Hindi Yojna Sarkari Yojna

Jharkhand Fasal Rahat Yojana 2020-21 | किसान कर्ज (ऋण) माफ़ी योजना Online Registration

झारखण्ड फसल राहत योजना ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन | Jharkhand Fasal Rahat Yojan | Kisan Karj Mafi Yojna | फसल राहत योजना ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन | Jharkhand Fasal Rahat Yojna in Hindi

Jharkhand Fasal Rahat Yojana 2020-21:- Jaisa ham sabhi jan rahe hain ki Central Government and State Government abhi lagatar desh ke Kisano ki income me vridhi karne ke liye apni paryash me lagi huyi hai. Kyonki bahut bar prakritik aapdaon ke karan faslo ke nuksan hone par Kisano ko kai saare samasyaon ko samna karna padta hai. Isi ko dhyan me rakhte huye Jharkhand Sarkar ne Rajya ke Kisano ko labh pahunchane ke liye Jharkhand Fasal Rahat Yojana ki shuruat ki hai. Jiske tahat Jharkhand ke Kisano ki faslo ki nuksan par Sarkar ki taraf se nuksan ki Rashi pradan ki jayegi.

Isliye aaj ke is article me Jharkhand Fasal Rahat Yojana/ Kisan Karj Mafi Yojana ki puri jankari pradan karaya gya hai, Jaise Benefits, objectives, features, eligibility, application process, important documents etc. Yadi aap Jharkhand Rajya ka ek Kisan hain, Aur janana chahte hain ki Fasal Rahat Yojana Jharkhand ka labh kaise uthaye to is post ko pura jarur padhen aapko is se related puri jankari mil jayegi.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana 2020-21

Jharkhand Fasal Rahat Yojana Jharkhand Govt. (Hemant Soren) dwara launch ki gyi ek Scheme hai, Jiske tahat Kisano ki faslo ko prakritik aapda ya vemousam barish ke karan nuksan pahunchne par Rajya Sarkar nuksan ki bharpai karayegi, Jo insurance company ke dwara diya jayega. Kyonki is Fasal Rahat Yojana ka labh uthane ke liye Kisano ko apni fasal ka insurance (बिमा) karvakar Premium Rashi ka bhugtan karna hota hai.

Agar aap Jharkhand ka ek Kisan hokar is Scheme ka labh uthan chahte hain, To aapko झारखण्ड फसल राहत योजना ke tahat aavedan karna hoga. Is Yojna me prakritik aapdayen jaise Ola Vrishti, Vemousam Barish, Sukha Padna jaise kai sare aapdaon ko shamil kiya gya hai. Jis se fasal ko barvad hone par Kisano ko Sarkar uski bharpai karegi. Aur jaisa bataya gya ki aavedan karne bale kisano ko hi is Scheme ka labh diya jayega.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana Overview

Name of Scheme Jharkhand Fasal Rahat Yojana
Launched By. Jharkhand Government
Beneficiary Citizens of the state
Objective State Farmers
Year 2020-21
Category State Government Scheme
Official Website Will be Available Soon

Aapko bata den ki kisi karan bus faslo ki nuksan par uski bharpai karne ke liye Jharkhand Sarkar Fasal Rahat Yojana 2020-21 ko implementation ke liye 100 Crore Rupaye ka budget nirdharit kar diya hai. Aur is Scheme ko December 2020 ke last week tak start kar diya jayega.

Jharkhand Kisan karj Mafi Yojana

Jharkhand Sarkar ne Kisan Karj Mafi Yojana bhi Kisano ke liye hi Fasal Rahat Yojna ke sath lagu kiya hai, Jis se Kisano ka Loan se mukti diya jayega. Sidha ham kahe to Kisan Karj Mafi Yojna ke tahat Kisano ko diye gye Loan maaf kar diya jayega. Is yojna ke liye Sarkar ne karib 2,000 Crore Rupaye ka budget tay kiya hai, Jise December 2020 ke last tak shuru kar diya jayega. Aur ha, Kisano ka data collect kar Kisano dwara liye gye kisi bhi bank se karj ko maaf kar di jayegi.

Benefits and features of Jharkhand Crop Relief Scheme

  • Jharkhand Fasal Rahat Yojna ke tahat prakritik aapdaon ke karan fasalo ko huye nuksan par aarthik sahayata pradan ki jayegi.
  • Is yojna ko Pradhan Mantri Fasal Bima Yojna ke sthan par shuru ki gyi hai.
  • Is Yojna me nuksan ki rashi register kisano ko Bima Company dwara di jayegi.
  • Is Scheme ka labh uthane bale Kisano ko pahle Fasal Rahat Yojana me Registration karvana hoga.
  • Fasal Rahat Yojana ko lagu karne ke liye total 100 Crore Rpaye nirdharit kiya gya hai.
  • Is Scheme me Registration karne ke baad Kisano ko Premium ki rashi bhugtan karna hoga.
  • Aur Jharkhand Fasal Rahat Yojna ke antargat Kisano ki income me vridhi hogi, Jis se ve aatmnirbhar ban sakenge.

Jharkhand Fasal Rahat Yojana – Eligibility Criteria

  • Resident certificate for proof that the farmer should be a permanent resident of Jharkhand
  • Must not be registered in any other insurance

Required Document for Fasal Rahat Yojana

  • Aadhar Card
  • Ration Card
  • ID Card
  • Mobile Number
  • Bank Passbook
  • Resident Certificate
  • Income Certificate
  • Passport Size Photo
  • Khasra Number
  • Paper/ Farm Account Number

How to Apply for Jharkhand Fasal Rahat Yojana?

To filhal Rajya Sarkar ki traf se Jharkhand Fasal Rahat Yojana me online Registration karne ke liye koi official website jaari nahi ki gyi hai, Aur na hi koi offline process batalaya gya hai.

Sarkar ki taraf se sirf yahi bataya gya hai ki December tak is Yojana ko lagu kar diya jayegi. But jaise hi Jharkhand Fasal Rahat Yojana ke tahat aavedan prkariya shuru ki jati hai, Ham uski jankari jald hi aapko is page ke madhyam se denge. To hamare website par continue bane rahen.

Conclusion:-

Lekin agar aapke paas is Yojana se sambandhit koi saval hai to niche comment section ke jariye hamse puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment