JOBS

Kanya Sumangla Yojana 2020 Online Application Form | कन्या सुमंगला योजना Onlne Registration

Written by A to Z Classes

Kanya Sumangla Yojna 2020:- Kanya Sumangla Yojna Rajya ke sabhi Kanyaon ke future ko better banane ke liye kiya gya hai, Is Yojna ke antargat Kanya ke janm se lekar unki padhai aur unke Graduate ki Degree, Jabki yaha tak ki unhe Vivah karbane tak ke samay me aartik sahayata ke roop me Rashi pradan ki jayegi. Jiske liye hamne is article me Kanya sumangla Yojna Online Registration Form 2020 ko lekar puri jankari pradan karai hai, Sath hi iske liye Sarkar ne kuchh guidelines banai hai jo bhi is post ke madhyam se niche share kiya ja raha hai.

Kanya Sumangla Scheme ne na sirf Kanyaon ke Sashaktikaran par jor diya hai, Balki Kanyaon ko bojh manae bale Mata Pita ki Mentalities ko badalne ka bhi pryash kiya gya hai. Jiske tahat kisi bhi Kanya ko bojh nahi balki Desh ka Future mana jayega.

Kanya Sumangla Yojna 2020 की जानकारी

Aap sabhi ko batana chahuga ki Kanya Sumangla Yojna ke Implementation se Beti Bachao Beti Padhao ki avdharna strong hogi, Aur Mahilaon ke Sashaktikaran ko bhi bal milega. Lekin is Yojna ke tahat aavedan karne bale Labharthi ke Parivar Ki aay Maximum 2 Ladki honi chahiye.

Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye Kanya Sumangla Yojna ke madhyam se Rajya ke sabhi Balikaon ko Higher Education pradan karne aur unke Future ko ujjbal banane ke udeshya se is Yojna ko lagu kiya gya hai. Jabki is Kanya Sumangla Yojna 2020 ke tahat Rajya ki Balikaon ko Selfish bane ke liye aarthik sahayata pradan karna aur Samman Laingik Anupat ko sthapit karna hai. Itna hi nahi Kanya Sumangla Yojna ke madhyam se aajkal ke samay me Ladakiyon par ho rahe Samaj me bhrun hatya ko khatm karna aur Ladakiyon ke prati Positive Soch ko viksit karna hai.

Kanya Sumangla Yojna 2020 – Overview

Name of SchemeMukyamantri Kanya Sumangla Yojna
Started byState Government
StateUttar Pradesh
Application ModeOnline
BeneficiaryRajya Ke Sabhi Eligible Ladakiyan
ObjectiveLadakiyon Ko Aatmnirbhar Banana
Official Websitehttps://mksy.up.gov.in/

Kanya Sumangla Yojna Scheme 2020

Rajya Sarkar dwara is Yojna ke tahat Balikaon ko 15,000 Rupaye ki Rashi pradan ki jayegi, Jo kul Rashi 6 Equal Installment me diya jayega, Lekin is Mukhyamantri Kanya Sumangla Yojna ka labh uthane bale labharthi ka Annual Income 3 Lakh ya isse kam honi chahiye.

Kanya Sumangal Yojna 6 Installments
  1. Kanya ke 1 April 2020 ya iske baad janm hone par 6 Mahine ke andar Aavedan karna hoga, Jiske liye Rs. 1000 Rupaye diye jayenge.
  2. Kanya ke 1 Varsh tak ke Tikakaran hone par Rs. 2000 Rupaye ki Rashi di jayegi.
  3. Aur Class 1 (One) me Admission lene par Rs. 2000 Rupaye ki Rashi pradan kiya jayega.
  4. Iske baad jab Ladki Class 6th me Admission leti hai to unhe Rs. 2000 Rupaye milenge.
  5. Aur jab Class 9th me Admission leti hain to Sarkar ki taraf se Rs. 3000 Rupaye pradan karaya jayega.
  6. Jab Class 10th aur 12th Pass karke Academic Session jaari rakhne ke dauran Graduate Degree ya Diploma Course me Admission lene par Rs. 5000 Rupaye ki aarthik sahayata pradan ki jayegi.

Eligibility Criteria For Kanya Sumangla Yojna

  • Kanya Sumangla Yojna ke aavedan karne bale aavedak Uttar Pradesh ka ek sthai nivasi hona chahiye.
  • Labharthi ke Parivar ki Annual Income Maximum 3 Lakh Ruapye honi chahiye.
  • Aur Labharthi ke Parivar me Maximum 2 Ladki honi chahiye
  • Kisi Mahila ke dusre Childbirth ke baad agar Judba Bachhe hote hain to tisri santan ke roop me Ladki ko bhi is Yojna ka Labh nahi diya jayega.
  • Jab koi Parivar me Anath Balika ko god liya hai to Parivar ki Jaivik Santan aur us Balika ko dhyan rakhte huye 2 Ladakiyon ko hi iska Labh diya jayega.

Required Document

  • Aadhar Card
  • PAN Card / Voter ID Card / Driving License /
  • Ration card
  • Income Certificate
  • Bank Account
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Apply For Kanya Sumangala Scheme 2020 Online?

Jo bhi ichhuk Labharthi is Yojna ka labh uthana chahte hain to niche bataye gye tarike ko follow karke online aavedan kar sakte hain.

  • MKSY ke official website par sabse pahle visit karen.
  • Iske home page se Citizen Service Portal ke option par click karen.
  • Click karne ke baad fir se New User Registration Form par click karen.
  • Ab Registration Form open ho jayega.
  • Isme puchhi gyi saari details ko sahi se bharen.
  • Ab aapke phone me ek OTP aayega, Jise enter karke User Id aur Passward ke sath Log.in karen.
  • Log.in karte hi kanya Sumangal Yojna ke liye Registration Form open ho jayega.
  • Form ko puri tarah se bharen, Aur Submit bale button par click kar den.
  • Last me apne Application Form ka ek print out nikal len.

Official Website:- Go Here

MKSY Scheme 2020 Important Details

Yadi aap bhi Mukyamantri Kanya Sumangla Yojna 2020 ka labh uthana chahte hain to iske official site par jakar online Registration kar sakte hain. Jiske bare me sabhi jankari is page me aap sabhi ke liye share kiya gya hai.

Agar aapko Kanya Sumangla Yojna ke liye aavedan form online bharne me kisi prakar ki problem hoti hai to niche diye gye comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment