Sarkari Yojna

Chhattisgarh Pravasi Majdur Registration Form – छत्तीसगढ़ प्रवासी घर वापसी

Chhattisgarh Pravasi Majdur Registration
Written by A to Z Classes

Chhattisgarh Migrant Workers Online Registration Form:- Hello Guys, Agar aap Chhattisgarh ka Nivasi hain aur aap dusre Rajya me rahte hain, Aur ab apne ghar lautna chahte hain Lekin Coronavirus Lockdown ke karan nahi aa pa rahe hain. To Chhattisgarh ke Mukhyamantri ne dusre Rajyo me fase huye sabhi Pravasi Majdur ya kisi anya vyakti ko unke ghar vapas lane ke liye Online Website jaari kiya hai, Jiske jariye bahar fase huye Chhattisgarh ke sabhi logo ko Online Registration Form bharbaya jayega, Uske baad unhe Special Train ya Bus dwara unke ghar pahuchaya jayega.

To jo bhi Chhattisgarh ke Pravasi Majdur / Kamgar is mahamari ke chalte anya Rajyo me fase huye hain, Aur apne Rajya me vapas aana chahte hain to is website ke madhyam se online Registration kar sakte hain. Jiski sabhi jankari aapko is post me mil jayega, Sath hi Chhattisgarh Sarkar dwara jaari kiye gye official portal ka link bhi niche mil jayega, Jisse aap Online Registration kar payenge.

Chhattisgarh Pravasi Majdur Registration Form 2020

Yadi aap bhi Chhattisgarh ke nagrik hain aur apne Rojgar ke liye kisi dusre Rajya me chale gye the, Lekin Coronavirus Lockdown Mahamari ke karan ab apne ghar lautna chahte hain. To aap sabhi ke liye Chhattisgarh Government ne घर वापसी हेतु सर्वेक्षण/जानकारी/आकलन/सहायता हेतु पंजीकरण yojna ki shuruaat ki hai. Jiske liye aap iske official portal http://cglabour.nic.in itna par jakar Online Registration Form bhar sakte hain. Aur itna hi nahi Rajya Sarkar dwara Pravasi Majduro ke liye Helpline Number bhi jaari kiya gya hai, Jise aap niche se dekh sakte hain.

Chhattisgarh Pravasi Ghar Vapasi Registration

Aap sabhi jan rahe hain ki aaj ke date me pure desh bhar me Coronavirus ke badhte sankrman ko dekhte huye Kendra Sarkar dwara Bharat me bhi Lockdown laga diya gya hai. Jiske karan bahar me rah rahe jitne bhi Pravasi Majdur, Studetns, Pryatak anya sabhi vyakti ko apne ghar aan me aur prashani bad gyi hai, Sabhi ghar jan ke liye soch rahe hai. Isliye sabhi Rajya Sarkar dwara Pravasi Majduro ko dusre dusre Rajyo se lane ke liye Special Train chalaya ja raha hai.

Isliye Chhattisgarh ke sabhi Pravasi Majduro ko is post ke madhyam se inform kiya ja raha hai ki aap agar apne ghar lautna chahte hain to Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye Chhattisgarh Pravasi Majdur Online Registraton Form ko Register kar sakte hain. Aur diye gye Helpline Number se Chhattisgarh Sarkar dwara niyukt Nodal Officers se sampark kar sakte hain.

Update:- गृह मंत्रालय (MHA) के आदेश के अनुसार, किसी भी भूमि के पर्यटक, श्रमिक, छात्र फार्म भरकर अपने घरों को वापस जा सकते हैं. रेल मंत्रालय द्वारा विशेष ट्रेनों का संचालन किया जाएगा और सभी सुरक्षा उपायों और सामाजिक दूरी का ध्यान रखते हुए अपने राज्य वापस लाया जाएगा.

Chhattisgarh Migrant Workers Registration Form-Overview

High AuthorityChhattisgarh Government
Name of SchemeChhattisgarh Migrant Travel Registration Online Form
Started byChief Minister Trivendra Singh Rawat
ObjectiveAnya Rajyo me Fase Chhattisgarh Ke Logo Ki Vapasi
BeneficiaryPravasi Majdur, Students, Pryatak And Other Person
RegistrationOnline Mode
Article CategoryChhattisgarh Migrant Workers Registration
Official Websitehttp://cglabour.nic.in/

Chhattisgarh Pravasi Ghar Vapasi Oline Online Form

Aap sabhi ko is post ke madhyam se bata den ki Grih Mantralaya ke sath Chhattisgarh Sarkar ne Pravasi Majdur, Students, Tirth yatriyon ya anya kisi bhi vyakti jo Lockdown Mahamari ke karan dusre Rajya me fase logo ko unke gantvya sthan tak pahuchane ke liye Shramik Special Train aur Bus Chalane ka faisla liya hai. Desh ke bahut saare Rajyo me Chhhattisgarh ke Pravasi Majdur fase hain jo ki Lockcown me kisi na kisi tarah apne ghar pahuchana chahte hai. Isliye Sarkar dwara unki subidha ke liye yah Pravasi Majdur Ghar Vapasi Registration Form jaari kiya hai, Jise bharne ke baad aap apna Ghar surakshit pahuch sakte hain.

Aur Chhattisgarh Government ne bhi iski ghosna ki hai ki Rajya ki jitne bhi Pravasi Majdur jo lockdown ke karan alag alag Rajyo me hain ve apne Rajya ab vapas aa sakte hain. Sirf unhe Sarkar dwara jaari kiye gye official portal par Register karna hoga, Aur diye gye Helpline Number par Chhattisgarh Sarkar se sampark karna hoga.

Important Details For Chhattisgarh Pravasi Majdur Registration

To jitne bhi Chhattisgarh ke Pravasi Majdur apne Rajya vapas lautna chahte hain unko Sarkar dwara jaari kiye disanirdesh ko palan karna hoga.

  • Sabse pahle to Train aur Bus ko clean kiya jayega.
  • Aur Yatra se pahle sabhi ko Screening ki jayegi.
  • Jabki Yatra karte samay sabhi Yatriyon ko Social Distancing ka palan karna hoga.
  • Aap sabhi ko Mask pahanana jaruri hai, Aur apni Hygiene ka dhyan rakhna hoga.
  • Aapko pahuchane ke baad 14 dino ke liye sabhi se alag quarantine center me rakha jayega.
  • Agar aap Sarkar dwara diye gye niyam ka palan nahi karte hain to aap par sakth karrbaai ki jayegi.

How To Fill Online Registration Form to Return Chhattisgarh?

Aap sabhi ko yaha par dusre Rajyo se Chhattisgarh vapas aane ke liye Registration Form Online kaise bharna hai jikse liye aasan tarika batlaya gya hai, Aap ise follow karke aasani purvak apna form online bhar sakte hain.

  • Aap Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye official website par is post me niche diye gye link se visit karen.
  • Ab iske home page par diye gye प्रवासी मजदुर घर वापसी पंजिकरण फॉर्म ke link par click karen.
  • Click karne ke baad Registration Form open ho jayega.
  • Fir aap Registration Form me puchhi gyi sabhi details ko sahi se bhar den.
  • Form ko pura bharne ke baad aap submit par click kar den.
  • Last me apne form ka ek print out nikal len.
Apply Online Registration FormClick Here
Official WebsiteWebsite

Helpline No:- 0771-2243809  

To aap is page me diye gye saari jankari ke anusar apna Registration kar sakte hain, Aur Registration karne ke baad Sarkar dwara ek List taiyar kiya jayega Jiske baad aapko waha se lautne ki saari jankari di jayegi. Agar aapko itni jakari ke baad bhi Chhattisgarh Pravasi Majdur Online Registration Form bharne me kisi tarah ki samasya ka samna karna pad raha hai to niche diye gye comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment