Sarkari Yojna

Jharkhand Lockdown E-Pass Online Form 2021 यहाँ से भरें

Jharkhand Travelling E-Pass
Written by A to Z Classes

Jharkhand Travelling E-Pass Online Application Form:- Hello Guys, Jharkhand Rajya ke Sarkar dwara Lockdown me bahar nikalne ke liye E-Pass Online Application Form jaari kiya gya hai. Yadi aap Jharkhand Rajya ka ek Nivasi hain aur kisi bhi aavashyak kaam se apne ghar se bahar nikalna chahte hain to Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye E-Pass Online Application Form bhar sakte hain. Aap E-Pass banbane ke baad iski madad se Jharkhand Rajya me jauri kaam ke liye kahi bhi ja sakte hain. Jiske liye sabhi aapko is page me puri jankari mil jayega, Ki aap iske liye Online Application Form ki prakar se bhar sakte hain. Aur iska direct link bhi is post me niche provide karaya gya hai, Taki aapko iske liye kahi jane ki jarurat nahi pad saken.

Aap sabhi ko pata hai ki Government of India ne pure Bharat me Coronavirus Sankarman ko rokene ke liye Lockdown lagu kar di gyi hai. Aise me sabhi logo ko agar jaruri kaam bhi hota hai to ghar se bhar nikalne me Police Prashaasan se dar lagta hai. Isliye Jharkhand Sarkar ne E-Pass banbane ke liye Online Application Form jaari kiya hai, Jiski madad se aap kahi bhi ja sakte hain.

Aapko bata den ki sabhi Rajya Sarkar ke jaisa Jharkhand Sarkar ne bhi pure Rajya me Lockdown lagu kar diya hai, Aur Police Adhikariyo ko nirdesh diya hai ki Lockdown ka Palan nahi karne bale ke khilaf kadi karbaaii ki jaye. Halnki Rajya Sarkar ne un vyakit ke liye E-Pass Online Application Form launch kiya hai jo Essential Services me hain, Aur unhe kaam ke liye bahar jana padta hai. Jharkhand Rajya ke Nagriko ki aavashyak karya ke liye Sarkar dwara E-Pass Application Form bharne ke liye official website https://epassjharkhand.nic.in/public/index.php itna bhi jaari kiya gya hai.

Jharkhand Travelling E-Pass Application Form

To jo bhi Jharkhand Rajya ke Nivasi E-Pass ke liye Application Form jama karna chahte hain wo is page me niche diye gye official link ke madhyam se apna form bhar sakte hain. Aise bhi is Lockdown Mahamari me un sabhi Vyapariao or anya Vyaktiyo ko bahut hi problme ho raha hai. Isliye Jharkhand Chief Minister Hemant Soren ne un sabhi ki madad ke liye Jharkhand Yatra E-Pass suvidha ki shuruat ki hai. Taki sabhi jaruratmand Vyakti apne ghar baithe E-Pass prapt kar saken.

High AuthorityJharkhand Government
Name of StateJharkhand
Started by.By-Chief Minister Hemant Soren
BeneficiaryOriginal Provider
Apply ModeOnline
Article CategoryJharkhand Travel E-Pass Online Application
Official Websitehttps://epassjharkhand.nic.in

Aapko bata den ki Lockdown ke karan utpadak aur apurtikartaon ko jyada nuksan ho raha hai, Isi ko dekhte huye Jharkhand Sarkar ne E-Pass Online Applicatin Form jaari kiya hai. Taki sabhi log E-Pass banbakar apni kaamo ko pura kar sake, Aur unhe kisi bhi chij ka nuksan na ho.

Three Types of E-Pass Will Be Issued

  1. Jharkhand Se Dusre Rajya Jane Ke Liye.
  2. Jharkhand Rajya Ke Andar Kisi Anya District Jane Ke Liye.
  3. Apne District Ke Andar Aavashyak Services Ke Aavagaman Ke Liye.

Jharkhand Yatra E-Pass Online Application

Aapko ek baat aur bata den ki Jharkhand ke nagrik E-Pass banbane ke baad dusre Rajyo me fase huye log bhi apne Rajya me vapas aa sakte hain. Aur Jharkhand Rajya me dusre Rajyo ke fase huye vyakti jo apne Rajya Vapas jana chahte hain, To ve District Administration dwara jaari kiye gye online website https://epassjharkhand.nic.in/public/index.php itna se E-Pass prpat kar sakte hain, Aur apne Rajya vapas laut sakte hain.

List of Documents Required For Jharkhand Travel E-Pass

Ab jo bhi Candidtes E-Pass prapt karna chahte hain, Unhe sabse pahle apne sabhi document ko ek sath karna hoga, Aur Application Form bharte samay use upload karna hai. Jo aapko niche bataya gya hai aap dekh sakte hain.

  • Applicant Name
  • Applicant’s Home Address
  • District / City Name
  • Mobile Number
  • Government-Issued ID
  • RC Book of Car
  • Kisi Sanstha Me Kaam Karne Bale Vyakti Ke Liye Sanstha Ka Identity Card
  • And Other Documents

How To Apply For Jharkhand Travelling E-Pass Online?

Jharkhand Travelling E-Pass Online Application Form bharne ke liye aap sabhi ko yaha par step by step tarika batlaya gya hai, Sath hi official link niche uplabdh karaya gya hai, Aap bataye gye tarike ko follow kar aasani se Jharkhand E-Pass ke liye aavedan kar sakte hain.

  • Aap diye gye link se Jharkhand Government ke official website par visit karen.
  • Ab iske home page par Log.in / Register par click karen.
  • Aapke samne ek box open ho jayega jisme apna Mobile Number enter karen.
  • Ab aapke Mobile par ek OTP aayega jise enter karen.
  • Aur ab SMS dwara prapt Passward aur Mobile Number ke jariye ise Log.in karen.
  • Iske baad aap E-Pass ke liye Application Form bhar sakte hain.
  • Form bhare ke baad mahatvapurn document ko upload karen.
  • Aavedan Form bharne ke baad aapko Jharkhand Yatra E-Pass de diye jayenge.
Apply Online Application FormClick Here
Official WebsiteWebsite

To aap is prakar se Jharkhand Travelling E-Pass ke liye online Application Form bhar sakte hain, Aur E-Pass banbakar sabhi aavashyak chije ke liye apne ghar se bahar nikal sakte hain. Yadi aapko itni jankari ke baad bhi E-Pass Application Form Online bharne me kisi tarah ki problem ho raha hai to aap niche comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Reply to Sila Devi X