Sarkari Yojna

Samajik Suraksha Pension Yojana Rajasthan – Rajssp Pension Online Form @rajssp.raj.nic.in/

Samajik Suraksha Pension Yojana
Written by A to Z Classes

Rajssp Pension Yojana:- Rajasthan Sarkar ke dwara shuru ki gayi Rajssp Scheme ke bare me puri jankari dene ja rahe, Aap niche diye gaye link ka upyog kar ke is yojana ke liye online apply bhi kar sakte hai. Rajasthan Sarkar ke dwara garib, besahara aur viklang logo ko financial help pradan karne ke udeshya se Rajya sarkar ne Samajik Suraksha Pension Yojana Rajasthan (Rajssp) shuru ki gayi hai. Is samajik kalyan yojana ke madhyam se, Rajsthan sarkar bujurg logo ko pension ke rup me kuch rashi pradan karti hai. Is pension yojana ko Rajssp Pension ke naam se bhi jana jata hai.

Rajya ke logo ke hit me dhyan me rakhte huye, Rajasthan sarkar dwara kai yojanaon shuru ki gayi hai. Isi kram me public welfare Rajasthan Samajik Suraksha Pension Yojana (Rajssp Pension) shuru ki gayi hai. Is yojana ke madhyam se sabh garib, beghar, besahara aur viklang logo ko financial help ke rup me rashi pradan ki jayegi, Taki unhe apni aajivika ke liye kisi aur par nirbhar nahi hona pade.

Social Security Pension Scheme

Is Samajik Suraksha Pension Yojana Rajasthan (Rajssp) ka mukhya udeshya garib logo ki samajik suraksha nischit karna hai. Aur unke surivival ke liye aarthik rup se unka samrthan karna hai. Aise kai karan samne aaye hai jaha viklang, Vridh aur vidhwa mahilaon ko parivar ke sadsayon dwara samman nahi milta hai. In sabhi karano se, ek vyakti ke aatmsamman ki bhavna me giravat aati hai. In sabhi samasyon ke samadhan ke liye samajik surksha pension shuru ki gayi hai.

Is article me aap sabhi ko Samajik Suraksha Pension (Rajssp) yojana ka labh aap kaise utha sakte hai, Samajik Suraksha Pension ke liye kon eligible hai, Rajasthan Samajik Suraksha Pension ke tahat alag alag category me kitne pension prapt ki ja sakti hai. Ham aapko is post ke madhyam se in sabhi savalaon ki puri jankari dene ki kosish karenge.

ArticleSamajik Suraksha Pension Yojana (Rajssp)
AuthoritySocial Justice and Empowerment Department, (SJED)
StateRajasthan
सहायता राशिगरीब, निराश्रित, विकलांग व्यक्तियों को पेंशन के रूप में वित्तीय सहायता प्रदान करना
Mode of ApplicationOnline & Offline Form
Official Websitehttps://rajssp.raj.nic.in/

RAJSSP Pension Yojana

Rajasthan ke Department of Social Welfare and Empowerment ke dwara Central aur Rajasthan sarkar ki alag alag Pension Yojanao ko Samajik Suraksha Pension (Rajssp) me mila diya gaya hai. Is vilay ke bad sabhi labharthi ke bich pension rashi ka vitran Central aur Rajasthan sarkar dwara sanyukt rup se kiya jata hai. Rajssp Pension me vilay ki gayi yojanao ka vivran is prakar hai:-

Central Government Sponsored Pension Schemes

  • Indira Gandhi National Old Age Pension Scheme (IGNOAPS)
  • Indira Gandhi National Widow Pension Scheme (IGNWPS)
  • Indira Gandhi National Disability Pension Scheme (IGNDPS)

State Government Sponsored Pension Schemes

  • State Old Age Pension Scheme (SOAPS)
  • State Widow Pension Scheme (SWPS)
  • State Disability Pension Scheme (SDPS)

Financial Benefits Payable Per Month

Sabhi Pension labharthi ko alag alag category ke anusar Rs 750 to Rs 1,000 per month pension labh pradan kiya jayega. Yah pension rashi kendra aur rajya sarkar dwara sanyukt rup se kiya jayega.

Rajssp Pension – Eligibility Criteria

Jaisa ki hamne upar bataya hai ki central aur rajya sarkar ki yojanaon ko Rajssp ke tahat mila diya gaya hai, Is alag alag yojanaon ke anusar Eligibility criteria ka detail diya gaya hai:-

National Pension Scheme Eligibility Criteria

SchemeRequirementAnnual Income
IGNOAPSWomen and men |Age – 60 yearsBelow Poverty Line (BPL)
IGNWPSWidow women |Age – 40 yearsBelow Poverty Line (BPL)
IGNDPS80% of handicapped women, male |Age – 18Below Poverty Line (BPL)

 State Pension Scheme Eligibility Criteria

SchemeRequirementAnnual Income
SOAPSWomen over 55 years of age and older people above 58 yearsBelow Rs.48000/-
SWPSA widow woman over 18 years of age who is not married againBelow Rs.48000/-
SDPSMore than 40% of disabled persons who do not get any other financial assistance from the governmentBelow Rs.60000/-

Samajik Suraksha Pension Essential Documents

  • Identity card
  • Bhamashah ID
  • Income proof
  • Birth certificate
  • Bank account information

How To Apply Online For Samajik Suraksha Pension?

Rajssp Pension Yojana ke labh ke liye aap online aur offline apply kar sakte hai. Online bharne ke liye aap niche diye gaye link aur bataye gaye steps ko follow kar sakte hai:-

  • Iske homepage par aap “Application Form” ke link par click kare.
  • Aapke samne application form open ho jayega, Jise sahi tarike se bhar den.
  • Form bharne ke bad, Online submit kar den.
  • Application form ka print out lene ke bad, iska application status bhi check kar sakte hai.

How To Apply Offline For Samajik Suraksha Pension?

Aap Rajasthan Samajik Suraksha Pension Yojana ke liye offline mode ke madhyam se bhi avedan kar sakte hai. Iske liye aapko niche diye gaye Steps ko follow karna hoga:-

  • Sabse pahle aapko najdiki Sub Divisional Officer / Block Development Officer ke yaha visit karna hai.
  • Divisional Officer / Block Development Officer se application form bharne den.
  • Form me jaruri documents attach karne ke bad, Tehsildar or Naib Tehsildar ke pasa approval k liye jama kar den.
  • Tehsildar ke approval ke bad, Disposal Authority ke pass bheja jayega.
  • Ant me aapko is yojana ka labh utha sakte hai.

Official Website:- Rajssp Log.in

Hamne Samajik Suraksha Penison ki puri jankari yha pradan ki hai. Yaha se aap offline aur online dono tarah se avedan kar sakte hai. Yadi aapko avedan karne me koi bhi problem ho rahi ho, To niche comment me apna saval puch sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

  • सर नमस्ते, आस्था कार्ड धारी एवं विशेष योग्यजन 40%पेंशन प्राप्त करने वाला मुखिया का बीपीएल राशन कार्ड बनवा सकता है

Leave a Reply to Kamlesh Kumawat X