JOBS Sarkari Naukri

Indian Army Recruitment 2020-21 | बिहार में सेना भर्ती रैली से होंगी बंपर भर्तियां, Check Qualification & Vacancies Details

Indian Army Recruitment 2020-21:- Hello Guys, Indian Army Bihar ke kai sare Districts me Class 8th, 10th and Class 12th Pass Yuvaon ko various post ke liye bumper bharti karne ja raha hai. Jiske liye Join Indian Army (Government of India) ke official website http://joinindianarmy.nic.in par Indian Army ki Bharti ke liye kafi sare Notification bhi jaari kiya hai. Jiske bare me sari jankari hamne is post me niche pradan kiya hai.

Join Indian Army ke official site par total 4 Notification jaari kiye gye hain, Is notification ke anusar in Army Recruitment Rallies ke jariye Soldier (GD), Clerk, Store Keeper, Tradesman, Soldier Technical, Soldier Tech Nursing Assistant jaise various Post par bharti ki jayegi.

Yadi aap Bihar Indian Army Recruitment Rallies ke liye ichhuk hain to aapki jankari ke liye bata den ki Muzaffarpur Army Recruitment Rally ke liye 2 Notification jaari kiya gya hai.

Jiske anusar 1st Army Recruitment Rally ke jariye Soldier (GD), Clerk, Store Keeper, Soldier Technical, Soldier Tech Nursing Assistant jaise Posts par Bharti ki jayegi. Jabki 2nd Army Recruitment Rally ke jariye Sepoy Tradesman (Class 8th & 10th Pass) candidates ke liye Vacancy nikali gyi hai.

Bihar Indian Army Recruitment 2020

Yah Indian Army Recruitment Rally Bihar ke 8 Districts West Champaran, East Champaran, Sitamari, Sheohar, Muzaffarpur, Madhubani. Darbhanga, and Samastipur ke eligible candidates ke liye aayojit ki jayegi. Jiske liye Online Registration 16 December 2020 se http://joinindianarmy.nic.in/ shuru kar diya gya hai. Ichhuk candidates 14 January 2021 tak Registration Form bhar sakte hain.

Aur Rally me bhag lene ke liye aavedan karne bale candidates ka Admit Card register Email ID par bheja jayega. Uske baad diye gye official Dates & Time ke anusar Rally me upsthit hona hoga.

Article Join Indian Army
Post Name Indian Army
Start Date of Online Registration 16 December 2020
Last Date Of Online Registration 14 January 2021
Selection Process Physical Efficiency Test (PET) and written test with negative marking
Official Website http://joinindianarmy.nic.in/

Muzaffarpur Bihar Indian Army Recruitment 2020-21 Rally ke liye ichhuk sabhi candidates jo Online Registration karna chahte hain, Ve niche se Post wise eligibility critera ko pura karke Regisration kar sakte hain.

Muzaffarpur Army Recruitment Rally Notification:-1

Soldier -General Duty (All Arms) – Education Qualification & Age Limit

  • Candidates 45% Marks ke sath Class 10th Pass hona chahiye, Sath hi sabhi Subjects me 33% Marks hona anivarya hai.
  • Age 01 Oct 1999 to 01 Apr 2003 ke bich 17 ½ se 21 Varsh hona chahiye.

Soldier Technical – Educational Qualification & Age Limit

  • Candidates 50% Marks ke sath 12th (Physics, Chemistry, Maths, English Subject) se Pass hona chahiye, Aur sabhi Subject me 40% Marks hona chahiye.
  • Age 01 Oct 1997 to 01 Apr 2003 ke bich 17 ½ se 23 Varsh ke bich hona chahiye.

Soldier Tech Nursing Assistant (AMC) – Educational Qualification & Age Limit

  • Candidates ko 50% Marks ke sath Science se 12th Pass hona anivarya hai, (12th me Chemistry, Physics, Bio and English) hona chahiye. Sabhi Subjcets me 40% Marks.
  • Age 01 Oct 1997 to 01 April 2003 ke bich 17 ½ se 23 Varsh ke bich hona chahiye.

Soldier Clerk / Store Keeper / Technical Inventory Management – Educational Qualification & Age Limit

  • 60% Marks ke sath kisi bhi Stream se 12th Pass hona chahiye. Aur sabhi Subjects me 50% Marks hona chahiye.
  • Age 01 Oct 1997 to 01 April 2003 ke bich 17 ½ se 23 Varsh ke bich hona chahiye.

Adhik jankari niche se Official Notification ko check kar sakte hain.

Muzaffarpur Army Recruitment Rally Notification – 2

Sepoy Tradesman (10th pass) – Educational Qualification & Age Limit

  • Candidates ko Class 10th Pass hona anivarya hai, Aur sabhi Subjects me 33% Marks hona chahiye.
  • Age limit – 17 ½ se 23 (born between 1 October 1997 to 01 April 2003).

Sepoy Tradesman (8th Pass) – Educational Qualification & Age Limit

  • Candidates ko Class 8th Pass hona anivarya hai, Aur sabhi Subject me 33% Marks hona chahiye.
  • Age limit – 17 ½ se 23 (born between 1 October 97 to 01 April 2003)

Important Link for Bihar Indian Army Recruitment

Muzaffarpur Army Recruitment Rally Notification:-1Check Here
Muzaffarpur Army Recruitment Rally Notification – 2Check Here
Official Website Visit Here

Aap table me diye gye official link se official notification ko check kar sakte hain. Aur is bharti ke bare me adhik jankari prapt karke Registration process ko pura kar sakte hain.

Lekin agar aapke paas is Bharti se related abhi bhi koi saval hai to niche comment ke through puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment