise Vishesh Police kaha jata tha yani ki bo Police jinke pass adhik adhikar tha apne kaam ke prati.

CBI ka Headquarter yani ki Mukhylaya New Delhi me hai. Bharat se juri har tarah ki National Security ke mamlon aur Cases ko dekhti hai.

CBI Kya Hai | CBI Ka Kaam

CBI ek bahut hi achhi jani mani Kendriy Janch Agency hai, Jispar Bharat ke log bahut hi viswas karte hai. CBI mukhya tour par Administrative Area me kaam karta hai. Yah Police adhikariyon ki aise Team hoti hai, jiska gathan Central Government ke dwara kiya jata hai. Inke kaam State Government ka koi hath nahi hota, Yah Team bade Mamlon ki janch kar Report sidhe Home Minisitry ko deti hai.

Vaise samanya tour par CBI un Cases ko handle karti hai jo Desh ke liye Important hote hai, Jaise – Bahut bade bade Ghotalo ki janch karna, Kisi Froud Case ka pata lagana. CBI ko High Court aur Supreme Court ke kahne par hi Kisi Case ko handle karne ke liye diya jata hai. Ek bar jab koi Case CBI ke under aa jati hai, To use kisi bhi tarah ke aadesh ki aavshyakta nahi hoti hai. CBI ki Investigations me koi dakhal nahi de sakta hai, CBI Team kisi bhi case ka investigation apne tarike se karti hai.

CBI Team puri tarah se Independent hoti hai. Yah apne Case ke sinsile me pure Bharat yani ki All Over India me kahi bhi janch partal kar sakti hai, Aise karne se unhe koi nahi rok sakta hai. CBI pure tarike se independent kaam kar rahi hai aur aaj tak unhone kai Bade Bade Cases hal kiye hai aur aage bhi karte rahenge.

CBI Me Job Karne Ki Prakriya

Jo Students CBI me bharti lena chahte hai, Unhe sabse pahle Graduation me 55% se pass hona hoga, Iske bad CGP SSC ki pariksha me pass hona hoga. Iske bad hi aap CBI ke liye form bhar sakte hai.

CBI me bharti ke liye Age Limit 20 Year se 27 Year tak tay ki gayi hai. Isse pahle aur bad me aap iske liye form nhi bhar sakte hain.

To is parkar aaj ke is article me aap sabhi ke sath CBI Full Form, CBI Meaning, CBI Kya hai, CBI Kaise kaam karta hai, iske bare me jankari di gayi hai, Yadi aapko yah jankari achhi lagi to ise Share jarur kare.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

  • सीबीआई के नौकरी पाने के लिए बहुत बढ़िया पोस्ट।। ऐसे ही जानकारी देते रहिये

Leave a Reply to Guri Dhiman X