Sarkari Yojna

One Nation One Ration Card Scheme – एक देश एक राशन कार्ड योजना 2020 की जानकारी

One Nation One Ration Card Yojna 2020:- Union Food Minister and Public Distribution Minister Ram Vilas Paswan ke dwara jaari kiye gye One Nation One Ration Card Scheme ke antargat Desh ke sabhi nagrik apne Desh ke kisi bhi PDS Ration Store se Ration prapt kar payenge. Kyonki iski ghosna khud Union Food Minister and Public Distribution Minister Ram Vilas Paswan ne ki hai.

Isliye aap sabhi ko is post me is Yojna ke tahat milne bali sabhi suvidhaon ke bare me saari jankari share kiya ja raha hai, Ki aap kis prakar se One Nation One Ration Card Scheme ka labh prapt kar sakte hain.

One Nation One Ration Card Yojana की जानकारी

Kendra Sarkar dwara 20 Lakh Crore ka Aarthik Package ke bare me jab ghosna ki gyi uske dusre din baad Desh ke Finance Minister Nirmala Sitharaman Ji ne is Yojna ke tahat nai ghosna ki hai. Jankari ke mutabik aap sabhi ko bata den ki COVID-19 Coronavirus Lockdown Mahamari ke karan desh ke jo Garib log pareshan hain unhe One Nation One Ration Card Scheme ke jariye unki sahayata ke liye kuchh rahat pahuchaya jayega. Iske anusar One Nation One Ration Card Scheme ko pure desh me lagu kiya jayega, Aur PDS ki 83% Population bale 23 Rajyo me 67 Crore Labharthion ko fayda milega.

Is Yojna ke tahat August 2021 tak isme 100% labharthi ko joda jayega, Aur Desh ke Nagrik Desh ke kisi bhi kone se apne Ration Card ke madhyam se Uchit Mulya par Ration bale Store se Ration le payenge.

Ek Desh Ek Ration Card Yojna 2020

Is varsh Kendra Sarkar dwara One Nation One Ration Card Scheme ko isi saal Marked States me ise launch kiya jana hai. Iske lagu hone ke baad sidhe tarur par iska fayda Desh ke har logo ko diya jayega, Aur ek baar Ration Card banbane ke baad Desh ke kisi bhi area me us Card ki madad se Grain (अनाज) liya ja sakega,

Abhi aap sabhi ko bata den ki is Yojna ko Pilot Project ke taur par do Cluster States Andra Pradesh & Telangana aur Maharashtra & Gujarat me shuru ki gyi hai, Iske baad ab Andra Pradesh ke log Telangana me aur Telangana ke log Andra Pradesh me kisi bhi Ration Store se Ration le sakte hain, Isi tarah Maharashtra ke log Gujarat aur Gujarat ke log Maharashtra ke log wha jakar waha ki Ration Store se Ration le sakte hain. To aap is post ko ant tak padhe iske bare me saari jankari aapko mil jayegi.

एक राष्ट्र एक राशन कार्ड योजना 2020

Iske liye Union Food Minister ka kahna hai ki is Yojna ko lagbhag 1 June 2020 tak pure Desh me shuru kar di jayegi, Aur yah bhi kaha hai ki Present Time me Ration Card ke liye 14 States me POS Machine ki suvidha shuru ho chuki hai, Baki bache Rajyo me is suvidha ko bahut jald shuru kiya jayega.

Jaisa aapko upar bataya gya ki is Card ke madhyam se agar koi vyakti ek dusre Rajyo me rahta hai to vah kisi bhi PDS Ration Store se Ration prapt kar sakta hai. Aur is Scheme ko lagu karne ke baad Kendra Sarkar ko sabhi PDS dukano par POS bhi lagana hoga.

Objective of One Country One Ration Card Scheme 2020 (एक देश एक राशन कार्ड योजना का उद्देश्य)

  • One Nation One Ration Card Schme ka Main Udeshya hai ki Desh me Fake Ration Card ko rokne me madad milegi, Aur Desh me chal rahe bhrashtachar ko roka jayega.
  • Jabki is Schemes ke shuru hone ke baad koi vyakti ek sthan se dusre sthan par jata hai to use Ration prapt karne me koi problem nahi hoga.
  • Aur is Yojna ka fayda Pravasi Majduro ko adhik hoga.
  • Kendra Sarkar is Yojna ko samay rahte hi pure desh ke alag alag Rajyo me aarambh karegi, Jisse jyada se jyada log is Yojna ka labh prapt kar saken.

Key Facts of One Nation One Ration Card Scheme

Name of SchemeOne Nation One Ration Card
Started byShri Ram Vilas Paswan
ObectiveKoi bhi Vyakti Subsidized Food Prapt karne se Vanchit Na Rahe
Scheme Start01 June 2020
BenificaryAll India Ration Card Holder
Nodal AgencyFood Corporation of India

Benefits of One Country One Ration Card Scheme 2020

  • Desh ke koi bhi vyakti is Yojna ka Labh June 2020 se utha sakta hai.
  • Aur jo log garib hain aur apne Rojagar ki talash me dusre Rajya jate hain vo bhi is Yojna ka labh prapt kar sakte hain.
  • Jabki har Consumer apne Ration Card ki madad se Kisi bhi PDS Store se Ration khrid sakta hai.
  • Abhi tak Desh ke kai Rajyo jaise Andhra Pradesh, Gujarat, Karnataka, Rajasthan Haryana, Jharkhand, Kerala, Tripura Telangana, Maharashtra ityadi jaise State me PDS System ke Integrated Management ki shuruat teji se chal rahi hai,

How To Apply in One Nation One Ration Card Schemes 2020?

To iske liye Desh ke kisi bhi Ration Card Dharak ko One Nation One Ration Card Scheme ke liye kisi prkar ki Offline ya Online Aavedan karne ki jarurat nahi hai, Isme sabhi Rajya aur Kendra Sarkar uplabdh aakdo ke anusar Labharthi ek Ration Card Aadhar Card, Mobile Number se verify kar Link karegi. Iske baad Integrated Management Public Distribution System ke tahat aakdo ko uplabdh karayegi, Phir Eligible Nagrik Desh me kahi se Ration prapt kar sakte hain.

One Nation One Ration Card New Update

Iski ghosna pichhle saal june me kiya gya tha, aur is varsh 1 January ko 12 State ek dusre ke bich Integrated ho gya. Aur ab 17 Rajya PDS ke Integrated Management par hai, Baki bache ko June 2020 tak shamil kar di jayegi.

Is Food safety act ke tahat 810 Milion me se 600 Milion Labharthion ka labh hoga, Aur iske jariye in Rajyo ke Pravasi Majduro ko ek badi madad hogi jo kahi se bhi Subsidy bale Food grains prapt kar sakte hain.

One Ration Card Scheme

One Ration Card Yojna ke tahat Bihar Uttar Pradesh sahit 5 aur State Bihar, UP, Punjab, Himachal Pradesh and Daman and Diu ko bhi Ration Card System ke sath integrated kiya gya hai. One Nation One Ration Card ke tahat in sabhi Rajyo ke eligible nivasi ksi bhi PDS Store se Ration utha sakte hain.

Aur aap sabhi ko bata den ki Ration Card Desh ke 11 Rajyao me Aadhar se Link kiya ja chuka hai, Jabki in Rajyo me Ration ka Allocation point of sale ke jariye kiya ja raha hai. Is Yojna ko 1 January 2021 tak Andhra Pradesh, Telangana Gujarat, Maharashtra, Haryana, Jharkhand, Punjab, Karnataka, Kerala Tripura, Rajasthan Ityadi 11 States me shuru kar di jayegi.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment