Sarkari Yojna

AP YSR Navasakam Scheme 2020| navasakam.ap.gov.in

Written by A to Z Classes

AP YSR Navasakam Scheme:- Andhra Pradesh Sarkar ke dwara shuru ki gayi AP YSR Navasakam Scheme ke bare me puri jankari di gayi hai. Andhra Pradesh’s Jagan Mohan Reddy sarkar ne hal me hi Rajya me shuru ki gayi yojana ke safal implementation ke liye ke liye AP SYR Navasakam Scheme shruru ki gayi hai. Yaha is post me aapko AP YSR Navasakam Scheme ki Beneficiary List, Login ID, and Password Process ki jankari aapko di jayegi. In Yojanao ka labh lene ke liye aapko official website navasakam.ap.gov.in par Log.in kare.

Andhra Pradesh Sarkar ne Navasakam scheme ke liye official portal navasakam.ap.gov.in bhi launch kiya gaya hai. Yah portal nagriko ko Rajya me shuru ki gayi yojanao ki jankari dene ka kaam karega. Yaha is post me, Aapko navasakam.ap.gov.in portal par Log.in, beneficiary list aur bahut si any prasangik jankari pradan ki jayegi.

AP YSR Navasakam Scheme

Andhra Pradesh Sarkar dwara alag alag yojanao me labharthi ki pahchan karne ke liye Rajya me Navasakam Scheme shuru ki gayi hai. Yah yojanao ke implementation ke sambandh me Chief Minister Jagan Mohan Reddy ke dwara uthaya gaya ek mahtvpurn kadam hai. Is yojana ke tahat, Labharthi ki pahchan Navasakam scheme ki ek process se ki jayegi.

Navasakam Scheme ke tahat government officials labharthi ki pahchan karne ke liye village volunteers / ward volunteers ki madad se Survey karne ke liye ghar ghar jayenge. Iske bad, village/ward secretariats dwara Survey data se report taiyar ki jayegi. Gram Sabha ke aayojan ke bad labharthi ke naamo ki ghoshna ki jayegi.

Isme sabhi labharthi ko Card vitrit kiye jayenge. Yah sara process navasakam.ap.gov.in ke official portal ke madhyam se ki jayegi. Is portal ki madad se, Sarkar rajya ke nivasio ko jankari pradan karne ja rahi hai. Is portal par download karne ke liye guidelines uplabdh hai.

Highlights of navasakam.ap.gov.in

Portal NameAP YSR Navasakam
Launched ByGovernment of Andhra Pradesh State
BeneficiariesPeople Of State
Login ProcessOnline
ObjectiveIdentification of beneficiaries
Official Websitenavasakam.ap.gov.in/

Process of Identification of Beneficiaries under YSR Navasakam Scheme

  • Volunteer training
  • Door to door survey
  • Preparation arrangements
  • Conduct a household survey
  • Field data computerization
  • Publication of list of draft-eligible members for social audit
  • Gram Sabha / Ward Sabha for social audit:

AP YSR Navasakam Scheme List

Andhra Pradesh ki Navasakam Scheme ke tahat 10 se adhik Scheme ke liye labharthi ki pahchan ki jayegi. Yaha ham aapko sabhi yojanao ki suchi pradan kar rahe hai.

AP Adarana 2 Scheme

Andhra Pradesh Rajya me technical modernization ke liye subsidy pradan karegi. Andhra Pradesh ki sarkar ne Rajya me kargiro ke liye vishesh technical tools ke modernization ke liye Adarana 2 Yojana shuru ki gayi hai. Is yojana ke tahat Andhra Pradesh ke karigaro ko 70% Subsidy pradan karegi.

YSR Amma Vodi Scheme

Andhra Pradesh ke Jagan Mohan Reddy ki sarkar ne Rajya me education ke level me sudhar ke liye YSR Amma Vodi Scheme shuru ki gayi hai. Is yojana me, Rajya Sarkar rajya me students ko alag alag protsahan karegi. Ve sabhi mahilaye jo apne bachhe ko school me padhne ke liy bhejti hai, Vo bhi is yojana ka labh utha sakte hai.

Rice Card Scheme

Is yojana me kaha gaya hai ki Gramino ko naye Rice card provide kiye jayenge. Isme gramin area ke liye prati mah Rs. 10000 rupaye aur shahri areas ke liye Rs 12,000 rupaye nirdharit ki gayi hai. Kisan ke pass kam se kam 3 acres krishi bhumi ya 10 acres ki sukhi bhumi honi chahiye.

Cattle Health Card

Kisano ke mavashio ke dekhbhal ke liye yah Cattle Health Card jari ki gayi hai. Yah yojana pashu ki janganna ke madhyam se pahchane jane vali sabhi parivar ko labh degi. Andhra Pradesh Rajya me banne vale 11,158 Routh Trust Centers ke madhyam se is yojana ko lagu karne ke liye road map taiyar kiya gaya hai.

YSR Sunna Vaddi Scheme

YSR Sunna Vaddi Scheme ke tahat rajya me garib mahilao ko financial help pradan karne ke liye pradan karegi. Andhra pradesh sarkar garib mahilao ko self-help groups ki mada se aajivika kamane ka avsar pradan karegi.

Pension Kanuka Scheme

Andhara Pradesh sarkar dwara shuru ki gayi is yojana ke madhyam se, Rajya Sarkar behtar jivan ke liye garib jaruratmando ko sahayata pradan ki jayegi. Rajya Sarkar Vridho, Vidhwao, aur Viklango ko 10 varsh tak pention rashi YSR Pension Kanuka Scheme ke madhyam se pradan karegi.

YSR Jagananna Vasathi Deevena Scheme

YSR Jagananna Vasathi Deevena Scheme ke tahat ITI aur polytechnic students ko aage ki padhai ke liye salana financial help ki jayegi. ITI and Polytechnic students ko financial help pradan karne ke udheshsya se Jagananna Vasathi Deevena Scheme shuru ki gayi hai.

YSR Aarogyasri Card

Andhra Pradesh Rajya ke BPL parivaro ko health benefits pradan karne ke udhesya se shuru ki gayi thi. Rajya Sarkar un parivaro ki sahayata karti hi jinki annual income 5 Lakh Rupaye se kam hai aur ve 12 acres se kam krishi bhumi ke malik hai.

Login Procedure @navasakam.ap.gov.in Official Website

  • navasakam.ap.gov.in official website par log.in karne ke liye sabse pahle iske official site par visit kare.
  • Iske Homepage par “Log.in” bale tab par click kare.
  • Ek naye page me ID aur Password enter kare.
  • Enter karne ke bad Log.in par click kar den.
  • Is tarike se aap Log.in kar sakte hai.

Conclusion

Hamne upar Navasakam Scheme ke tahat jari kiye gaye Yojana ke bare me jankari pradan ki hai. Aap direct isi page se sabhi yojanao ke bare me jan sakte hai. Aur iske official website par Log.in karne ke liye step by step tarika bhi bataya gaya hai.

Yadi aapko abhi bhi Navasakam Scheme se juri koi problem ho rahi ho, To use comment me jarur puche.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment