Sarkari Yojna

Haryana Ration Card 2020 – Online Application Form APL / BPL

Written by A to Z Classes

Haryana Ration Card 2020 Online Aavedan:- Hello Dosto, Aaj ke is article me aapko Haryana Ration Card 2020 Aavedan Form ke bare me jankari diya ja raha hai. Jaisa aap sabhi jante hain ki Ration Card Desh ke har Nagrik ko kai prakar se kaam aata hai, Ham yah bhi kah sakte hain ki yah Ration Card ka har Area me kaam aata hai. To Haryana me New Ration Card banbane ke liye Rajya Sarkar dwara online aavedan shuru kar di gyi hai, Haryana ke jo bhi nagrik apna Ration Card banbana chahte hain ve iske liye online aavedan kar sakte hain, Ya old bale Ration Card ka Renewal bhi karba sakte hain.

Bata den ki iske liye Haryana Sarkar ne ek Online Website launch kiya hai jo is article ke madhyam se aap sabhi ke sath niche share kiya gya hai. Sath hi aap kis prakar se Haryana APL / BPL Ration Card 2020 ke liye aavedan kar payenge, In sabhi jankari niche share ki gyi hai.

Haryana APL / BPL Ration Card 2020 Online Application Form

To Haryana ke jo bhi Nivasi New Ration Card banbana chahte hain unhe kahi jane ki jarurat nahi hai, Kyonki Sarkar dwara jaari kye gye official portal par jakar Ration Card ka aavedan karne ke liye is online suvidha ka labh Rajya ke sabhi Log utha sakte hain.

Aap sabhi ko malum hona chahiye ki Food and Logistics Department Haryana Government dwara Haryana APL / BPL Ration Card 2020 Labharthi ki aarthik sthiti ke anusar banaye jate hain, Aur jo Subsidy Rate ka Sabhi Food Items hote hain use Ration Card ke madhyam se pradan kiye jate hain.

Government of Haryana dwara Rajya ke jo bhi Parivar Garibi Rekha se niche aate hain unhe BPL Ration Card pradan kiya jata hai, Aur jo Nivasi Grabi Rekha se upar aate hain unhe APL Ration Card pradan kiya jata hai. To Rajya ke sabhi Candidates ko apne anusar New Ration Card ke liye online aavedan karna hoga.

Key Fact of Haryan Ration Card

Name of SchemeRation Card Haryana Form
Started byGovernment of Haryana
DepartmentFood and Logistics Department Haryana
Application ProcessOnline
BeneficiaryState citizens
ObjectiveSubsidy on Food Items
Official Websitehttp://haryanafood.gov.in

Ration Card Haryana Online Aavedan Form

Rajya ke jo bhi Nivasi Ration Card banane ke liye ichhuk hain ve apne ghar baithe Haryana Food Department ke official site par jakar online aavedan kar sakte hain, Aur Rajya Sarkar dwara diye ja rahe is Yojna ka labh utha sakte hain.

Haryana Ration Card ke antargat Rajya Sarkar dwara Sabhi Gramin aur Shahri Area ke Logo ko Sarkari Ration Store se di jane bali Food Grain Wheat / Rice / Sugar / Kerosin Ityadi jaise aur bhi aavashyak Chijo ko Discounted Price par pradan karaya jayega. Agar Haryana ke jo bhi Nagrik ke pass Ration Card nahi hain wo ab New Ration Card 2020 ke liye aavedan kar sakte hain, Sabhi Sarkari suvidhaon ka Labh prapt kar sakte hain.

Benefit of Haryana Ration Card

  • Ration Card ke madhyam se Discounted Price par avashyak Food Grain prapt kar sakte hain.
  • Haryana Ration Card ke online aavedan ka Labh Rajya ke sabhi BPL / APL Category ke Parivar utha sakte hain.
  • Is Suvidha se Rajya ke Nagriko ko koi Office jane ki aavashyakta nahi hai, Ve apne ghar baithe Ration Card banba sakte hain.
  • Is Ration Card se Various Government Schemes ka Labh utha sakte hain.
  • Ration Card ka upyog karke Nagrik kisi bhi Sarkari ya Private Kamo ke liye istemal kar sakte hain.

Eligibility & Document For Haryana Ration Card

  • Haryana ka ek Sthai Nivasi
  • Aadhar Card
  • Identity Card
  • Postal Address
  • Income Certificate
  • Mobile Number
  • Passport Size Pphoto
  • Previous Electricity Bill
  • Caste Certificate

How To Apply For Haryana Ration Card 2020 Online?

Haryana ke jo bhi Nagrik New Ration Card banbane ke liye ichhuk hain, To niche bataye gye tarike ka upyog karke online aavedan kar satke hain.

  • Aap Food Civil Supplies & Consumer Affairs Departments Government of Haryana ke official site par visit karen.
  • Iske home page se Quick Link me Online Ration Card bale option par click karen.
Ration Card Haryana
  • Iske baad aapke samne Saral Haryana Portal karke ek page open hoga, Isme aapko Log.in Form ke niche Registration Here ka option dikhai dega aap isper click karen.
  • Ab Registration Form open ho jayega, Isme puchhi gyi sabhi Details ko enter karke Validate bale button par click karen.
  • Ab vapas Log.in par par jayen, Isme Log.in Id Aur Password, Captcha Code ko enter karke submit par click kar den.
  • Screen par aapki Profile khul jayegi, Aap Apply For Service par click karen.

Official Site:-  Click Here

Second Step:-

  • Iske baad sabhi Services open ho jayega, Aap Search me Ration Card Type karen.
  • Iske niche se Issuance of Ration Card option par click karen.
  • Ab New Ration Card Form open ho jayega, Isme sabhi details ko enter karen.
  • Form bharne ke baad Submit par click kar den.
  • Last me Screen par Ration Card ki sabhi Details open ho jayega, Jise check kar len aur niche se Atach par click karen.
  • Agle page me apna Identity Proof / Residency Proof Atach karen, Aur sabhi Document ko upload karke Save par click karen.
  • Iske baad aapko Ration Card No. mil jayega.

How To Check Haryana Ration Card Application Form Status

  • Iske official website par jayen.
  • Main page se Track Application Status par click karen.
  • Iske baad ek Form open hoga jisme aap Department & Service ID enter karen.
  • Puri jankari enter karke Check Status par click karen.
  • Aapke Screen par Application Status show ho jayega.

Important Details

Haryana:- Garibi Rekha se niche jo Nagrik apna Jivan Yapan kar rahe hain ya unki aarthik sthiti kamjor hain aur Ration Card banbana chahte hain, To ab aapko idhar udar pareshan hone ki aavashyakta nahi hai aap Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye Online Portal se Ration Card 2020 ke liye aavedan karba sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

  • I have submitted online application for APL ration card of Haryana today. but in my present address village Dehra has got entered in place of Village Niwarsi. How can we correct it.

    abhishek

Leave a Comment