Sarkari Yojna

फ्री लैपटॉप योजना 2023 Registration | Apply Online हरियाणा

Written by A to Z Classes

Haryana Free Laptop Yojana 2023 :- Hello Friends, Haryana Sarkar ne apne Rajya ke Students ko padhai ki taraf protsahit karne ke liye vibhin prakar ki Sarkari Yojnao ko launch kiya hai, Taki Haryana State ke Students ko padhai me vishesh dhyan ho aur koi padhi se vanchit na rahe. To aaj ke is article me ham aapko Haryana Government dwara shuru ki gyi aise hi New Government Scheme ke bare me jankari pradan karaya hai, Jo aapke liye kafi upyogi hai.

Ji ha, Doston, Haryana Sarkar ne ek baar phir aap sabhi ke liye Haryana Free Laptop Yojna ki shuruat ki hai, Jiske bare me is post me sabhi mahatvpurn jankari jaise Haryana Free Laptop Yojna क्या है?, Application Process, Eligibility, Benefits etc, share kiya hai. To yadi aap हरियाणा फ्री लैपटॉप योजना se related sari details jankari prapt karna chahte hain, To is post ko ant tak jarur padhen. Yaha puri jankari mil jayegi.

Haryana State ke jo bhi Students is Haryana Free Laptop Scheme 2023 ka labh uthana chahte hain, Ve is post ki madad se iske liye aavedan kar sakte hain. Chliye jante hain ki is Scheme ki puri jankari kiya hai.

Haryana Free Laptop Yojna 2023

Sabhi ki jankari ke liye bata den ki is Yojna ke tahat Haryana State ke un sabhi Students ko free me Laptop provide karaya jayega, Jo Class 10th me 90% ya us se adhik Marks prapt kiya ho. Aur sirf Haryana School Education Board ke Students hi iska labh utha sakte hain.

Haryana Laptop Yojna 2023 ke tahat Deputy Commissioner ke dwara Laptop pradan kiya jayega, Jo ki in sabhi Students jo Merit List me aayenge, Unhe Sarkar dwara Free Laptop pradan kiya jayega.

To yadi aap bhi is Yojna ka labh utna chahte hain, Tb aapko Board Exam me 90% se adhik Marks prapt karne honge. Haryana Sarkar ki Free Laptop Yojana 2023 ke tahat total 500 Free Laptop ka vitran karegi, Jo 5 alag alag category ke Students ko pradan kiye jayenge.

Haryana Free Laptop Yojana 2023 Highlights

Article Haryana Free Laptop Yojna
Scheme Haryana Free Laptop Scheme 2023
Launched By Haryana Government
Beneficiary Students of Haryana
Objective Providing free laptops to students
Number of Laptop DeliveryTotal 500

Five categories of Haryana Free Laptop Scheme

  • 1st Category:- 1st Category me 100 Laptop ka vitran kiya jayega, Jo State bhar me top 100 me aayenge.
  • 2nd Category:- 2nd Category me bhi 100 Laptop vitran kiya jayega, Yah Laptop General Class ki Girls Students ko pradan kiye jayenge.
  • 3rd Category:- 3rd Category me bhi 100, Yah un sabhi Students ko diya jayega, Jo garibi rekha se niche ke hain.
  • 4th Category:- 4th Category me bhi 100, Yah Laptop Scheduled Caste ke Students ko pradan kiye jayenge.
  • 5th Category:- 5th Category me bhi 100, Yah Laptop Schedule Castes ke Girls Students ko pradan ki jayegi.

Benefits of Haryana Free Laptop Scheme 2023

  • Haryana Free Laptop Yojna me Merit List me aane bale Students ko free me Laptop pradan kiya jayega.
  • Is Yojna ka labh uthane ke liye Students ka 90% Marks hona jaruri hai.
  • Haryana School Education Board ke Students hi iska Labh prapt kar sakenge.
  • Is Yojna ke tahat Sarkar total 500 Laptop vitran karegi.
  • Aur Class 10th Board Exam dene bale Students hi iska Labh prapt kar sakte hain.
  • Is Scheme ke tahat laptop prapt kar Students online Class prapt kar sakenge.
  • Aur ha, Exam Result aane ke baad is Yojna ke tahat deputy commissioner dwara Laptop vitran kiya jayega.

Eligibility of Free Laptop Yojana

  • Haryana ka permanent nagrik hona chahiye.
  • Family ki Annual Income 2.50 Lakh Rupaye ya us se kam honi chahiye.
  • Iska labh sirf bahi utha sakte hain, Jinka naam Merit List me aayega.

Required Document

  • Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Class 10th Grade Marksheet
  • Ration Card
  • Residence Certificate
  • Passport Size Photograph
  • Mobile Number

How To Apply For Haryana Laptop Yojana 2023 ?

Haryana Free Laptop Yojana ke tahat Class 10th Mark Sheet aane ke baad Merit List me aane bale Students ko Laptop pradan kiya jayega. Yah Laptop ek Program ke madhyam se diya jayega. Jiski suchna School dwara Students ko di jayegi. Uske baad Students us Program me shamil hokar Laptop prapt kar sakte hain.

Isliye Rajya Sarkar dwara pahle tay kiya gya ki sabhi students ko Haryana Free Laptop Scheme ke bare me jankari ho, Taki iska Labh utha saken.

CONCLUSION:-

To hamne yaha Haryana Free Laptop Yojna ke bare me puri jankari share kiya hai. I hope, aapke liye yah article kafi upyogi raha hoga. Yadi aapke paas is Yojna ko lekar koi saval hai to niche comment section me puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Reply to Ronak sharma X