Full Form

UAE Full Form in Hindi क्या होता है?

UAE Full Form
Written by A to Z Classes

UAE Full Form In Hindi: Hello Friends, Aaj ke is post me batane bala hu ki UAE ka Full Form kya Hota hai. Kya aap jante hain ki UAE ka full form kya hota hai? Yadi Nahi to iski puri jankari aapko is post me diya ja raha hai ki UAE ka full form kya hota hai aur india ke log waha work karne kyo jate hain. To is post ko pura padhke aap iske bare me jankari parapt kar skate hain.

UAE Full Form in Hindi

UAE ka Full Form (United Arab Emirates) hota hai aur ise Hindi language me (सयुंक्त अरब अमीरात) Kaha jata hai.

UAE ( United Arab Emirates ) Kya Hai

United Arab Emirates yani UAE me 7 Emirates hain aur in Emirates ko formal yani (औपचारिक) roop se 2 December 1971 me organized (संगठित) kiya gya tha. Inski list niche di gayi hai.

  • Dubai
  • Abu Dhabi
  • Umm-al-quawain
  • Sharjah
  • Fujairah
  • Ajman
  • Ras-al-khaimah

Aap sabhi ko bata den ki India ke bahut aise log hain jo United Arab Emirates UAE me jakar job karte hain jiske karan waha par indian logo ka achhi khashi population hai. Aur dhere dhere in sab country me jane bale indian ka Migrant(प्रवासी) badhti hi ja rahi hai. Kyonki UAE me jakar indian log work karte hain to unhe achha khasa money milta hai kyonki in sab country ki Currency indian money ki tulna me 18 se 20 guna jyada pawerful hai.

aapko bata de ki UAE ka 1 dirhams ka value india me 18 se 20 rupees ke equal yani brabar hota hai. Isliye koi person yani (कोई व्यक्ति) waha par agar 1 month work karta hai to 10,000 dirhams unko milte hain yani indian rupees me use convert karen to lagbhag 2 Lakh rupees hota hai. Iske karan kam padhe likhe log UAE [United Arab Emerates] me job karne ke lye chale jate hain to unhe lagbagh 2000 dirhams per month diya jata hai to waha par rahkar ve 40,000 rupees per month unka income hota hai. Iske alawa Visa Pasport jaise subidha aashani se uplabdh hone ke karna bhi log in sab country ki traf aakarshit hote hain.

Aur aapko bata den ki Arab country aisa nahi hai ki bahut pahle se hi amir hai ek aisa time tha ki jab UAE se log India me hi job karne ke liye aya karte the. Lekin jabse in sab countries me land ke niche oil ka stock jise hamlog (भंडार) kahte hai mile tab se ye sab country me Earnings badh gyi. Tab jakar waha ke log amir ho gye. DUBAI Jaise country ko Attractive Banane ke liye pura jor lagaya ja raha hai taki oil store End hone ke baad bhi Tourism se country koEarnings hote rahe. Kyonki Tourism ke liye country me badhte huye naye Construction (निर्माण) karne padhte hain Isliye waha par construction ke liye Man Pawer ki aavashyakta hoti hai jiske liye supply India sahit kayi country ko karna padta hai.

UAE के आसपास देश

  • Oman’s border in the east. – (पूर्व में ओमान की सीमा)
  • On the west there are maritime borders with Qatar. – (पश्चिम में कतर के – साथ समुद्री सीमाएं हैं)
  • Saudi Arabia border in the south. – (दक्षिण में सऊदी अरब की सीमा)
  • Iran in the north. – (उत्तर में ईरान)  

UAE की जनसंख्या कितनी है?

To aap sabhi ko bata den ki 2013 Census(जनगणना) ke anusar mana jata hai ki United Arab Emirates ki population 9.2 Milion thi, Aur jisme se 1.4 Milion American citizen the aur 7.8 Milion प्रवासी (Migrant) ki population hai.

Aapko bata den ki yaha ki Prime minister ka naam Maktoum bin Rashid Al Maktoum hai. Pahle Sahi Rajkumar ka naam Mohamed Bin Zayed Al Nahyan hai, Aur dusre shahi Rajkumar ka naam Hamdan bin Mohame Bin Rashid Al Maktoum hai.

United Arab Emirates ka Rajhdani Abu Dhabi hai, Jabki sabse bada shahar (city) Dubai hai. Aur yaha ka official language Arabic hai lekin English, Urdu, Hindi and Persian language bhi use hota hai.

Yaha par United Arab Emirates ka Area (क्षेत्रफल) 83,6001 varg Kilo Meter hai. Aapko bata den ki UAE pure world me 116ve sthan par ata hai. Yaha par Natural water nahi ke brabar hai.

UAE में भारतीयों की संख्या कितनी है

Aap jante hi honge ki india ke logo ka ek sapna hota hai ki United Arab Emirates UAE me koyi ek achha job mil jaye kyonki is country me jyada salary milta hai. UAE me alag alag desho ke log rahte hain jiski percentage niche share ki ja rahi hai.

  • Indian (भारतीय) – 27.15%
  • Pakistani (पाकिस्तानी) – 12.53%
  • Imarati (इमरति) – 11.32%
  • Bangladeshi (बांग्लादेशी) – 7.31%
  • Sri Lanka (श्रीलंका) – 3.13%
  • other (अन्य) – 38.56%. 

To is post me aap sbhi ko United Arab Emirates UAE ke bare me bataya gya hai taki aap log UAE ke bare me jaan saken aur aap yah jane ki UAE ka full form kya hota hai to saari information is post ke dwara de diya gya hai. Post achhi lagne par ise share jaruri karen taki sabhi logo tak ye information pahuch sake. Kisi tarah ki aur jankari ke liye niche comment kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Reply to Mohammad Rihan X