Sarkari Yojna Scholarship

e-Kalyan Scholarship Jharkhand Portal – Online Scholarship Form

e-Kalyan Scholarship Jharkhand
Written by A to Z Classes

E Kalyan Jharkhand Scholarship 2021:- E Kalyan portal Jharkhand Rajya ke scheduled castes, scheduled tribes, minorities aur backward classes ke students ke liye shuru kiya gaya hai, Jo ki ab Jharkhand me ek prasdih website ban chuka hai. Aaj ke is post me aap sabhi E Kalyan Portal se Scholarship form kaise bhare aur iski puri jankari dene ja rahe hai. Is Portal ki madad se eligible students Pre-matric aur Post-matric scholarship ke liye online avedan kar sakte hai. E Kalyan Portal ke madhyam se Scholarship batane me pardarshita aayi hai aur sabhi jaruratmando ko samay par Scholarship ka labh milta hai.

E Kalyan Portal Jharkhand Backward Welfare Department ke dwara Scheduled Castes, Scheduled Tribes, Minorities & Backward Classes ke students Scholarship labh pradan karne ke udeshya se shuru kiya gaya hai. Is Online Portal se class 10th aur 12th higher secondary me padhne vale students Scholarship ke liye avedan kar sakte hai. Is online portal par July se December ke bich Pre-matric aur Post-matric scholarship ke liye avedan accept kiye jate hai.

Aaj ki is article me ham aapko in sabhi savalo ka javab denge. Jaise ki E Kalyan Portal par kon kon se Seva uplabdh hai? E Kalyan Portal ke madhyam se avedan prakriya hai? E Kalyan Portal se Scholarship ke liye kon avedan kar sakta hai. Iske sath hi Scholarship avedan, eligible, sabhi jaruri documents ki list aadi jaise jankari pradan ki jayegi.

What is e Kalyan? – ई कल्याण पोर्टल की पुरी जानकारी

E Kalyan online portal Jharkhand Backward Welfare Department ke dwara shuru kiya gaya hai, Jiske tahat SC, ST aur OBC students ke liye Scholarship avedan savikar kiye jate hai. Yah portal Pre Matric aur Post Matric students ke liye one-stop platform ke rup me kaam karta hai. Is portal ka mukhya udeshya Students ko education ke prati jagruk karna hai.

Jharkhand me SC, ST ur OBC ke kai students aarthik rup se kamjor parivar se hai. Ye students apne parivar ki aarthik sthiti ke karan higher education prapt karne me saksham nahi hai. Aise students ko labh dene ke liye Jharkhand Sarkar dwara E Kalyan Scholarship Portal shuru kiya gaya hai.

E Kalyan Jharkhand Scholarship List

Koi bhi Jharkhand Rajya ka students E Kalyan Portal ki sahayata se tin category ke liye avedan karke labh prapt kar sakte hai. Ye tin category is prkar hai:-

  • Pre Matric Scholarship (Within & Outside State)
  • Post Matric Scholarship (Within State)
  • Post Matric Scholarship (Outside State)

Jharkhand Scholarship – Eligibility Criteria

Jharkhand Backward Development Department ne E Kalyan portal ki sahayata se avedako ko avedan karne ke liye kuch eligibility criteria nirdharit ki hai. Niche ham kuch Eligible criteria ki jankari prdan kar rahe hai:-

  • Jharkhand Scheduled Castes, Scheduled Tribes & Other Backward Classes students.
  • SC, ST aur OBC category ke students ki family income 1.5 Lakh se adhik income honi chahiye.
  • Rajya ke bahar padhne vale students ka form accept nahi hoga.
  • Yadi koi Students pahle se hi kisi aur Scholarship ka labh utha raha hai, Vo is scholarship ke liye avedan nahi kar sakte.

Essential Documents For Scholarship Form

  • Aadhar Card
  • income certificate
  • caste certificate
  • High school mark sheet
  • mobile number
  • Passport size photo
  • Bank account information
  • E mail ID

How To Fill E Kalyan Scholarship Application Form Online?

E Kalyan Portal se online scholarship application form bharne ke liye niche diye gaye Link aur bataye gaye Steps ko follow kare:-

  • Sabse pahle diye gaye link se iske official website par visit kare.
  • https://ekalyan.cgg.gov.in/
  • Iske homepage par “Scholarship Registration” ke section par click kare.
  • Vaha se “Post-matric Scholarship Register / Sign up” ke link par click kare.
  • Vaha se “Students Log.in” pura kar len.
  • Saflatapurvak Log.in ke bad, Aap Apply Online Scholarship Form ke link par click kare.
  • Vaha se apna Scholarship yojana ka choose kare le, Aur form ko achhi tarah se bhar den.
  • Form bharne ke bad, Apne documents upload kar den.
  • Aur ant me form ko submit kar den.
  • Form submit karne ke bad application form ka ek print out le le.

E Kalyan Application Status

Application form jama karne ke bad, Students apne register mobile number, email ID ke madhyam se avedan ki Status check kar sakte hai:-

  • Sabse pahle ekalyan.cgg.gov.in/ is webste par visit kare.
  • Aur fir “Student Log.in” ke link par click kare.
  • Apne Register ID se Log.in kare.
  • Aur fir “Application Status” ke link par click kare ke, Status check kare.

E Kalyan Help Line Number

Contact Helpdesk No’s: 040-23120591,040-23120592,040-23120593 (from 10:30AM to 5:00PM Monday to Saturday working days only)

helpdeskekalyan [at] gmail [dot] com

E Kalyan Portal – FAQ’s

Q.1 ई कल्याण छात्रवृत्ति पोर्टल क्या है?

Ans:- यह झारखंड पिछड़ा विकास विभाग द्वारा शुरू किया गया एक पोर्टल है जिसके माध्यम से पोस्ट मेट्रिक परीक्षाओं के लिए छात्रवृत्ति प्राप्त की जा सकती है।

Q.2 क्या मैं ई कल्याण छात्रवृत्ति पोर्टल के माध्यम से शुल्क रियायत ले सकता हूं?

Ans:- नहीं, आप केवल इस पोर्टल के माध्यम से छात्रवृत्ति के लिए आवेदन कर सकते हैं।

Q.3 इस पोर्टल के माध्यम से छात्रवृति के लिए किस स्तर पर आवेदन किया जा सकता है?

Ans:- आप ई कल्याण झारखंड के माध्यम से पोस्ट मेट्रिक के लिए छात्रवृत्ति आवेदन कर सकते हैं।

Q.4 किन छात्रों के आवेदन स्वीकार नहीं किए जाएंगे?

Ans:- यदि परिवार की आय सीमा एससी, एसटी वर्ग के लिए 2 लाख रुपये से अधिक है और ओबीसी श्रेणी के लिए 1.5 लाख से अधिक है तो आवेदन स्वीकार नहीं किए जाएंगे।

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment