Sarkari Yojna

West Bengal Digital Ration Card – Ration Application Form, List, Status Online

West Bengal Digital Ration Card
Written by A to Z Classes

West Bengal Digital Ration Card:- Hello Friends, West Bengal digital ration card ke liye application form jari kar diya hai. West Bengal Sarkar ne normal Ration card ko puri tarah se digital Ration Card me badalne ka ka faisla liya hai. Jiske liye aap yaha se Online Avedan kar sakte hai. West Bengal ration card ek multi-purpose legal document hai, Jiske madhyam se vaha ke log alag alag yojana aur subsidy aadharit suvidhaye ka labh utha sakte hai. West Bengal Public Distribution System (WBPDS) ne varsh 2020-21 ke liye e-ration card ki suvidha pradan kar raha hai.

Is e-ration card ka mukhya udeshya duplicate aur nakli ration card ko samapt karke eligible logo ko food grains aur any suvidhaye pradan karna hai. Is article me aapko West Bengal Digital Ration Card 2020-21 ke liye application process, eligibility criteria aur jaruri documents ke bare me jankari di gayi hai. Ration card ka upyog mukhya rup se sarkar dwara nirdharit uchit mulya ki dukano se subsidized food grains aur aur any aavashyak vastuye ko prapt karne ke liye hai.

West Bengal me naya Digital Ration Card banbane ke liye bahut badi sankhya me logo ne register karbaya hai. West Bengal Ration Card ki list hal me hi launch ki gayi hai. Jinhe Ration Card ke liye aavedan karna hai, Ve check kar sakte hai, Ki unka naam List me hai ya nahi. Yaha diye gaye direct link ki madad se aap Ration Card ka Status check kar sakte hai.

West Bengal Digital Ration Card

Aapko bata den, Ration Card ka upyog Bharat me important legal document ke rup me kiya jata hai. Jiski madad se alag alag yojana ke liye labh utha sakte hai. Ration Card ka upyog vibhin Identity cards ke liye online avedan aur Certificate jaise Domicile Certificate, Income Certificate, Drivers License, Voter ID Card, aur PAN Card ke liye ek important document ke rup me kiya jata hai.

West Bengal Ration Card List iske official website se download ki jayegi. Aap sabhi ko iske list check karne ke liye, Direct link provide kiya gaya hai, Aur Step by step method bhi bataya gaya hai, Taki aap aasaani se List me apna naam dhund sake aur Naye Ration Card ke liye apply kar sake.

Article West Bengal Ration card list
Authority   West Bengal Public Distribution System (WBPDS)
Department The Food and Consumer Protection Department
Year2020
website  https://wbpds.gov.in/

Benefits of Digital Ration Card

Niche kuch Digital Ration card ka benefits bataya gaya hai.

  • Ration Card ek legal identity document hai, Jiske madhyam se aap kai Sarkari yojana ka labh utha sakte hai.
  • Sarkar dwara aadharti uchit dar ki dukano se uchit dar par food grains aur any gharelu saman prapt kar sakte hai.
  • Bharat Sarkar dwara tin prkar ke ration card anivary kiya gaya hai, Jiske madhyam se nagrik labh utha sakte hai.
  • Ration Card ka upyog aamtour par garibi rekha se niche rahne vale nagrik dwara kiya jata hai.
  • Ab Sarkar ke Digital Ration Card ki pahal se nagriko ko sevaon ka behatar tarike se labh mil sakega.

BPL, APL, AAY, and Annapurna

  • BPL Ration cards- BPL ration card (Pink Colour) un gharo me hai jo garibi rekha se niche hai, Aur unki family income Rs 24000 se kam hai.
  • APL Ration Cards- APL ration card (White Colour) garibi rekha se upar gharo me hai. Aur unnki varshik aay Rs 10000 se kam hai.
  • AAY Ration cards- Anthyodaya Anna Yojana (AAY) ration card garibo ke liye hai. Yah unke liye hai, Jo sabse jyda garib hai. AAY Ration Card ka rang Pila hai.

Required document for Application

  • Aadhar Card
  • Voter ID Card
  • Income certificate
  • Passport size photo of all family members
  • Application letter
  • Residential Certificate {House & Electricity Bill}
  • Details of all household members

West Bengal Ration Card Application Form

Yadi aap WB Digital Ration Card ke liye online application form bharna chahte hai, To niche diye gaye Link aur bataye gaye Steps ko follow kare:-

  • Sabse pahle Department of Food and Supplies, West Bengal ke official site par visit kare.
  • https://wbpds.gov.in/
  • Iske homepage par, Features tab par “View Forms” ke link par click kare.
  • Ek naya page open hoga, Jisme ration card application form download karne ka link diya jayega.
  • Form download kar ke, Ise sahi tarike se bhar den.
  • Form bharne ke bad apne najdiki Ration Shop par jakar submit kar den.

West Bengal Digital Ration Card Application Status

  • Sabse pahle iske official site par visit kare.
  • https://wbpds.wb.gov.in/CheckApplicationStatus.aspx
  • Iske homepage ke Features tab par “Check Ration Card Application Status” ke link par click kare.
  • Link par click karte hi ek naya page open hoga, jaha aapko application number, district, aur block bharna hai.
  • Jiske bad aap apna Application Status check kar sakte hai.

West Bengal Digital Ration Card List

Digital Ration Card list check karne ke liye niche diye gaye Link ka upyog kare:-

  • Sabse pahle iske official site par visit kare.
  • https://wbpds.wb.gov.in/SearchBeneficiaryDetails.aspx
  • Ab niche diye gaye information ko vaha bhar den.
  • Apna detail bharne ke bad, Serch button par click kare.
  • Aur fir aap sabhi ko Digital Ration Card ki list check kar sakte hai.

WBPDS Official Website – Click Here

Hamne yaha WB Digital Ration Card ki puri jankari pradan ki hai. Aasha hai ki aap upar bataye gaye tarike ke anusar Application form apply kar sakte hai, Aur apne Form ki Status aur List bhi check kar sakte hai.

Yadi aapko Application form bharne ya Status aur List check karne me problem aa rahi hai, To aap apna question niche comment kar ke puch sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

  • Sir application form main kaise pata chalta hai kii
    Hamne kounsi form apply Kiya
    Aay..,,,rksy

Leave a Reply to Sagar chhetei X