Sarkari Yojna

Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020 – DRI Rs.15000 Loan Scheme Online Application Form

Aatmnirbhar Haryan Loan Yojna 2020:- Aap sabhi jante hain ki pure Desh bhar me (COVID-19) Coronavirus ke badhte prakop ke karan Desh ki aarthik sthiti me bahut Changes aur Giravat hua hai, Jiske karan bahut se Logo ko unke Rojgar par kafi prabhav pda hai. Aur jo Kam Level par Kaam kar rahe Vyapari ya jo Chhota sa Store chalate hain un sabhi ko bahut jyada Nuksan pahuch raha hai. Isi ko dhyan me Rakhte huye Aatmnirbhar Bharat Abhiyan ke antargat Haryana Sarkar ne Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020 ki Shuruaat ki hai, Jiske tahat Rajya ke un Logo ko Financial Help pradan kiya jayega.

Aatmnirbhar Loan Scheme ke antargat Haryana Chief Minister Manohar Lal Khattar ne apne Rajya me Chhota sa Business karne bale Logo ke liye Financial Help ke jariye Rs. 15,000 Rupaye ki Rashi pradan karegi. Jo ki is Yojna ke tahat Haryana ke lagbhag 3 Lakh Garib Parivaron ko Sirf 2% ki Byaj Dar par apna Business ko shuru karne ke liye Loan uplabdh karaya jayega.

Yadi aap Haryana se hain aur is Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020 ke bare me jankari ya iska Labh prapt karna chahte hain to is post me hamne isse judi sabhi jnakari jaise Application Process, Eligibility Criteria, Important Document, (DRI Scheme) Differential Rate of Interest ityadi uplabdh karaya hai. Aap is post ko pura padhne ke baad kafi aasani se iska Labh utha sakte hain.

Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020

Aapko pata hai ki Central Government ke dwara hal hi me Aatmnirbhar Bharat Abhiyan ko lauch kiya gya tha, Isi ko Haryana ke BJP Party ke Sarkar ne apne Rajya ke nagriko ke liye Aatmnirbhar Haryana Loan Scheme ki shuruaat ki hai. Jiske madhyam se Haryana ke Logo ko Aatmnirbhar banane ke liye Loan ke roop me Sahayata Rashi pradan kiya jayega.

Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020 – Overview

Rajya ke jo bhi Nagrik is Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna ke tahat khud ka Business shuru karna chhate hain to unhe Sarkar dwara is Yojna ke madhyam se Rs. 15,000 Rupaye ki Rashi Financial Help ke roop me pradan karai jayegi. Jo ki Haryana DRI Scheme ke tahat Logo ko 4% ki Interest par Loan pradan kiya jata tha, Lekin ab Log Aatmnirbhar Bharat Abhiyan ke tahat 2% Interest par Loan prapt kar sakte hain.

Name of SchemeAatmnirbhar Haryana Loan Yojna 2020
Launched byChief Minister Manohar Lal Khattar
StateHaryana
BeneficiaryPermanent Resident of The State
Application ProcessOffline
ObjectiveRajya Ke Nagrik Ko Apna Rojgar Ke Liye Inspire karna
BenefitRs. 15,000 Rupaye
CategoryHaryana Government Schemes

Latest Updates by Haryana Government:-

Is COVID-19 Mahamari ke karan Haryana Government ne Education Loan prapt karke Padhai karne bale Students ke liye ek bahut badi Relief Fund bhi Launch kiya hai, Jo Haryana Sarkar ne Education Loan ka 3 Mahine ka Byaj Maf kar diya hai, Jisse Rajya ke lagbhag 36,000 Students ko kul Milakar 40 Crore Rupaye ka Labh hone bala hai.

Aur Haryana Government Central Government ki Mudra Loan Scheme’s Shishu Scheme ke antargat 50,000 Rupaye tak ka Loan Sirf 2% ki Byaj Dar par pradan karegi.

Eligibility Criteria For Haryana Aatmnirbhar Loan Scheme

  • Is Yojna ka Labh sirf Haryana ke Sthai Nivasi ko hi pradan kiya jayega.
  • Aur jo Nagrik Bank ke Defaulter hain vah is Yojna ka Labh nahi utha sakte hain.

Important Document

  • Aadhar Card
  • Residential Certificate
  • Bank Account
  • Residence Certificate
  • Identity Card
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Apply For Aatmnirbhar Haryana Loan Scheme 2020?

Agar Haryana ke jo bhi Nagrik khud ka Business shuru karne ke liye Haryana Sarkar dwara shuru kiye gye is Aatmnirbhar Haryana Loan Scheme 2020 ke tahat Rs. 15,000 Rupaye ka Labh 2% Byaj Dar par prapt karna chahte hain to niche bataye gye tarike ko follow karke aavedan kar sakte hain.

  • Iske liye sabse pahle aapko sabhi Important Document ke sath apne Najdiki Bank Branch me jakar Sampark karna hoga.
  • Aur Bank ke sambandhit Officers se Aatmnirbhar Haryana Loan Yojna ke antargat Application Form prapt karna hai.
  • Application Form me puchhi gyi sabhi mahatvapurn jankari ko bharna hai.
  • Form bharne ke baad sabhi Important Document ko usme Attach karke Bank me jama karen.
  • Bank Officer dwara aapke Form ko Verified karne ke baad Sarkar dwara Loan pradan kiya jayega.

Last Word:-

Aap sabhi ko is page me Haryana Aatmnirbhar Loan Yojna 2020 ke bare me saari jankari uplabdh karaya gya hai, Yadi aap is Yojna se sambandhit aur koi saval puchhana chahte hain to aap Comment ke madyam se puchh sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment