Hindi Yojna Sarkari Yojna

Kisan Rath Mobile App – Download किसान रथ एप Online Registration

Kisan Rath Mobile App Online Download:- Kisan Rath Mobile App Desh ke sabhi Kisano ko labh pahuchane ke liye Launch kiya gya hai, Jo Bharat Sarkar ke Agriculture Department dwara hal hi me Kisan Rath App ke Naam se desh ke sabhi Kisano ko labh pahuchane ke liye ek nya App Launch kiya hai.

Jaisa ki aap sabhi jante hain ki is Lockdown Mhamari ke karan Desh ke Kisano ko apni phasal ya anya kisi bhi chijo ko sell karne me prashani bad gyi hai, Wo apni phasalon ko Lockdown ke chalte sell nahi kar pa rahe hain. Isliye Sarkar dwara Kisan Rath Aap ko shuru ki gyi hai, Jiske tahat desh ke Kisan apni Phasal ko apne najdiki Market me aasani se lekar ja sakte hain. Aur Vyapari bhi is Mobile App ke jariye phasalon ka byaura dekh sakte hain. To is post me aapko Kisna Rath Mobile App ke bare me sampurn jankari pradan karaya ja raha hai, Aap iske bare adhik jankari prapt karne ke liye is post ko last tak padhe.

Aap sabhi ko bata den ki Bharat ke Agriculture Welfare Minister and Rural Development Minister Shree Narendra Singh Tomar ne pure desh bhar ke Kisano ko suvidha pradan karne ke liye is Kisan Rath Mobile App ko launch kiya hai. Is Mobile App ke madhyam se aavashyak Date aur Sthan par Transport vehicles ki pradan karne ke liye Major Transport Aggregators and Personal Transport ke sath interface kiya gya hai. To iske liye aapko is Application ko apne Mobile Phone me online download karna hoga, Aur uspar apna Register Karna hoga.

किसान रथ मोबाइल एप्प की जानकारी | डाउनलोड लिंक

Aap sabhi ko upar me batlaya gya ki lockdown mahamari ko karan desh ke Kisano ko apni Phasal aur Sabji Sell karne me kafi prasani ho rahi hai, Isi prashani ko dekhte huye Agriculture Minister Narendra Singh Tomar Ji ke dwara phasalon ki katai se lekar use Mandi ya Market me pahuchane me kisi bhi tarha ki samashya ka samna na karna pade, Isliye is Kisan Rath Mobile App ko launch kiya hai. Ab desh ke Kisan Kisan Rath Mobile Application ke madhyam se aasani se apne Phasalon ko khrid aur bikri kar sakte hain.

Is Application ka main udeshya desh ke Kisan, Vyapari aur Truck Driver ko labh pradan karna hai. Is Kisan Rath Mobile App ke mdhyam se 24 April se lekar abhi tak 80,474 Kisano aur 70,581 Vyapariyo ne apna Registration karba chuka hai.

Desh ke jo bhi Kisan is Mobile App ke madhyam se Sarkar dwara di ja rahi suvidha ka labh uthana chahte hain to unhe sabse pahle is Application ko apne Mobile Phone me Google Pay Store me jakar online download karna hoga, Jiske liye hamne is page me niche iska direct link bhi provide karaya hai taki aapko is App ko download karne ke liye kahi jane ki jarurat na pade.

Kisan Rath Mobile Application – Overview

Application NameKisan Rath Application
Department NameKrishi Sahakarita And Kisan Kalyan Vibhag, Bharat Sarkar
Related SchemePM Kisan
Launch Date17 April 2020
Launched byNarendra Singh Tomar
BeneficiaryFarmers, Traders and Service Providers
ObjectiveTransport Mode Identification
Download AppGoogle Paly Store

Is App ke madhyam se Kisano aur Vyapariyon ko Transport Truck ya anya samaan le jane bala vahan ke bare me jankari milegi, Sath hi Kisan Rath Mobile App se Truck ke aane ke samay aur sthan ke bare me bhi jankari prapt hogi. Aur jankari prapt karne ke baad Kisan ek simit samay aur sthan par jakar apni Phasal ko Sell kar payenge.

Benefits of Kisan Rath Mobile App

  • Is Kisan Rath App ka upyog karke Kisan apni Phasal ko Market me bech sakte hain, Ya fir godam tak pahucha sakte hain.
  • Aur Kisan apni jarurat ke anusar Transport Vahano ka select kar sakte hain.
  • Jabki is App ki madad se Vyapari Samaan (Phasal, Fruit, Vegetables) ko karidne ke liye Registration bhi kar sakte hain.
  • Lekin isse pahle Labh prapt karne ke liye labharthi ko khud ko Register karna hoga.
  • Aur Kisan, Vyapariyo aur Service Providers ke liye alag alag Registration ka option hai.
  • Register karne ke liye users ke pass apna Mobile Number, Aadhar Card, Pain Card aur apna Address hona chahiye.
  • Mobile Number aur Password Registration ke samay diye gye uska upyog aavedan me prabesh karne ke liye kiya jayega.

How To Download Kisan Rath Mobile Application?

Agar Desh ke Kisan is Application ka labh uthan chahte hain to niche diye gye official link aur bataye gye tarike ko follow karke is App ko online download kar skate hain.

  • To iske liye aap apne Mobile Phone me Google Pay Store ko open karen.
  • Isme aap search box me jakar Kisan Rath App ko type karen aur search par click karen.
  • Kisan Rath App aapke screen par show ho jayega, Jise aap Install kar len.
  • Install karne ke baad aapko Mobile me download ho jayega.
  • Ab aap ise apne phone me open karke Registration karen.
  • Aapko Registration karne ki process niche bataya ja raha hai.

Official Website:- Click Here

किसान रथ ऐप में अपना पंजीकरण कैसे करें.

  • Aap Kisan Rath App ko apne phone me open karen.
  • Iske baad apna Language ko select karen.
  • Aapko yaha par Sign.in page dikhai dega users ko Register bale Tab par click karna hai.
  • Yaha par aapko Farmer ”category ko select karna hai.
  • Ab apna Name aur Mobile Number enter karen.
  • OTP aapke Moblie par aayega jise verify karen.
  • Phir apna Area (Urban / rural) ko select karen, Aur puchhi gyi sabhi Address ko enter karen.
  • Last me Registration pura ho jayega, Log.in Passwara Registered Mobile No. par bhej diya jayega.

Trader Registration

  • Aap Trader Rgistration ke liye Users Trader ko select karen.
  • “Company” or individual Option me se ek ko select karen.
  • Ab isme puchhi gyi sabhi details ko enter karen.
  • OTP ko generate kare aur puri Address ko bharen.
  • Ab apne Pain Card ka Number enter karen, Aur Application jama karne ke liye Register par click kar den.
  • Registration Process pura hone ke baad Mobile par Log.in Passward ID bhej diye jayenge.

Service Provider Registration

  • Register tab par clicks karen aur Sevice Provider Registration Category ko select karen.
  • Ab apne Agency ya Personal se Relevant Option ko select karen.
  • Agency Name’s, Users Name’s And Mobile No ko enter karen.
  • Ab aap OTP Generate karen aur Email ko enter karen.
  • Iske baad apne Area ko select karke sabhi details ko bharen.
  • ab apna Pain Card ka Number jama karen.
  • Registration pura karke ke liye Register Tab par click karen.
  • Aapne Moblie Phone me SMS ke jariye prapt Passward ko save kar len.

Last Word:-

Aap is prkar se Kisan Rath Mobile Application ko apne phone me online download kar sakte hain, Aur download karne ke baad is post me bataye gye step by step tarike ko follow karke apna Registration bhi kar sakte hain. Yadi aapko Kisan Rath Mobile App me Register karne me kisi bhi tarah ki problem aati hai to aap niche se comment box ke jariye puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment