Sarkari Yojna

Gujarat Pravasi Registration Form 2020 | घर वापसी फॉर्म

Gujarat Pravasi Registration
Written by A to Z Classes

Gujarat Pravasi Majdur Registration Form 2020:- Hello Friends, Gujarat Sarkar ne bhi ghoshna kar di hai ki wo Pravasi Majduro ke liye Registration karega taki jo bhi Pravasi majdur Gujarat me fase hue hain ya Gujarat se bahar kis dusre state me fase hue hain aur ab lautna chahte hain to apne ghar laut saken. To is article me sabhi jankari share ki jayegi aur iske alawe helpline number aur official site ka direct link bhi diya jayega. To Gujarat ke vaise students, majdur ya tourist jo abhi apne state se baahar kahi fase hue hain to unhe ghar vapas laane ke liye registration prakriya shuru kar di gyi hai.

Aapko pata hoga ki kendra sarkar ke aadesh ke anusar abhi shramik special train chalai ja rahi hai jisme bahut saare pravasi majduron ko apne ghar vapas laaya ja raha jo lockdown ke karan kahi fase hue hai. In sabhi Shramik Special train ke dwara sabhi pravasi majduron ko muft apne ghar laaya ja raha hai. Ye kendra sarkar aur rajy sarkar ke sanyukt yogdan se chalaya ja raha hai.

To yadi aap bhi apne state vapas lautna chahte hain to iske liye गुजरात प्रवासी मजदुर रजिस्ट्रेशन फॉर्म jarur bhar dena chahiye. Yaha par clear kar den ki Gujrat sarkar ne abhi tak iske liye online portal launch nahi kiya hai. Lekin pravasi majduron ka registration offline nodal adhikari ki sahayta se kiya ja raha hai. Ya phir aap jis bhi state me visit karna chahte hain us state ke official site par bhi jakar registration kar sakte hain.

गुजरात प्रवासी मजदुर पंजिकरण फॉर्म

To jaisa ki aap sabhi jaante hain ki covid 19 ke chalte bahut saare students, majdur aur tourist apne state se baahar fas gaye the kyonki lockdown achanak laga diya gya tha. Aise me Gujarat sarkar apne pravasi majduron ko vapas laane ke liye yah yojna chala rahi hai. Inshe special train aur bus ke jariye apne ghar tak pahuchaya jayega. Iske liye registration shuru ho chuka hai aur iske baad hi list banakar pravasi majduron ko ghar vapas laaya jayega.

Gujarat ke CM Shri Vijay Rupani ne aham faisla liya hai. To aap bhi apne ghar vapas aana chahte hain to form niche ke link se bhar sakte hain jaise hi iska online portal launch kiya jata hai. Philhaal aap niyukt kiye gaye nodal officer se contact karke apna registration karwa sakte hain. Iske liye rajy sarkar ke helpline number bhi call kar sakte hain.

उच्च प्राधिकारीगुजरात सरकार
योजनागुजरात प्रवासी श्रमिक पंजीकरण
उद्देश्यअन्य राज्यों में फंसे हुए गुजरात के लोग
लाभार्थीप्रवासी श्रमिक, तीर्थयात्री, पर्यटक, छात्र और अन्य व्यक्ति
पंजीकरण मोडऑनलाइन और हेल्प लाइन नंबर
अनुच्छेद श्रेणीप्रवासी श्रमिक पंजीकरण
सरकारी वेबसाइटhttps://gujaratindia.gov.in/

Gujarat Pravasi Majdur Registration Form 2020

Grih Mantralay ne pahle hi sabhi state ko ye suchna di hai ki wo apne pravasi majduron ko ghar vapas laa sakte hain aur iske liye special train ka sanchalan bhi kiya ja raha hai. Ab sabhi pravasi majduron ka pata chal sake iske liye registration prakriya shuru kiya gya hai. To iske anusar sabhi pravasi majdur, tourist, students jo lockdown me kahi fase hue hain wo apne state ja sakte hain. Iske liye nodal officer bhi niyukt kiye gaye hain.

Aapko registration form me naam, address sament puchhi gyi sabhi jankari sahi sahi bharni hai. Iske alawe mobile number sahis e bharen, isi se aapko contact kiya jayega.

गुजरात यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?

  • प्रवासी मजदूर (Migrant Worker)
  • विद्यार्थी (Student)
  • पर्यटक ( Tourist)
  • अन्य पेशेवर ( other Professional)

Gujrat Jaane Ke Liye Registration Form Kaise Bharen?

गुजरात सरकार अभी तक इसके लिए ऑनलाइन आवेदन नहीं ले रही है. लेकिन जल्द ही इसका ऑनलाइन फॉर्म शुरु हो सकता है जिसे आप दिए गए तरीके से भर सकते है. वेबसाइट लांच होने पर लिंक भी निचे के बॉक्स में अपडेट कर दिया जायेगा. अभी तक सुना जा रहा ही की ऑफलाइन नोडल अधिकारी और कर्मचारी के द्वारा ही फॉर्म भरा जा रहा है.

  • Sabse pahle iske official site gujaratindia.gov.in par visit karen.
  • Uske baad iske home page par Gujrat Pravasi Registration Form ke link par click karen.
  • Ek naya page open ho jayega.
  • Sabhi jankari sahi sahi bharen.
  • Iske baad Next par click karke puchhi gayi jankari bharen.
  • Ant me form ko submit kar den.

To is prakar se aap Gujarat Pravasi Panjikaran ka form bhar sakte hain. Iske liye direct link jald hi update kiya jayega jaise hi online portal launch kiya jata hai. Yaha se aap registration karke apne ghar ko aa sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

10 Comments

Leave a Reply to Shishupl Kumar verma X