Sarkari Yojna

West Bengal Migrant Workers Registration Form 2020

West Bengal Pravasi Majdur Online Registration:- Hello Guys, Abhi ke samay me pure desh me Lockdown 3.0 chal raha hai. Kendra Sarkar ne 24 March 2020 se desh me coronavirus ke badhte prakop ko rokne ke liye Lockdown laghu kiya hai, Jiske baad pure desh me Factory band hone ke karan Pravasi Majdur ka Rojgar band ho chuke hain aur sabse badi samasya aa gya hai. Jiske karan bahut saare Rajya ke Pravasi Shramik transportation ke madhyam band hone ke karan kitne log paidal chalkar apne Rajya vapas laut rahe hain. Isi ko dekhte huye West Bengal Government ne dusre Rajyo me fase Pravasi Majduro / Kamgaro aur Chhatro ko apne Rajya me vapas lane ke liye yojna ki shuruaat ki hai.

Bata den ki West Bengal Migrant Workers Registration Scheme ke tahat West Bengal ke un sabhi Nagrik ko apne Rajya Special Train aur Bus ki madad se unke ghar pahuchaya jayega. Is Yojna ke prati Registration ke liye Sarkar ne ek official portal shuru ki hai aur sath hi Helpline Number bhi jaari kiya hai. Jiski sabhi vistarit jankari aapko is post ke madhyam se diya ja raha hai.

West Bengal Migrant Workers Online Registration Form 2020

Yadi aap West Bengal ke ek Nivasi hain aur Lockdown Mahamari ki bajha se kisi anya Rajya me fas chuke hain to aap Rajya Sarkar dwara jaari kiye gye official website par online Registration kar sakte hain. Agar aapko West Bengal ke Nodal Officer se baat karna hai to is page me diye gye West Bengal Helpline Number par Sampark kar sakte hain.

Aise to West Bengal ke bahut saar Pravasi Majdur apne Rajya se bahar jakar rah rahe hai aur COVID-19 Mahamari ke karan wo waha fase gye hai, Aur apna ghar ab lautna chahte hain. To aap West Bengal Migrant Workers Online Registration link par jakar khud ko Register kar sakte hain. Uske baa aapko Sarkar ki taraf se vapas ghar lautne ke liye madad ki jayegi.

CM Mamta Banerjee ने प्रवासी श्रमिकों के लिए ये योजनाएं शुरू की हैं और कहा है कि “जिला प्रशासक को घर लौटने वाले सभी प्रवासी श्रमिकों पर नजर रखनी चाहिए” और रजिस्ट्रेशन प्रक्रिया के लिए ऑनलाइन पोर्टल का लिंक जारी कर दिया गया है जिसे आप इस पेज में नीचे से देख सकते है|

West Bengal Pravasi Majdur Ghar Vapasi Online Registration

Aap sabhi ko bata den ki West Bengal ke Mukhyamantri Mamta Banerjee ne ghosna ki hai ki Rajya ke jitne bhi Pravasi Majdur Lockdown ke chalte dusre Rajyo me fase hain ve is Lockdown me hi apne ghar vapas aa sakte hain. Lekin uske liye Pravasi Majdur ko sabse pahle jaari kiye gye official website par Online Registration karna hoga, Ya fir diye gye Helpline Number par West Bengal Government se sampark karna hoga.

To jo bhi West Bengal Kolkata ke rahne bale Pravasi Majdur kisi dusre rajya me fase hain aur is Mhamari me apne Rajya vapas aana chahte hain to ve iske official website se Online One-Way Interstate Exit Route par aavedan karke Pravasi Shramik Surakshit roop se apne Rajya me vapas laut sakte hain. Ministry of Home Affairs (MHA) ke aadesh ke anusar kisi bhi bhumi ke Pryatak, Shramik, Studetns Form bharkar apne gharo me vapas ja sakte hain, Aur iske liye Ministry of Railways dwara vishesh Traino ka sanchalan kiya jayega aur sabhi ko suraksha upyon aur samajik duri ka dhyan rakhte huye apne Rajya vapas laya jayega.

West Bengal Migrant Workers Registration – Overview

Aur sath hi Bharat ke Grih Mantralaya ne kuchh disha nirdesh bhi jaari kiya hai, Ki jo bhi Pravasi Shramik apne Rajya vapas lautna chahte hain unko Sarkar dwara diye gye nirdesh ko palan karna hoga, Jab kisi vyakti is niyam ko palan nahi karta hai to uspar kadi karbaai ki jayegi.

High AuthorityWest Bengal Government
Name of SchemeWest Bengal Overseas Travel Registration Online Form
StateWest Bengal
Started byChief Minister Mamata Banerjee
ObjectiveAnya Rajyo Me Fase Logo Ko West Bengal Vapasi
BeneficiaryPravasi Majdur, Tourist, Students And Other Person
Register ModeOnline Mode
Helpline No.1070
Article CtegoryWest Bengal Migrant Worker Registration
Official Websitewww.wb.gov.in

पश्चिम बंगाल यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?

  • Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
  • Student (विद्यार्थी)
  • Tourist (पर्यटक)
  • Other Professional (अन्य पेशेवर)

Important Information For West Bengal Pravasi Majdur Yatra

Jitne bhi log West Bengal ke liye anya Rajyo se vapas jana chahte hain unhe to sabse pahle apna Registration karbana hoga, Aur Home Ministry dwara diye gye nirdesh ko palan karna hoga jo baapko niche batlaya gya hai.

  • Iske liye to sabse pahle dusre Rajyo se lane bale Train aur Bus ko clean kiya jayega.
  • Yatra se pahle Screening ki jayegi.
  • Aur Yatra karte samay sabhi Yatriyon ko Social Distancing ka palan karna hoga.
  • Jabki sabhi Mask bhi pahanana jaruri hai, Aur apni Hygiene ko dhyan rakhna hoga.
  • West Bengal pahuchane ke baad sabhi Pravasi Shramiko ko 14 dino ke liye quarantine center me alag rakha jayega.
  • Yadi aap in sabhi niyamo ka palan nahi karte hain to aapke upar sakth karbaai ki jayegi.

How To Fill Registration Form 2020 Online For Coming To West Bengal

Aapko West Bengal lautne ke liye Registration Form Online bharne ke liye niche step by step tarika batlaya gya hai, Aap ise follow karke apna Register aasani se kar sakte hain.

  • Aap iske official site par niche diyee gye link se visit karen.
  • Ab iske home page par se “Entry Pass (One way pass for entering West Bengal)” ke link par click karen.
  • Iske baad aapse Moblie Number aur Passward puchha jayega.
  • Phir aapko usi ke niche “Register/Apply” par click karna hoga.
  • Click karne ke baad aapko apna Mobile Number enter karna hoga.
  • Ab aapka Registration Form open ho jayega.
  • Registration Form ko sahi se bharne ke baad submit par click kar den.
  • Aur last me apne form ka ek print out nikal len.

Important Link:-

Apply Online Registration FormClick Here
Official WebsiteWebsite

Helpline No.(1) – 1070

aap sabhi ko is page me West Bengal Pravasi Majdur Online Registration Form bharne ki puri jankari di gyi hai, Sath West Bengal Sarkar dwara jaari kiye gye official portal ka link bhi provide kraya gya hai. Agar aapko Online Registration karne me kisi tarah ka problem hota hai to niche comment box se apna saval puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment