Full Form

ERP Full Form In Hindi: ERP का फुल फॉर्म क्या होता है?

ERP Full Form
Written by A to Z Classes

ERP Full Form Kya Hai:- Hello Friends, ERP Full Form In Hindi, Kya aapko pata hai ERP ka full form kya hota hai, ERP kya hai, iska matlab kya hota hai, ERP kaha use karte hain. To aap sabhi ko is article me ERP ka full form bataya ja raha hai aur itna hi nahi iske bare me puri jankari bhi diya jayega. To aap is post ko last tak padhkar ERP ke bare me puri jankari prapt kar sakte hain

ERP Full Form – Enterprise Resourece Planning

ERP ka full form (Enterprise Resourse Planing) hoti hai. ERP ko hindi language me (उधग्म संसाधन योजना) kahte hain. ERP word business se juda hua hai, aur yah Integrated Application ka ek samuh hai jo users ko apne business ke data ko store aur manage karne me madad karta hai.

Aap sabhi ko bata den ki ERP ek Business Management Software hai iska upyog aaj ke samay me lagbhag har chhoti badi company me apne business ko manage karne ke liye kiya jata hai. ERP Software ki sahayata se ham apne business se jude huye sabhi data ko safe tarike se store kar sakte hain. Aur is softwares data ko aashani se store kiya ja sakta hai. Yaha se data ke chori hone ya khone ka khatra bahut kam hota hai. Ise ek time me kayi users ek saath access kar sakte hain. Bata den ki ERP Software online aur offline dono prakar ke hote hain.

Enterprise Resource Planning (ERP) ka upyog aaj ke samay me bank, school, factory, government office, private office etc, jaise kayi sthano par kiya ja raha hai. ERP Software ki madad se aap apne business se jude huye sabhi data ko safe tarike se store kar sakte hain. Aur is software ke andar kisi bhi data ko aashani se store kiya ja sakta hai.

Enterprise Resource Planing Kitne Prakar Ka hota hai.

  1. Cloud ERP:- Isko ham internet par aadharit E.R.P kahte hain, kyonki isme company software ko access karke data ko internet par store karti hai. Aur isme E.R.P system remot server par run hote hai jis se ki company kabhi bhi kisi samay, kisi bhi jagha se ya kisi divices se internet ke dwara access kar sakti hai.
  2. Small Business ERP:- Chhote business ke liye small business E.R.P ka upyog kiya jata hai. Jo ki chhote business ki sabhi jarurto ko pura karta hai. Aur iska value bhi kam hota hai.
  3. Industry Based ERP:- Iska upyog bade business ke liye kiya jta hai. Aur isko puri planing ke saath banaya jata hai kyonki bade business ki jarurat adhik hoti hai.

ERP System Features

Aap sabhi ko bata den ki ERP system ek shared database hota hai jo different units dwara upyog kiye jane bale kayi functions ka support karta hai. Jaisa ki Accounting aur Sales ek hi jankari par believe kar sakte hain.

ERP के Advantage

  • ERP me aap data ko badi aashani se store aur manage kar sakte hain.
  • ERP me store data alag alag sthan par na hokar ek hi sthan par maujud hota hai.
  • ERP me store data ko kisi bhi jagha par badi aashani ke saath dekha ja sakta hai.
  • ERP ka use paper work me kiya ja sakta hai.
ERP Software bade sangathan ke liye bahut upyogi hai yah kayi modules me aata hai.
  • मानव संसाधन (Human Resources)
  • वित्तीय लेखांकन (Financial Accounting)
  • आपूर्ति श्रृंखला प्रबंधन (Supply Chain Management)
  • ग्राहक संबंध प्रबंधन (Customer Relationship Management)
  • सूची (Inventory)
  • क्रय (Purchasing)
  • परियोजना प्रबंधन (Project management)

Top ERP Seller list?

  • SAP
  • Oracle
  • Microsoft
  • Epicor
  • Infor
  • QAD
  • Lawson
  • SAGE
  • IFS
  • Consona Corp.

ERP MODULE –

ERP Module ke naam aap is prakar se niche dekh sakte hain.

  • Financial Accounting
  • Supply Chain Management
  • Inventory
  • Purchasing
  • Human Resources
  • Project management
  • Customer Relationship Management

ERP DISADVANTAGE –

  • ERP System bahut hi mahanga software hota hai.
  • Isme ham limit me rahkar hi data store kar sakte hain.
  • ERP System me data ek sthan par rakha jata hai, is se personal data ko adhik khatra rahta hai.

To aapko is post ke dwara ERP ka full form ke bare me bataya gya aur saath hi ERP ke bare me aur bhi jankari diya gya hai jise aap padhkar iske bare me smajh hi gye honge ki ERP kya hai aur kise kahte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment