Full Form

BBA Full Form In Hindi – BBA का फुल फॉर्म क्या होता है?

BBA Full Form
Written by A to Z Classes

BBA Full Form in Hindi:- Aaj ke is post me aap sabhi ke sath BBA Ka Full Form, BBA ka Pura Naam, BBA ka Full Form Kya hota hai, BBA ka Hindi Arth kya hota, In sabhi Savalon ka Javav is Post me share kiya gaya hai. Is Article me BBA ki puri jankari Hindi me share kiya gaya hai jise aap bilkul aasaani se samajh sakte hai.

BBA Full Form in Hindi

To sabse pahle aapko iska full form batate hai, BBA ki Full Form“Bachelor of Business Administration” hoti hai, Jise Hindi Me “व्यवसाय प्रशासन में स्नातक” kahte hai. Jaisa ki aap full form padhkar samajh gaye honge ki BBA Kya hai, To chaliye BBA ki puri jankari Hindi bhasa me prapt karte hai.

BBA Ki Puri Jankari Hindi Me

B.B.A. (Bachelor of Business Administration) ek Management Degree hai jise Students dwara bahut jayda pasand kiya ja raha hai, Jise students apne Better Future ke liye ye Course karte hai. BBA ki Course 3 se 4 Saal me Complete ho jati hai. BBA Course ko Full-time Graduate Course ya Part-time Graduate Course me kiya ja sakta hai.

BBA sabhi Students ko alag alag Management principle me Expert banati hai. BBA Course ko complete karne ke bad BBA ka student Marketing, Accounting, Real estate, Finance, International business jaise Field me ek achhi Job kar sakte hai. In sabhi ke liye alag alag Name honge jaise ki B.B.M., B.B.S., B.M.S. Courses hai jinme se sabhi lagbhag ek hi chij hai.

BBA Course students ke Internships or Practical ki Training pradan karti hai. BBA course khatam hone ke bad aap Executive Level par alag alag Organization se milkar achha kaam kar sakte hai, aur apna Better Future bhi bana sakte hai. BBA me ek behtar Carrier ki sambhavna ke liye Courses ke bad MBA ki Degree karna bahut achha mana jata hai.

Is Management Degree ko sabse bada fyada hai yah ki iske baad aapko Job ke liye bhagna nahi padega. Kyunki BBA me Business Management ke bare me study karayi jati hai. Matlab ki aap ek Enterprenuer bhi ban sakte hai. Jiske bad SSC, Railway jaise kari Goverment Exam me hisa lekar Job prapt kar sakte hai.

BBA Ke Liye Eligibility योग्यता

BBA Course me Admission ke liye sabse pahle aapka 12th pass hona jaruri hai, Aur isme kam se kam 50% Marks bhi hone chahiye. Agar aap 12th Kar rahe hai to aap bhi iska Entrance Exam me bhag le sakte hai. BBA course ke liye kuch College me aap direct Admission le sakte hai aur kuch college is Course ke liye Entrance Exam lete hai jisko aapko pass karna hota hai, Tabhi aap BBA me Admission le sakte hai.

BBA Ki Salary:-

BBA karne ke baad Salary Company ke anusar Different ho sakti hai. Lekin ham shuruati salary ki bat karen to yah lagbhag 15 hajar se 20 hajar tak to rahti hai, Halanki kuch company isse bhi jyada salary dete hai.

BBA Courses ke Subject:-

BBA ke Course me kul Milakar 6 Semester hote hai. Aur in 6 Semester me bahut se alag alag Subjects hote hai. Jin sabhi ko Padhna aur Pass karne ke bad hi BBA ki Degree Prapt kar sakte hai.

1st Semester

  • Business English – I
  • Business Mathematics – I
  • Principles of Micro Economics
  • Principles of Financial Accounting
  • Fundamentals of Information Technology
  • Elements of Management
  • Enrichment Course-I

2nd Semester

  • Business English – II
  • Principles of Macro Economics
  • Business Mathematics – II
  • Logic & Critical Thinking
  • Company Accounts
  • Introduction to Indian Society
  • Enrichment Course –II

3rd Semester

  • Introduction to Indian Business Environment
  • Introduction to Business Statistics
  • Government & Business
  • Cost & Management Accounting
  • Enrichment Course -III
  • Oral Communication in Business
  • Managerial Skills

4th Semester

  • Taxation
  • Introduction to Operations Research
  • Introduction to Organizational Behavior
  • Introduction to Ethics & Corporate Social Responsibility
  • English Literature
  • Indian Business History
  • Enrichment Course –IV
  • Introduction to Environmental Management

5th Semester

  • Introduction to Operations Management
  • Business Law
  • Human Resource Management
  • Indian Economy
  • Fundamentals of Financial Management
  • Marketing Management
  • Enrichment Course –V

6th Semester

  • Fundamental of International Business
  • Entrepreneurship
  • Principles of Research Methodology
  • Introduction to Strategic Management
  • Management Information System
  • Financial Services
  • Enrichment Course –VI

Popular Career Options after BBA

BBA pura karne ke bad, students bahut sare company ke liye Management aur Administrative role ke liye kam karte hai. BBA graduate ke liye kuch Popular Noukriyan niche ke suchi me di gayi hai.

  1. Business Consultants
  2. Business Administration Researcher
  3. Business Administration Professor
  4. Finance Managers
  5. Human Resource Managers
  6. Information Systems Managers
  7. Production Managers
  8. Management Accountants
  9. Marketing Managers

To aaj is post me aapne jana ki BBA ka Full Form kya hota hai, BBA ka pura naam kya hai, BBA Ke Liye Eligibility kya hai in sabhi savalon ka javav aapko is post me diya gya hai. Yadi aapko yah jankari achhi lagi to ise Share jarur kare.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment