Sarkari Yojna

Pradhan Mantri Ujjwala Yojna 2022 – (PMUY) Online Application Form/ KYC Form State Wise

Written by A to Z Classes

Pradhanmantri Ujjwala Yojna 2022 Online Application Form:- Bharat ke Pradhanmantri Shree Narendra Modi Ji ne PM Ujjwala Yojna Desh ke Garib Nagriko ke ke liye shuru ki hai, Is yojana ke tahat LPG Connection un sabhi garib mahilaon ko muft me diye ja rahe hain jo khana banane ke liye abhi tak pradushit indhan ka upyog kar rahe hain. Aur is Pradhanmantri Ujjwala Yojna ke antargat Mahila Sashaktikaran ko badhawa dena aur sabhi Mahilaon ko suraksha bhi pradan karne ki kosis ki ja rahi hai.

Pradhanmantri Ujjwala Yojna ek bahut hi achhi Yojna hai jo Government of India ke dwara 1 May 2016 ko pahli baar Uttar Pradesh ke Baliya Districts se shuru kiya gya tha. Yah Yojna 3 se 4 varsh me 8 Crore se adhik parivaro ko LPG Connection pradan karne ke lakshya se shuru ki gyi thi. Jiske liye aapko is article me puri jankari provide karaya ja raha hai, Taki aap is post ko padhkar PM Ujjwala Yojna ke liye Application Form online aasani se bhar saken.

Pradhan Mantri Ujjwala Yojna 2022 Online Application Form

Pradhan Mantri Ujjwala Yojna ke tahat Bharat Sarkar dwara Desh ke sabhi APL, BPL Aur Ration Card Dharak Mahilaon ko Gharelu LPG Gas Uplabdh karaya jayega, Jo ki is yojna ka karya Kendra Sarkar ke Petroleum and Natural Gas Mantralaya ke madhyam se kiya ja raha hai. Agar aap bhi is Yojna ka labh uthana chahte hain to iske liye online Application Form 2022 bhar sakte hain.

Aavedan karne ke baad Pradhanmantri Ujjwala Yojna ke antargat labharthiyon ko 1 Gas Chulha aur 1 LPG Gas Cylinder Rs. 3200 Rupaye me pradan ki jayegi, Jisme Sarkar ke taraf se 1600 Rupaye unke aarthik sahayata ke liye diye jayenge, Aur Gas Company ki taraf se 1600 Rupaye Installment ke roop me pradan ki jayegi. Jabki Pradhanmantri Ujjwala Yojna ke aavean karne ke liye Labharthi Mahilaon ki Age 18 Varsh ya usse adhik honi chahiyi tabhi is Yojna ka labh utha sakte hain.

Pradhan Mantri Ujjwala Yojna 2022 Highlights

Name of SchemePradhan Mantri Ujjwala Yojna 2020
Starte byPrime Minsiter Narendra Modi
MinistryPetroleum Gas Mantralaya
Launch Dates01 May 2016
BeneficiaryGarib Varg Ki Mahilayen.
EligibilityAll Ration Card And Holder Families
Financial AssistanceRs. 1600/- Per LPG Connection.
Total BudgetRs. 8000 Crore
Type of SchemeCentral Govt. Scheme
Toll Free Number18002666696
Official Websitewww.pmuy.gov.in

PM Ujjwala Scheme Objective

Sarkar dwara diye jane bali Pradhanmantri Ujjwala Yojna ka mukhya udeshya Desh ke sabhi impure fuel ko chhodkar LPG Indhan ka badhwa dena hai aur paryabaran ko dushit hone se bachana hai. Aur garibi rekha se niche aane bale sabhi parivaro ko jinko lakdi ka upyog karke chulha par khana banana padta hai jiske dhuen se Mahilaon ki swaasth ko hani pahuchata hai. Iski ko dekhte huye Pradanmantri Ujjwala Yojna ka shuruaat ki gyi hai taki LPG Gas ka upyog karke khana banaya jayea aur sabhi ko swasth rakha ja saken.

Benefits of Pradhan Mantri Ujjwala Yojana

  • Is Yojna ka labh Desh ke Garibi Rekha ya usse niche aane bale sabhi Parivaro ko pradan kiya jayega.
  • Aur Desh ke Mahilaon ko is Yojna ke antargat Free me LPG Gas Cylinder ka Connection uplabdh karaya jayega.
  • Jabki Pradhanmantri Ujjwala Yojna 2022 ka labh 18 Years se adhik ke Mahilaon ko uplabdh karaya jayega.
  • Pradhan Mantri Ujjwala Yojna ka main udeshya desh ke 8 Crore Gharo me muft me Gas Connection dena hai, Jiske liye aavedak ka apna Bank Account hona aavashyak hai.

Important Document For PM Ujjwala Yojna

  • Aadhar Card
  • Ration Card
  • Voter ID
  • Passport Size Photo
  • LIC Policy
  • Bank Account Number
  • Driving Licenses
  • Mobile Number

How To Apply For Prime Minister Ujjwala Scheme 2022?

  • PM Ujjwala Yojna ke liye aavedan karne ke liye sabse pahle iske official website par jakar iske aavedan form ko online download karna hoga.
  • Form ko download karne ke baad isme puchhi gyi saari jankari ko sahi sahi bahrna hoga.
  • Aur sabhi document ke sath ise apne najdiki Gas Agency me jakar jama kar den.
  • Jabki aavedan karte samay aapko yaha bhi batana hoga ki aap 14.2 Kilogram ka Cylinder lena chahte hai ki 5 Kilogram ka.
  • Gas Agency ke Adhikari dwara aavean form verified karke 1 ya 2 saptah ke andar aapka LPG Connection prdan kar di jayegi.
PMUY Application Form DownloadDownload Aavedan Form
PMUY KYC Application FormDownload Aavedan Form
Official WebsiteWebsite

PM Ujjawala Yojna ke official website aap aavedan form ko download kar sakte hain, Ya aap apne najdiki LPG Distribution Center par jakar bhi le sakte hain. Agar aap iske bare me aur adhik jankari prpat karna chahte hain to LPG Gas Agency me ja sakte hain. Aise to is Yojna ke tahat lagbhag 8 Crore Garib Parivaro ko Free me LPG Connection dena hai.

PMUY State Wise LPG Connection 2022

Name of StatesTotal Connections Provide  
Andaman & Nicobar Islands13,103
Andhra Pradesh3,90,998
Arunachal Pradesh44,668
Assam34,93,730
Bihar85,71,668
Chandigarh88
Chhattisgarh29,98,629
Dadra and Nagar Haveli14,438
Daman and Diu427
Delhi77,051
Goa1,082
Gujarat29,07,682
Haryana7,30,702
Himachal Pradesh1,36,084
Jammu and Kashmir12,03,246
Jharkhand32,93,035
Karnataka31,51,238
Kerala2,56,303
Lakshadweep292
Madhya Pradesh71,79,224
Maharashtra44,37,624
Manipur1,56,195
Meghalaya1,50,664
Mizoram28,123
Nagaland55,143
Odisha47,50,478
Puducherry13,566
Punjab12,25,067
Rajasthan63,92,482
Sikkim8,747
Tamil Nadu32,43,190
Telangana10,75,202
Tripura2,72,323
Uttar Pradesh1,47,86,745
Uttarakhand4,04,703
West Bengal88,76,053

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

  • Thank you for sharing this information. Love your blog post. Please Keep updating. You can also visit our blog for

Leave a Reply to Online News X