Sarkari Yojna

Madhya Pradesh Pratibha Kiran Yojna – प्रतिभा किरण Online Registration Form 2020

Madhya Pradesh Pratibha Kiran Yojna
Written by A to Z Classes

Madhya Pradesh Pratibha Kiran Yojna 2020:- Madhya Pradesh Sarkar ne ek nai Yojna ki Shuruaat ki hai jiska Naam Mukhyamantri Pratibha Kiran Yojna hai, Is Yojna ke madhyam se MP ke Mehavi Students ko unki Padhai ke liye Sahayata Rashi pradan ki jayegi. Aaj ke samay me Desh ke bahut se aise Rajya hai jaha bahut se Students apni Garibi ya aarthik sthiti kamjor hone ke karan apni Padhai ko jaari nahi rakh pate hain. To isi Samasya ko aur Kathinaiyon ko samadhan karne ke liye MP ke Chief Minister Shivraj Singh Chauhan ne Pratibha Kiran Yojna 2020 ki Shuruaat ki hai.

Is Yojna ke antargat Madhya Pradesh ke Class 12th ke Medhavi Students ko unki aage ki Padhai yani Graduation Course ke liye Scholarship ke roop me Rs. 4,000 Rupaye ki aarthik madad pradan ki jayegi. Jiski bare me is article me pure vistar tarike se bataya ja raha hai. Aap is post se MP Pratibha Kiran Yojna ki Registration Process, Eligibility Criteria, Application Status jaise aur bhi aavashyak jankari prapt kar sakte hain.

Madhya Pradesh Pratibha Kiran Yojna 2020

Aapko bata den ki MP Chief Minister ne aise to Rajya ke sabhi Garib ya anya Students ke ujjwal bhavishya ke liye aur bhi bahut se Yojnao ki shuruaat ki hai. Lekin is Mukhyamantri Pratibha Yojna Madhya Pradesh jo Medhavi Students Garibi ke karan apni Padhai chhod dete hain unke liye Special yah Yojna ki shuruaat ki gyi hai, Taki is Yojna ke madhyam se Rajya ke Medhavi Students ki aage ki Padhai ke liye Scholarship pradan kiya ja sake. Aur unhe Graduation ki Padhai karne me kuchh Financial Help ho sake.

To is Yojna me Board of Secondary Education and CBSE / ICSE Board ke Medhavi Students ko Scholarship pradan karke unhe labhanvit karne ka kaam kiya jayega. Yadi aap bhi ek MP State ke Students hain aur Academic Session 2029-20 me Class 12th yani Intermediate me 60% se adhik Marks prapt kiye hain to is MP Pratibha Yojna 2020 ka Labh uthane ke liye aavedan kar sakte hain. Jiska official link is page me niche provide karaya gya hai.

MP Mukhyamantri Pratibha Kiran Yojna 2020 – Overview

Name of SchemeMadhya Pradesh Pratibha Kiran Yojana 2020
Started byState Government
BeneficiaryMedhavi Students
ObjectiveMedhavi Students ki Higher Eduacation prapt karne me Sahayata Pradan karna
Application ProcessOnline
BenefitRs. 4,000 Rupaye ki Scholarship
CategoryMP Government Schemes
Official Sitewww.scholarshipportal.mp.nic.in

Benefit of MP Pratibha Kiran Yojna

  • MP ke Medhavi Students jo apni Garibi ke karan Padhai puri nahi kar pate hain unhe is Yojna ke madhyam se Scholarship pradan kiya jayega.
  • Jo Students Board of Secondary Education and CBSE / ICSE Board Exam me 60% se adhik Marks prapt kiya ho use is Yojna ka Labh dene ka Karya kiya jayega.
  • Is Yojna ke liye aavedan karne ke baad Per Year Rs. 4,000 Rupaye ki Rashi Scholarship ke roop me di jayegi.
  • Aap is Scholarship ki Rashi Government Medical, Engineering, Management, Law, Private Ara ke Marked Sabhi Medical Engineering College me Admission ke liye upyog kar payenge.

Eligibility Criteria For Pratibha Kiran Yojna

  • Sirf MP ke Class 12th me High Marks prapt karne bale Medhavi Students ko iska Labh pradan kiya jayega.
  • Is Yojna me aavedean karne ke liye Class 12th Exam me 60% se adhik Marks hona aavashyak hai.
  • Aur sirf Shahri Area ke Students hi is Yojna ka Labh lene ke liye eligible hain, Gramin Area ke nahi.
  • BPL Category me aane bale Garib Parivaro ke Medhavi Students ko is Yojna ka Labh pradan kiya jayega.

Important Document

  • Aadhar Card
  • Identity Card
  • Income Certificate
  • Residence Certificate
  • Mobile Number
  • Bank Account Passbook
  • 10th Passed Mark Sheet
  • 12th Passed Mark Sheet
  • Admission Certificate From College / University
  • Passport Size Photo

How To Apply For Madhya Pradesh Pratibha Kiran Scheme 2020?

MP Pratibha Kiran Yojna 2020 ke liye online aavedan karne ke liye ichhuk Students niche bataye gye tarike ko follow kar sakte hain.

  • Sabse pahle State Scholarship Portal 2.0 ke official site par visit karna hoga.
  • Isk main page se Register Your Self bale option par click karen.
  • Ab ek naya page open ho jayega, Jisme New registration in 2019-20 ki process show ho jayega.
  • Aap sabhi jankari ko Padhkar Declaration Letter me diye gye box me Tik lagakar Continue par click kar den.
  • Phir ek naya page open ho jayega jisme aap Aadhar Card No. enter karke Check & Verify bale button par click kar den.
  • Ab Screen par aavedan form open ho jayega, Form ko puri tarah se bharen.
  • Aur sabhi Important Document ko upload karke niche se Submit par click kar den.
  • Is prakar aapka Aavedan Form pura ho jayega.

Official Website:-  Click Here

How To Check MP Pratibha Kiran Scheme Application Status Online?

MP Government ke official website se Pratibha Kiran Yojna ke antargat aavedan karne bale Students bataye gye tarike ko follow karke apna Application Status ko check kar sakte hain.

  • Aap iske official portal par diye gye link se visit karen.
  • Home page se aap Track Gaon ki beti / Pratibha Kiran /Vikramaditya Yojna Application Status bale option par click karen.
  • Ab ek new page open ho jayega, Isme aap aavedan ke samay prapt Applicant ID aur Academic Year ko select karke Show My Application par click karen.
  • Aapke Screen par scholarship Application Status show ho jayega.

Contact Number:-

Toll Free No:- 0755-2660063

Yadi aapko online aavedan karte samay kisi prakar ki problem aati hai to diye gye is Helpline Number par Call karke jankari len sakte hain, Ya phir niche diye gye comment box se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment