Full Form

NDRF Full Form In Hindi, NDRF का फुल फॉर्म क्या होता है

ndrf full form
Written by A to Z Classes

NDRF Full Form:- Hello Friends, Kya aap jante hain ki NDRF ka full form kya hota hai aur ise hindi me kya kahte hain. NDRF kya hai aur ye kis prakar kaam karta hai, NDRF ka pura naam kya hota hai, NDRF kise kaha jata hai. To ye saari jankari aap sabhi is article ke dwara diya ja raha hai jise aap padhkar iske bare me pura jankari parapt kar skte hain.

NDRF Ka Full Form Kya Hai

Aap sabhi ko bata den ki NDRF ka full form National Disaster Response Forse hota hai aur ise hindi me राष्ट्रीय आपदा प्रतिक्रिया बल kaha jata hai. NDRF ek aise force hote hain jo Natural Calamity aane par kaam karti hai jaise ki Earthquake, flood (भूकम्प, बाढ़) jaise halat hone par NDRF force ki team ko banakar logo ko madad ke liye kaam par bheja jata hai. Aapne bahut baar News me suna hoga ki NDRF ki team mauke par pahuch gayi hai aur logo ko surakshit sthan par nikala ja raha hai.

NDRF ki team 12 battalion ki Paramilitary Lines Force hoti hai isme 3 BSF, 2 CISF, 3 CRPF, 2 ITBP, Aur 2 SSB ki force Shamil hote hain. Aur yah force earthquake ke Samay earthquake se prabhavit area me jakar waha par sabhi ko relief dete hain. Is force me Shamil hone bale sabhi candidate ko earthquake se tackling hone ke liye kafi training diya jata hai jiske help se wo rescue kar sakte hain.

NDRF (एनडीआरएफ) क्या है?

NDRF ek Citizen protection police force hai, iska gathan Disaster Management Act 2005 ke antargat kiya gya tha. Yah emergency ya disaster (आपदा) ke samay hone bale troubles ko door karne ki vishes dhyan rakhte hain. Inhe har chij ko tackling karne ke liye pura training diya jata hai. Aur Ye har Natural disasters me logo ko help karne ke liye kaam aata hai.

NDRF Ke Battalion

NDRF me kull 12 battalion hote hai aur in 12 battalion me 3 CRPF , 3 BSF, 2 CISF , 2 ITBP, Aur 2 SSB ki force shamil hote hai aur ye country ke 12 sabse adhik distressed (आपदाग्रस्त) ilaako me hote hain jise aap niche se padh sakte hain.

  • 01 Bn NDRF, Guwahati, Assam – BSF
  • 02 Bn NDRF, Kolkata, West Bengal – BSF
  • 03 Bn NDRF, Mundali, Odisha – CISF
  • 04 Bn NDRF, Arakkonam, Tamil Nadu – CISF
  • 05 Bn NDRF, Pune, Maharashtra – CRPF
  • 06 Bn NDRF, Gandhinagar, Gujarat – CRPF
  • 07 Bn NDRF, Ghaziabad, Uttar Pradesh – ITBP
  • 08 Bn NDRF, Bhatinda, Punjab – ITBP
  • 09 Bn NDRF, Patna, Bihar – BSF
  • 10 Bn NDRF, Vijayawada, Andhra Pradesh – CRPF
  • 11 Bn NDRF, Varanasi, Uttar Pradesh – SSB
  • 12 Bn NDRF, Itanagar, Arunachal Pradesh – SSB

NDRF Ki Bharti Kaise Hoti Hai?

Bata den ki NDRF me direct recruitment nahi hoti hai. NDRF me Paramilitary force se battalion ko deputation ke adhar par posted kiya jata hai. NDRF me aaj ki time me jo Paramilitary force ki battalion posted hain jise aap nihce se dekh sakte hain.

  • Border Security Force – Three Battalions
  • Central Reserve Police Force – Three Battalions
  • Central Industrial Security Force – Two Battalions
  • Arms Border Force – Two Battalions
  • Indo-Tibetan Border Police – Two Battalions

NDRF के बारे में कुछ महत्वपूर्ण Jankari

  • NDRF ka full form National Disaster Response Force hoti hai.
  • Iske liye india government ke dwara NDRF ka gathan kiya gya tha.
  • Aur iska gathan disaster management act 2005 ke under kiya gya tha.
  • NDRF me aavedan karne bale sabhi candidates ko ek special training diya jata hai.
  • Aur jab kabhi bhi India me kahi bhi disaster (आपदा) aati hai to waha NDRF ke team ko help Karne ke liye bheja jata hai
  • Aapko NDRF me bharti hone ke liye 12th paas hona hoga aur SSB, ITBP aur CRPF me se kisi bhi force me bharti hona padega.

To aap sabhi NDRF Full Form in Hindi kya hota hai iske bare me aap jaan hi gye honge. to aasha hai ye article aap sabhi ke liye helpfu rahi hogi. Article achhi lagi to ise share jarur karen.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Reply to Raju Kumar kamat X