Jankari Sarkari Yojna

Ek Parivar Ek Naukri Yojana Online Form 2020 – एक परिवार एक नौकरी योजना की जानकारी

Written by A to Z Classes

Ek Parivar Ek Naukari Yojna 2020:- Sikkim Government ke dwara shuru kiye gye Ek Parivar Ek Naukri Yojna ke antargat Berojgar Shikshit Yuvaon ko Sarkar ki taraf se Rojgar pradan kiya jayega. Yah Yojna ka Labh un sabhi Yuvaon ko pradan ki jayegi jinke Family me koi vyakti ke pass Sarkari Naukari nahi hai. Agar aap bhi is Yojna ka Labh uthane ke liye ichhuk hain to aapko sabse pahle iske bare me puri jankari prapt karni hogi, Jiske liye aapko is post ko last tak padhna hoga.

Ek Parivar Ek Desh Yojna ki shuruaat abhi shirf Desh ke Sikkim Rajya me shuru ki gyi hai, Lekin Government of India ke dwara is Yojna ko Desh ke anya Rajya me bhi shuru karne ki plan banaya ja raha hai. Isliye aap is post ko dhyan se padhkar iske bare me saari information prapt kar sakte hain.

Ek Parivar Ek Naukri Yojna Online Application Form 2020

Jaisa ki aap sabhi jante hain ki aaj ke samay me Sarkari Naukari pana sabhi ke liye ek sapna hai, Lekin bahut tarah ki Degree lene ke babjud bhi ham Sarkari Post par nahi pahuch pate hain. Kyonki aaj ke date me har level par Corruption bahut jyada badh gya hai jiske karan Degree prapt kar lene ke baad bhi Government Job nahi mil pati hai. Jabki yaha par kuchh exception bhi hain, But Sarkar ki is Ek Paribar Ek Naukri Yojna se ab Desh ke har Paribar ka ek Vyakti ya Female apni Ability aur Qualification ke bal par Sarkari Post prapt kar sakte hain.

Isliye hamne is post ke madhyam se isse sambandhit saari jankari dene ka pryash kiya hai, Ek Parivar Ek Naukri Yojna ke liye Online Application Form kaise bahren, Ya is Naukri Yojna kis Rajya me lagu hai, Iske liye Maximum Qualification kya hai, Important Document kaun kaun se hain ityadi.

Key Points Of Ek Parivar Ek Yojana 2020

Name of The SchemeEk Parivar Ek Naukri Yojana 2020
Introduced byFirstly Sikkim Government
MotiveTo Provide Better Opportunity of Employment
BeneficiaryAll Citizen of the country
Start Date to ApplyAvailable Soon
CategoryCentral Government Scheme
Last date to ApplyNot Yet Declared
Mode of ApplicationOnline/Offline
Official websiteNotify Soon

Objective of Ek Parivar Ek Naukri Yojana

Is Yojna ka mukhya udeshya hai ki Desh me bahut saare aise Yuva hain jo adhik Shikshit hone ke baad bhi unhe Government Job nahi mil pati hai, Un sabhi Berojgar Yuvaon ko is Yojna ke anatargat Rojgar uplabdh karaya jayega, Aur sarkar dwara Yuvaon ko Sarkari Naukri karne ke liye aarthik sahayata pradan ki jayegi. Aur is Scheme ke madhyam se Desh ke Yuva ko apne aap par Aatmnirbhar banana aur Desh ke Berojgar Yuvaon ko Rojgar uplabdh karbakar unnati ki taraf lekar jana hai jisse ki Desh aage ki taraf progress kar saken.

Ek Parivar Ek Naukri Scheme ke tahat Male ya Female kisi ko EWS Category aur LIG Category ke Parivaro ke ek Sarkari Naukri pradan ki jayegi, Is Scheme ke jariye EWS Category ke un sabhi Parivar ke Yuvaon ko Labh diya jayega jis Parivar ki Annual Income 3 Lakh se adhik nahi honi chahiye. Aur LIG Category ke un Parivar ke Yuva ko Labh pradan ki jayegi jinke Parivar ki Annual Income 3 se 6 Lakh ke bich ho sakta hai.

Benefit of Ek Parivar Ek Naukri Yojna 2020

  • Candidates ko apne man pasand Area me Naukari karne ka ek avasar pradan kiya ja sakta hai.
  • Aur Candidates ka Selection hone ke baad unhe per mahine Sarkar Pay Scale ke hisab se Salary di jayegi.
  • Candidates ko 2 Saal ke Probation Period me rakha jayega, Aur Probation Period Complete hone tak Candidate ka aacharan achha rahta hai to use permanent kar diye jayenge.
  • Yadi kisi Candidates ko Sarkari Naukari hai unhe kisi dusre Labh nahi diye jayenge.

Eligibility Criteria

  • Ek Parivar Ek Naukri ke aavedan karne bale aavedak ko India ka ek sthai Nivasi hona aavashyak hai.
  • Is Yojna ke tahat Garib Parivar ke Yuvaon ko Naukari Pradan ki jayegi.
  • Aavedak ke Parivar me kisi bhi Member ke pass Sarkari Naukari nahi honi chahiye, Nahi to use is Yojna ka Labh nahi mil payega.
  • Aur aavedak ka Age 18 Varsh se lekar 55 Varsh ke bich honi chahiye.

Important Document

  • Minimum age is Require 18 Years.
  • Aadhaar Card
  • Educational Qualification Documents  
  • Identity Proof
  • Income Certificate
  • Photograph
  • Unemployment Registration Certificate
  • Passporta Size Photo

How To Apply Ek Privar Ek Naukri 2020

Desh ke jo bhi Yuva is Yojna ke antargat aavedan karna chahte hain unhe abhi kuchh din aur wait karna hoga, Kyonki yah Yojna abhi sirf Sikkim State me hi chal rahi hai. Pure Desh me is Yojna ko shuru karne ke liye Kendra Sarkar dwara Plan banaya ja raha hai, Jaise hi Sarkar Ek Parivar Ek Naukri Yojna ko pure Desh bhar me lagu karti hai to ham is page ke madhyam se sabse pahle update karenge, Iske baad aap is Yojna ka Labh utha sakte hain. Jiske liye aap is page par Regular visit kar sakte hain, Ya ise apne Computer me bookmark bhi kar sakte hain.

Important Details

Is Yojna ki shuruaat pahle Sikkim Rajya me kiya gya hai, Jisme Sikkim Government ne 15,000 Berojgar Yuvaon ko Rojgar uplabdh karne ki Plan banai hai. Sikkim Ek Naukri Yojna 2020 ke tahat various Sarkari ya Semi-Official Department me 12,000 Yuvaon ko select kiya hai aur baki bache logo ko is Yojna me shamil kiya jayega.

Ek Parivar Ek Yojna me Group-C aur Group-D ke Yuvaon ko diye jane bali Sarkari Naukri agle 5 Varsh ke liye pradan ki jayegi. Aur is Yojna 2020 me Application Form bharne ke liye Yuvaon ko apna Registration karna hoga.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment