Full Form

USB Full Form – USB का फुल फॉर्म क्या होता है?

USB Full Form
Written by A to Z Classes

USB Full Form = Universal Serial Bus: Hello Friends, Jaisa ki aapne jana ki USB ka full form Universal Serial Bus hota hai aur iske bare me vistarit jankari aap sabhi ko hindi me niche di jaa rahi hai. Aap sabhi ko bataya jayega ki USB kya hota hai aur ye kitne prakar ke hote hain. USB ka upyog computers, laptops and electronic devices ke bich communication, connection and power supply ityadi ke liye kiya jata hai.

Waise Universal Serial Bus (USB) ka design is liye kiya gya tha taki ye do devices ke bich data transfer or electricity transfer kar sake jaise keyboard, mouse, printer, portable media players, disk drive ityadi ke bich. Iska development 7 companies Microsoft, IBM, Compaq, DEC, Intel, NEC, and Nortel is liye kiya gya tha taki ye kisi bhi external device ko PC ya laptop se connect kar sake.

Iska upyog karna bahut hi aasaan hai aur dhire dhire ye ab lagbhag har device jaise, TV, Powerbank ityadi sabhi device me kiya jane laga. Bas iska upyog karne ke liye USB ko insert karna hota hai aur aap iska upyog karna shuru kar sakte hain. USB connectors mainlty 3 types ke hote hain. Standard size, Mini size and Micro size.

USB Full Form in Hindi

USB ka full form Universal Serial Bus hota hai jise hindi me यूनिवर्सल सीरियल बस ke naam se jaante hain. Ye har parkar ke electronic device ko ek dusre ke saath ya computer ke saath connect karne ke liye upyog hota hai. Ye lagbhag sabhi operating system jaise windows, linux ityadi ko support karta hai. Iska upyog karne ke liye hame computer ko restart nahi karna padta hai. Aur ye ek portable hota hai jise kahi bhi le jaya ja sakta hai ise disconnect karke. Sidhe taur par kahe to USB device plug and play hota hai.

To is tarah aaj ke is post me aap sabhi ko Universal Serial Bus (USB) ki puri jankari hindi me di gyi hai taki aaj se aapko aur google par USB full form ke bare me search na karna pade aur iske alawe bhi aap sabhi ko bataya gya hai ki USB kya hota hai aur ye kaise kaam karta hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment