Full Form

BMW Full Form, बीएमडब्लू का फुल फॉर्म क्या है

BMW Full Form
Written by A to Z Classes

BMW Full Form Kya Hota Hai:- To friends aap sabhi ne to BMW ka nam to bahut suna hoga, aur bahut se log BMW ka Full Form bhi janna chahte honge. is article me bataya ja raha hai ki BMW ka full form kya hota hai to BMW ke bare me yaha par puri jankari diya ja raha hai. Aur bata den ki BMW aksar automobiles ke liye jana jata hai. aapne bhi bahut jagah BMW likha dekha hoga lekin samajh me nahi aaya hoga ki yah kya hai. To aap is post ke madhyam se iske bare me sari jankari prapt kar sakte hain.

BMW Full Form:- Bavarian Motor Works (बावेरियन मोटर वर्क्स)

BMW ki Full-Form Bavarian Motor Works hoti hai. Aur ise Hindi language me (बावेरियन मोटर वर्क्स) hi Kaha jata hai. BMW dwara construction kiye gye pahli car ka Nam Dixi tha. BMW Aaj ke time me German ki bahut hi famous company ke roop me Jani jati hai. To ham aasha karte hain ki BMW ki Full-Form aap sabhi ko malum ho gyi hai to Iske bare me aur bhi adhik jankari is post ke madhyam se diya ja raha hai.

BMW Motordried division ke tahat Luxury and sports cars ke sath sath Motorcycles ka production bhi karta hai. BMW company ke pass mini aur Rolls-Royce Brand jaise bade car hai. BMW company ka logo Aircraft propeller jaisa dikhne ke liye design kiya gya hai. Bata den ki Yah company apne tagline ultimate driving machine ke liye jani jati hai. BMW Mercedes-Benz and Audi ke alawa sabse bharoshemand aur acclaimed automobiles banati hai. BMW Aaj ke time me sabse badi brand me se ek mana jata hai.

Aapko bata den ki Harald Krueger 1992 me BMW me shamil huye the, Aur ve 13 May 2015 se BMW me Management Board ke CEO aur President hain. 2016 se Stephen Quandt aur unki sister Susan Clatten BMW ke owner hain. Stefan company ke 29% shares ke owner hai aur suzain company ke 21% shares ke owner hai.

History Of BMW in Hindi

1916 me BMW ki sthapna Franz Josef Pope ne kiya tha jo ki BMW company ne Aeroplane ke engine ka Nirman ke saath suru kiya tha jo ki us time me german Air force ke dwara upyog kiya jata tha. first world war ke baad 1918 me company ko Aeroplane ke engine ke production ke liye rok laga diya gya tha. Isliye 1923 me inhone motorcycles ko Banane ke ka kaam shuru kiya.

Uske baad 1929 me company ne Fahrenzugfabrik Eisenach factory ka Acquisition karne ke baad automobiles Manufacturing me bahut bada change kiya tha. Aur BMW ne 1936 me 328 Sports Cars ko Produced kiya jisne beyond belief Success hasil kiya aur 1999 me sadi ki Badi car ke roop me ise shamil kiya gya tha.

To aise hi har saal yah company apni highs ko chhuta raha aur bahut teji se aage badhti rahi. Aur 2000 me inhone international market me BMW mini aur Rolls-Royce motor car par puri tarah se dihyan dekar focous karne ka decision liya aur saath hi sahi sabit karne ke liye inhone 2001 me ek chhoti car segment me ek premimum car new mini ko launch kiya gya. To aaj ke time me BMW apni car ke design aur quality ke liye jana jata hai. Aur sabse top automobiles creator me se ek mana jata hai.

BMW से जुड़ी कुछ जानकारी

  • BMW company ki jab shuruaat huyi tab yah Aircraf Engines banane ke liye jana jata tha.
  • BMW dwara banaye gye pahle car ka nam Dixi rakha gya tha.
  • BMW ne 1972 me apni electric car BMW 1602e ka construction kiya lekin iski performance dusre model ke Adhi thi isliye ise market me launch nahi kiya gya.
  • Rolls Royce bhi BMW company ka hi ek part hai.
  • BMW ka Headquarter Germany ke Munich city me hai aur iska design BMW ke Four-cylinder engine ke Tarah hoti hai.
  • Kidney Grille aapko BMW dwara banaye gye kisi bhi car ko dekhne ko mil jayegai aur yah bhi BMW ki pahachan ko indicates karta hai.
  • BMW ne 1937 me world ki sabse tej motorcycles ka avishkar kiya jiski speed lagbhag 279 KM/h thi.
  • BMW aaj bhi unke liye car ka parts banati hai jinke pass aaj bhi BMW ke banaye gye Classic Car moujud hai jo world war 2 jitna purana hai.
  • BMW ka pahle naam Rapp Motor tha.

BMW KI CARS

BMW Normal car banane ke saath Sports car bhi Banane me bhi top company me se ek hai. Aur saal 2014 me BMW ne electric car ka bhi production karna start kar diya hai.

Aur saal 2015 me BMW world ki 12bi sabse badi car creator company ke roop me chuna gya tha, aur saal 2015 me is company ne lagbhag kul milakar 2,279,503 vehicle ka construction kiya tha.

Conclusion

To is post me bataya gya ki BMW ka Full Form kya hota hai aur BMW ke Full Form ke saath BMW ki company kab aur kaise bani yah bhi is page me bataya gya aur saath me BMW se jude saari information is post me diya gya hai. Post achhi lagi to ise share jarur karen.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment