Full Form

KFC Full Form in Hindi, KFC का फुल फॉर्म क्या हैं

KFC Full Form
Written by A to Z Classes

KFC Full Form In Hindi:- Hello Friends, Aap sabhi jante hain ki KFC ka full form kya hota hai. Aapne KFC ka nam to bahut baar suna hoga, aur kahi likha hua bhi dekha hoga lekin aap jante nahi hoge ki akhir KFC hai kya aur iska full form kya hota hai, aur iski jankari ham kaise le sakte hain. To aap sabhi ko is article me bataya ja raha hai ki KFC ka full form kya hota hai aur iska matlab kya hota hai to ye sab saari information aap is post ki madad se prapt kar sakte hain. Jo niche bataya gya hai.

KFC Full Form (Kentucky Fried Chicken)

To aapko bata den ki KFC ka Full Form, Kentucky Fried Chicken hota hai aur ise hindi me (केंटकी फ्राइड चिकन) hi kahte hain. Yah ek Restaurant Company hai jo ki United States(संयुक्त राज्य अमेरिका) ka ek state hai jiska nam Kentucky hai. KFC ki full form ko padhkar FC ka Matlab Fried Chicken hota hai yah to aap smajh gye honge lekin aap soch rahe honge Kentucky ka matlab kya hota hai to yah USA ka ek state hai.

KFC ki sthapana 1930 me Kentucky ke Karnal Harland Sanders ne Great Depression ke dauran kiya tha. Pahla Kentucky Fried Chicken Franchise salt lake city yuta me 1952 me pit harman dwara khola gya tha jinhone 1957 me balti O Ken present kiya tha. Harman ko brand ke slogan it’s finger likin ka credit bhi diya jata hai. To aap is post ko last tak padhkar KFC ke bare me pura jankari le sakte hain niche iske bare me bataya gya hai.

K – Kentucky

F – Fried

C – Chicken

Aap jante hain ki pure world me KFC ke kul 19,420 Places par restaurant uplabdh hai aur log iske pakvan ka lupht utha rahe hain. Bata den ki India me KFC ka pahla restaurant 1995 me bangalore me khola gya tha. Phir waha se suru hone ke baad 2004 tak iska pure india me vistar achha se hua aur log jane bhi ki KFC hai kya. Aur Saal 2016 tak mukesh pant KFC ke CEO the. aur inhone Kanpur, India me Indian Institute of Technology (IIT) se graduate kiya. KFC ke CEO banne se pahle unhone Hindustan liver limited, Pepsico and reebok Jaise various reputed company me kaam bhi kiya hai.

KFC ke bare me bata den ki KFC ek aisa food brand hai jise QSR bhi kahe jate hain. Ya phir chicken me specialization bala quick restaurant bhi hai Jo ki 115 se adhik countries aur regions me 19,500 se adhik units ke saath KFC east me Kentucky Fried Chicken McDonald’s dwara sale kiya jata hai. Aur world ke sabse popular chicken brand dwara mape jane ke baad world ki dusri sabse badi rastaurant chain(श्रृंखला) hai.

History of KFC, KFC का इतिहास

Yaha par aap sabhi ko KFC ke history ke bare me bataya ja raha hai jise aap padh sakte hain. To KFC ke sansthapak Hayland sanders hain. Aur unka janm 1890 me Henryville, Indiana me hua tha. Aur inhone kayi jobs ki kosis bhi ki lekin bahut samay tak kisi bhi job me nahi rah sake. Phir 1930 me inhone Corbin, Kentucky ke ek gas station par apne road ke kinare Restaurant se fried chicken sell karna suru kiya aur unki fried kiya hua chicken recipe bahut bada hit thi. Tab jakar unhone 1952 me south salt lake utah me pit harman ke liye apna recipe franchisee ki. Aur restaurant ne Kentucky Fried Chicken ki recipe ki marketing kiya aur 1963 tak lagbhag 600 Restaurant me yah recipe sale kiye ja rahe the.

1997 me yam Brands ke Ownership me aya aur Fired chicken resipe ko purak karne ke liye sandwiches drinks aur desserts jaise menu me adhik recipes ko jora gya. Aur aaj KFC world ki sabse badi Fried Chicken Restaurant hai. Aur aapko bata den ki Aaj ke time me yah sabse jyada like karne bala food ban gya hai.

KFC Other Hindi Meaning

Kerala Financial Corporation केरल वित्तीय निगम:- Aapko bata den ki yah ek government financial related Nigam hai jiska headquarters Kerala city me hai jiska construction saal 1953 me kiya gya tha.

Kentucky Fried Chicken:- Kentucky Fried Chicken KFC ke liye stand hai yah Kentucky USA ki ek restaurant company hai jaisa ki aap is nam se smagh sakte hain ki yah world bhar me fried kiya hua chicken sale kar raha hai. Kentucky ke liye aur fried chicken FC ke liye stand hai jiske bare me upar bataya gya hai.

Kerala Financial Corporation:- Kerala Financial Corporation KFC complete roop se indian corporation hai aur finance se related hai jaisa ki ham nam se smagh sakte hain ki yah india ke kerala state se hai. Aur iski orginsed 1953 me huyi thi.

Conclusion

To aaj ke is article me aap sabhi ko bataya gya hai ki KFC ka full form kya hai, KFC kya hai aur yah kaise kaam karti hai. To KFC ke bare me ye post aapko achhi lagi to ise share jarur karen.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

  • Official Site for Applying Online KFC Franchise. Apply Online For KFC Franchise. The estimated investment required to start the KFC franchise in India would be around 1 crore.

Leave a Comment