Sarkari Yojna

Chandigarh New Ration Card List 2020 – Check Status & Online Form

LPG Gas Subsidy Scheme
Written by A to Z Classes

Chandigarh New Ration Card 2020:- Yadi aap Chandigarh ke nivasi hain aur New Ration Card ke liye aavedan kar chuke hain to aap apni Application Status aur Ration Card List me apna naam chek kar sakte hain, Jiske liye aapko is post me puri jankari Hindi me diya ja raha hai. Taki aap Chandigarh ke Food and Public Distribution Department ke official website se online aasani se check kar saken, Sath hi aap sabhi ko is page me Chandigarh New Ration Card ke liye aavedan kaise karen, Iske liye aavashyak Document kya hai, Aur bhi bahut si details jankari share kiya ja raha hai.

Agar aap abhi tak Chandigarh New Ration Card 2020 ke liye aavedan nahi kiye hain to aap is post ki madad se aavedan kar sakte hain, Aur jo Candidates Aavedan kar chuke hain to vah is post me di gyi jankari ke anusar apna naam Chandigarh New Ration Card List me online check kar sakte hain.

Update:- अगर जो व्यक्ति जिनके पास राशन कार्ड नहीं और वो प्रधान मंत्री गरीब कल्याण योजना (PMGKAY) का लाभ उठाना चाहते हैं तो उन्हें इसके अधिकारिक वेबसाइट पर जाकर ऑनलाइन आवेदन फॉर्म भरने की आवश्यकता है. उसके बाद सरकार द्वारा दिए गये अगले तिन महीने का राशन मुफ्त में उठा सकते हैं.

Chandigarh New Ration Card List 2020

Aapko bata den ki Chandigarh ke Food and Civil Supplies Department dwara waha ke nagriko ke liye Ration Card jaari kiya hai, Aur jaisa ki ham sabhi jante hain ki Desh me Public Distribution System (PDS) ek aavarti aadhar par Discounted Price par uchit Mulya bale Store ke ek network ke madhyam se badhi sankhya me garib logo ko Food Grain ya aur bhi unke aavashyak vastuon ke bitran ki suvidha pradan karti hai.

Isliye Chandigarh ke nagriko ne New Ration Card banbane ke liye bahut badi sankhya me Registration karbaya tha, Jo ab apne Naye Ration Card ka wait kar rahe hain. Isliye is post ke madhyam se un sabhi ko suchit kiya ja raha hai ki aap iske official website par jakar Chandigarh New Ration Card List aur Status ki janch karen, Taki aapko pata chal sake ki New Ration Card me naam hai ya nahi.

Aapko is page me Chandigarh Ration Card List aur Status iske official website se online check karne ke liye step by step method bhi bataya gya hai. Jiski madad se aap iske aasani se online check kar sakte hain.

Chandigarh Ration Card – Free Ration Under (PMGKAY)

Aapko batate chale ki PMGKAY ke tahat 3 Mahine ka Ration pradan karne bala Chandigarh Administration dwara waha ke har vyakti ko 15 Kg aur sabhi Register Labharthi ke partyek parivar ko 3 Kg daal deta hai.

Chandigarh New Ration Card 2020

Ration Card un sabhi log ke liye ek mahatvapurn document hai jo garib hain ya phir aarthik roop se kamjor hain, Kyonki Ration Card ke madhyam se ve apne area ke Uchit Mulya bale Store se (FPS) se Subsidy bale Ration khrid sakte hain aur is Ration Card ka labh utha sakte hain. Jabki is Ration Card ke madhyam se Central Government ya State Government ke dwara shuru kiye gye aur bhi bahut saare Schemes ya Pension ke liye aavedan kar sakte hain. Agar vah iske liye eligible hain tab.

Types of Ration Card:-

Ration Card mukya roop se tin prakar ke hote hain, Jo aap niche se dekh sakte hain.

  1. APL Ration Card
  2. BPL Ration Card
  3. Aay Ration Card

How To Apply For New Ration Card 2020 Online?

Yadi aap Chandigarh ke ek Nagrik hain aur New Ration Card ke liye aavedan karna chahte hain to niche bataye gye step ko follow karen.

  • Aap Food and Public Distribution System ke official website par Log.in karen.
  • Iske home page par ONLINE APPLY RATION CARD ke link par click karen.
  • Yaha par ek page open ho jayega jisme aapko puchhi gyi details ko enter karke Register karna hoga.
  • Ab aapke phone me ek OTP aayega jise enter karke submit karen.
  • Aur ab Ration Card ke liye online aavedan form show ho jayega.
  • Isme puchhi gyi sabhi details ko enter karen.
  • Ab sabhi mahatvapurn document ko upload karke submit par click kar den.
  • Last me apne Registration Number aur Pavati Rashid ko ek print out nikal len.

Official Website:- Click Here

Fill The For Free Ration Under PMGKAY:- Apply Online

Document Required for Ration Card Application

  • Valid Mobile No.
  • Aadhar card
  • PAN Card
  • Recent Passport Size Photograph of Head of Family
  • Income Certificate
  • Electricity Bills
  • Gas Connection Details
  • Caste / Category Certificate
  • Bank Passbook

How To Check Chandigarh Ration Card Beneficiary List 2020 Online?

Aur jo bhi log New Rtion Card ke iye aavedan kar chuke hain ve niche bataye gye step ko follow karke apni Labharthi List ko online check kar satke hain.

  • Aap iske official website par visit karen, Jiska link niche diya gya hai.
  • https://epds.nic.in/CHD/epds# itna par.
  • Iske home page se “others” tab par click karen aur Ration Card Search par click karen.
  • Iske baad Search Ration Card EPS par click karen.
  • Isme puchhi gyi sabhi details ko enter karke Continue par click kar den.
  • Aapke Screen par sabhi Labharthi List show ho jayega.

Check Ration Card List 2020:- Click Here

How To Enroll Under The Antyodaya Yojana?

Antyoday Yojna ke taht sirf aise gharo ko Rural or Urban Area me shamil ki jayegi jiske pure family ki annual income 60,000 Rupaye ke lagbhag hai.

Jiske liye aapko nimnlikhit document ko jama karke AAY Card ke liye aavedan karna hoga.

  • Residence proof
  • Aadhar Card of All Family Members
  • Aadhar Card Bank Account se Link hona chahiye.
  • Old Ration Card Copy
  • Two Family Group Photographs
  • Aavedan Form par Signature

Contact Information For Chandigarh Ration Card

Yadi aapko Ration Card ke liye aavedan karte samay ya kisi bhi samay koi problem hota hai, To aap niche diye gye contact nuber par sampark sakte hain.

Address: Department of Food and supplies and consumer affairs & legal metrology, Annexe to Municipal Corporation building,

  • Sector 17 Chandigarh (U.T)
  • Toll Free Helpline Number:- 1800-180-2068
  • Consumer helpline number:- 1967
  • Email ID:- fcs-chd@nic.in

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

4 Comments

Leave a Comment