Hindi Yojna

Sonu Sood Free E-Rickshaw Scheme 2021 | खुद कमाओ घर चलाओ योजना Online Registration, Check Eligibility & Dates

Sonu Sood Free E-Rickshaw Yojana Online Registration:- Jaisa aap sabhi ko pata hoga ki Bollywood Actor Sonu Sood ke dwara desh ke jaruratmand logo ko madad karne ka silsila COVID-19 mahamari me pravasi majduro ko ghar pahunchane se lekar abhi tak lagatar jari hai. Aur hal hi me Sonu Sood ne Medical Students ke liye Sonuism Scholarship Scheme ko bhi launch kiya hai. Lekin ab Bollywood Actor Sonu Sood Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme ko launch kiya hai. Jiska labh COVID-19 ke karan prabhavit ho chuke logo ko diya jayega, Jinke paas kisi prakar ka koi Rojgar nahi hai.

Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme ke tahat Sonu Sood logo ko free me E-Rickshaw distribute karenge. Aapko bata den ki Sonu Sood ne apne Instagram aur Twitter handle par is latest Scheme ki ghoshna ki hai, Jiske madhyam se logo ko free me “E-Rickshaw” pradan karenge. Iske liye logo ko Online Registration karna hoga, Jiski jankari hamne is post me niche step by step share kiya hai.

Sonu Sood Free E- Rickshaw Gift Scheme

Aapko bata den ki Bollywood Dabang Actor Sonu Sood ne Instagram & Twitter par “Khud Kamaao Ghar Chalaao Yojana” ki jankari dete huye yah bhi kaha hai ki Free E-Rickshaw Distribution Scheme “Shyam Steels India” ke sath milkar shuru ki hai.

Sonu Sood:- A small step today, for a big leap tomorrow. By providing free e-rickshaws that can be used to kickstart small businesses. A small effort to empower people to become self reliant.

एक छोटा कदम आज, कल एक बड़ी छलांग के लिए. मुफ्त ई-रिक्शा प्रदान करके जिनका उपयोग छोटे व्यवसायों को किकस्टार्ट करने के लिए किया जा सकता है. लोगों को आत्मनिर्भर बनने के लिए सशक्त बनाने का एक छोटा सा प्रयास|

Agar jo bhi labharthi is Sonu Sood ke is Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme ka labh uthana chahte hain, Ve iske official website online Registration kar sakte hain.

Isliye is article me Sonu Sood Free E-Rickshaw Gift Scheme Online, Registration Form, Features, Eligibility Criteria etc. niche share kiya gya hai.

Sonu Sood Free E-Rickshaw Gift Scheme – Features

  • Free E-Rickshaw dene ka mukhya udeshya un logo ko madad karna, Jo COVID-19 me apni Rojgar ko kho chuke hain.
  • Shyam Steels India ne Sonu Sood ke is Khud Kamao Ghar Chalao Project ke liye collaborat hai.
  • Bollywood Actor jald hi Free E-Rickshaw Gift Scheme ke liye campaigning shuru karega.
  • Shyam Steels India hi Sonu Sood ke is scheme me Free E Rickshaw gift karega.
  • E-Rickshaws applicants ko socio-economic parameters ke aadhar par diya jayega.
  • Eligible labharthi Shyam Steels ke official portal par jakar online Registration kar sakte hain.
  • Mukhya roop se Sonu Sood is COVID-19 mahamari me apne Rojgar kho chuke logo ko aatmnirbhar banane me madad karenge.

Eligibility Criteria of Sonu Sood E-Rickshaw Gift Scheme

  • Sonu Sood ko is Scheme ka labh uthane bale labharthi vulnerable sections society (समाज के कमजोर वर्गों) se sambandhit hona chahiye.
  • E-Rikshaw Scheme ke liye aavedan karne vale labharthi ke paas ek business hona chahiye.
  • Aur aavedan karne bale labharthi ke paas Income Certificate and Valid Driving License unke naam par hona chahiye.

How to Apply for Khud Kamaao Ghar Chalaao (Free E-Rickshaw) Scheme 2021?

Sonu Sood ke Khud Kamaao Ghar Chalaao (Free E Rickshaw) Scheme 2021 me aavedan karne bale ichhuk labharthi niche bataye gye steps ko follow karke Registration kar sakte hain.

  • E-Rickshaw Scheme ke official website par sabse pahle jayen.
  • https://retail.shyamsteel.in/
  • Website ke home page par jate hi Registration Form dikhai dega.
  • Is Registration Form me puchhi gyi sari details enter karke niche Submit button par click kar den.
  • Aapka Registration pura ho jayega.

Quick Link:-

E-Rickshaw Registration FormClick Here To Apply
Official WebsiteVisit Here
Contact NumberCheck Here

Email ID:- sonusood.shyamsteelindia@gmail.com

Also Read:- Sonu Sood Scholarship Scheme 2020 Apply Online

To aap sabhi is prakar se Sonu Sood ke Khud Kamaao Ghar Chalaao Scheme ke tahat Free E-Rickshaw ke liye online Registration kar sakte hain, Online Registration ke liye step by step tarika aur link table me diya gya hai. Lekin agar aapke abhi bhi is Scheme se related koi question hai to niche comment section se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

4 Comments

Leave a Reply to Rajivee kumar X