Full Form

EMI Full Form in Hindi | EMI क्या होता है?

EMI Full Form
Written by A to Z Classes

EMI Full Form in Hindi:- Hello Friends, EMI ka Full Form kya hota hai, EMI kise kahte hai, EMI aap kaha kaha use kar sakte hai, Yadi aap EMI ke bare me janana chahte hai to aapko isse juri puri jankari Hindi me is page par share ki gayi hai. In sabhi savalon ka javav Hindi me aaj ham aapko is Page par dene ja rahe hai.

EMI Full Form in Hindi

Sabse pahle jaan lete hai ki EMI ka Full Form hota kya hai. EMI ki Full FormEquated Monthly Installment” hoti hai jise Hindi me “समान मासिक क़िस्त” kahte hai. EMI ko aasaan shabdo me kaha jaye to Yah ek tarah ki Masik Kist hoti hai jise aapko har mahine bharna hota hai. Yani ki kisi Loan ko chukane ya saman ko kharidne par jo saman masik kisto ko Vyaj ke sath bhugtan kiya jata hai use ham EMI (Equated Monthly Installment) kahte hai.

EMI Ki Puri Jankari Hindi Me

Aapko ye to pata chal gaya ki Masik Kist ko EMI kahte hai. Lekin aap yah bhi janna chahte honge ki EMI (Equated Monthly Installment) kaha kaha Upyog kiya jata hai.

Bank Loan:- To ise aap is tarah samjhiye ki jaise aaj kal Har kisi ko Loan ki jarurat pad jati hai, Isliye vah Loan leta hai loan me to aapko ek sath pure Rupye mil jate hai, Lekin jab aapko Loan ko chukana hota hai tab aap ise ek sath pura nahi chuka sakte hai. Aise me Bank EMI ka option deta hai, Jisse aap ek Time limit ke tahat har mahine bhugtan kar apna Loan chuka sakte hai. Aapko bata de ki jab aap EMI yani ki Masik kist chukata hai to aapko mul Rupaye ke alaba Isme Vyaj (Interest) bhi shamil kar diya jata hai, Yani ki aapki jo Masik kist hoti hai usme Vyaj bhi add kar diya jata hai.

Mobile Loan:- Ise is tarah samjhiye jaise aap ek 12 Hajar ka naya mobile Online Amazon / Flipkart se kharidana chahte hai, Lekin aapke pass utne paise nahi hai to aap use EMI (Equated Monthly Installment) par le sakte hai. Yani ki 12 Hajar ek bar na dekar, Har mahine ek fix amount dena vo ek Time limit ke andar. Halanki aap sabhi product EMI par nahi le sakte, Lekin EMI par aap vo product le sakte hai, Jiske liye Company EMI ka suvidha uplabdh karati hai.

Aapko bata de ki is Rupye ko diye gaye Samay sima me hi jama karna hota hai. Yadi aapne di gayi Samay sima ke bich ise jama nahi karte to Vyaj dar badh jati hai to aapki Samay sima bhi badh jayegi. Iska matlab hota ki aapko jyada EMI chukane ke liye jyada samay mil jata hai.

EMI (Equated Monthly Installment) ko Calculate Kaise Kare?

Yadi aap kisi Product ko EMI par kharidne ja rahe hai to ise Calculate karna bhi aana chahiye, Taki aap samjh sake kab kab aapko iska EMI kitna kitna jama karna hai, taki aapse koi paise thag na sake. To aayie jante hai ise kaise calculate kiya jata hai.

EMI ko calculate karte samay aapko tin chijo ka dhyan rakhna hota hai. Ise Example ke sath aapko niche bataya ja raha hai.

  • Interest Rate: Sahakar dwara liye gaye Vyaj ki dar, Jaise ki- Bank Rate
  • Loan Amount: Udhar li gayi Rashi
  • Tenure of the Loan: Loan chukane ka samay

Car or Bike ka EMI kaise Calculate kare?

Jaise Maan lijiye aapko ek 80,000 hajar ki Bike EMI par len hai. Jis par aapko 10% Vyaj dar dena hoga. Aur Vyaj sahit puri Rashi aapko 2 saal ke andar chukana hai, To ise kuch is tarah Calculate kiya jayega.

  • Bike Price – ₹80,000
  • Time Limit – 2 Year
  • Interest Rate – 10%

Ek saal me 12 mahine hote hai,To 2 saal me 24 mahine huye, To ham sabse pahle Total price ko 24 se Divide karenge. (80,000÷24) = ₹ 3333.3

Ab total price ke 10% nikalne par ₹8000 aayega. Jise 12 se divide kar denge. 8000÷12 = 666.6

Ab dono ko jorne par 3333.3+666.6 = 3999.9 Rupaye ka Masik kist EMI aayega.

All Full Form of EMI:

  • EMI – Electromagnetic Inference
  • EMI – Equated Monthly Installment
  • EMI – Electric and Musical Instrument
  • EMI – Electromagnetic Interference
  • EMI – Equal Monthly Installment
  • EMI – Equated Monthly Instalment
  • EMI – Electronic Money Institution

To Friends, Asha hai aapko EMI ka Full Form, EMI kya hota hai, EMI kaise calculate kare samjh aa gaya hoga. Yadi aapko fir bhi EMI Calculate karne me dikkt aati hai, To aap apne mobile ke Play Store se EMI Calculator ko Install kar sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment