Jankari

Grahak Seva Kendra CPS क्या है | ग्राहक सेवा केंद्र कैसे खोलें

ग्राहक सेवा केंद्र
Written by A to Z Classes

Garahak Seva Kendra Online Registration:- Hello Friends, Aap Grahak Seva Kendra ke bare me to jarur sune honge, Ya khud dekhe bhi honge agar aapko pata nahi hai ki Grahak Seva Kendra kiya hai. To aaj ham aapko is article me Grahak Seva Kendar yani (CSP) ke bare me puri jankari dene ja rahe hain. Yadi aap CSP ke bare me puri jankari prapt karna chahte hain to is post ko dhyan se last tak padhe.

Yadi aap Berojgar hain to aap Grahak Seva Kendra kholkar achhi khasi Income kar sakte hain. Aapko Grahak Seva Kendra kholne ke liye aapke pass koi Degree ki aavashyakta nahi hai, Iske liye sirf aapke pass Computer ka Knowlege hona chahiye. Yadi aapko Computer ke bare me jankari hai, Ya ise sikhne ka Certificate hai to aap Grahak Seva Kendra (CSP) Khol sakte hain.

Grahak Seva Kendra (CSP) की जानकारी हिंदी में?

Ab baat hai ki SBI / BOB Grahak Seva Kendra kholne aur Registration ki prakriya hindi me, SBI Grahak Seva Kendra, CSP Kaise Khole, Grahak Seva Kendra se Income, Grahak Seva Kendra ki suvidha dene bali Companies ke naam jaise aur bhi jankari is post me pradan kiya ja raha hai.

Aapko pata hai ki Pradhanmantri ke Degital India Program ke tahat Desh ke kone kone tak Banking jaise aur bhi Suvidhayen pahuchane ke udeshya se Grahak Seva Kendra ki shuruaat ki gyi hai. Jisse pahle aapko CSP ka Full Form bataya gya hai.

CSP Full Form:- Customer Service Point

To jaisa aapko bataya gya ki yadi aapko Computer ke bare me achhi jankari hai to aap Grahak Seva Kendra kholkar ek Business ke roop me ise select kar sakte hain. Aur sabhi tak Degital India Services ki Labh pahucha sakte hain.

What is Customer Service Center, (CSP) क्या है

Aap sabhi k is post ke madhyam se bata den ki Pradhanmantri ke Digital India Program ke tahat Desh ke sabhi State me Banking ya aur bhi bhut si Suvidhayen pahuchane ki udeshya se Grahak Seva Kendra ki shuraat ki gyi hai. Abhi ke samay me In Kendro ke madhyam se Desh ke Kone Kone tak Digital Madhyam se Banking aur Anu Sevaon ka Labh pahuchaya ja raha hai.

Agar aap bhi Computer ko achhi tarah se Operate kar lete hain tab aap Grahak Seva Kendra kholkar Logo tak Degital Madhyam se Sevaon ko uplabdh karbakar apna Income kar sakte hain. Jiske liye aap Degital India ki official website par Registration karke apne Area me Grahak Seva Kendra ko shuru kar sakte hain.

Grahak Seva Kendra के कार्य

Grahak Seva Kendra ke madhyam se bahi Suvidhaye pradan ki jati hai jo kisi Bank me jakar prapt karta hai. To is post me niche Grahak Seva Kendra ke antargat diye jane bali Sevaon ke bare me bataya gya hai aap dekh sakte hain.

  • Bank Me Account Khulbane Me
  • Bank Account Ko Aadhar Card Se Link Karne Ki Suvidha
  • Bak Account Ko Pan Card Se Link Karna
  • Insurance Service Ki Suvidha
  • Fund Transfer
  • ATM Card Jaari Karna
  • Grahak Ke Bank Account Se Paise Nikalna
  • Khate Me Paise Jama Karna
  • Customer Ke Liye FD Aur RD Ki Suvidha Pradan Karna

How To Open Customer Service Center 2021?

Aap niche bataye gye gye dono tarike se Grahak Seva Kendra ko shuru kar sakte hain.

  • SBI Grahak Seva Kendra
  • BOB Grahak Seva Kendra
  • PNB Grahak Seva Kendra

1. Bank Through:-

  • Iske liye aapko apne najdiki Bank ki Branch se sampark karna hoga, Jaha aap apna Bank Account kholna chahte hain.
  • Aapko Bank Branch ke Manager se milkar apne Area me Grahak Seva Kendra kholne ki baat karni hogi.
  • Iske baad Manager dwara aapse Qualification aur Investment ke bare me puchha jayega.
  • Yadi aap iske Eligibility ko pura karte hain tab aapko Grahak Seva Kendra Kholne ki anumati pradan ki jayegi.

2. Company Through:-

  • Aap Company ke madhyam se bhi Grahak Seva Kendra Kholne ke liye aavedan kar sakte hain, Bata den ki aaj ke samay me bahut si aisi Company hai jo CSP Center Kholne me sahayata pradan karti hai. Yadi aap kisi Company ke madhyam se Grahak Seva Kendra Kholne ja rahe hain to aap us Company ke bare me achhi tarike se Janch kar len.
  • Vayam Tech, FIA Global, Oxigen Online, Sanjivani jaise aur bhi Company Grahak Seva Kendra ki Suvidhayen provide kar rahi hai.

Online Registration Process For Opening SBI Customer Service Center

Degital India ke official website se Grahak Seva Kendra ke liye Online Registration karne ke liye aapko niche step by step tarika batlaya gya hai.

  • Degital India (CSP) ke official website par visit karen.
  • Iske home page se aap Right Side se Online Register par click karen.
  • Ab aapke samne ek naya page open ho jayega.
  • Jisme puchhi gyi saari Details Jankari ko enter karen.
  • Sabhi Jankari enter karne ke baad aap Gender ko select karke apne Present Rojgar ki sthiti ka Byaura den.
  • Ab aap apna Village, Block, District, State ko select karke Captcha Code ko enter karke Submit par click kar den.

Digital India Official Website:- Go Here

Income From Grahak Seva Kendra

Aap Grahak Seva Kendra (CSP) ke madhyam se Per Month 25 se 30,000 Rupye ka Income kar sakte hain, Iske liye partyek Bank dwara aapko alag alag Commission prdan ki jayegi.

I hope, ki aapko Grahak Seva Kendra se sambandhit sbhi jankari is page me di gyi aapke liye bahut profitable rahi hogi, Yadi aapke pass is Yojna se judi aur koi Saval hai to niche diye gye comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment