Atal Pension Yojna 2020 Online Application Form:- Atal Pension Yojna Pradhan Mantri Narendra Modi Ji ke dwara Old People yani (वृद्धजनो) ke liye shuru ki gyi hai. Is Yojna ke antargat Desh ke 60 Varsh se adhik Age ke Virdha Vyakti ko Rs. 1000 Rupaye se lekar 5000 Rupaye tak ki aarthik sahayata pradan ki jayegi. Atal Pension Yojna ke tahat Labharthi ko Pension ki Rashi Investment aur Age ke hisab se nirdharit ki jayegi.
To yadi aap is Atal Pension Yojna (APY) 2020 ke bare me sabhi jankari jaise Registratin Process, Elibibility, Document, Amount Rs ityadi prapt karna chahte hain to is post ko dhyanpurvak last tak jauru padhe. Kyonki is Yojna se judi sabhi important information aur sath hi official link bhi yaha par share kiya ja raha hai.
PM Atal Pension Yojna 2020
Central Government dwara Desh ke 60 Varsh se adhik Age bale Vrdha Vyakti ko Pension uplabdh karane ke udeshya se yah Pradhan Mantri Atal Pension Yojna ki shuruaat 1 June 2015 ko ki gyi hai.
Agar aap is Atal Yojna 2020 ke antargat Application Form bharna chahte hain to aapko Per Month Premium jama karna hoga, Uske baad Labharthi ki Age 60 Varsh pure hone par Sarkar dwara harek Mahine Pension ke roop me Sahayata Rashi pradan ki jayegi. Itna hi nahi aap Atal Pension Yojna 2020 me na Sirf kam Rashi jama karke Per Mahine jyada Pension ke liye Entitled ho sakte hain, Balki Untimely Death hone par aapke Parivar ko is Yojna ka Labh pradan kiya ja sakta hai.
Atal Pension Yojana (APY) – Highlights
Name of Scheme | Atal Pension Yojna |
Started by | Pradhan Mantri Narendra Modi |
Launched Date | 1 June 2015 |
Beneficiary | Desh ke Unorganized Area ke Log |
Objective | Pension Pradan Karna |
Pradhan Mantri Atal Pension Yojna 2020
Aapko bata den ki is Yojna me aavedan karne ke liye Labharthi ki Age lagbhag 18 Varsh se lekar 40 Varsh ke bich honi chahiye, Tbhi aap is Yojna ka Labh aasani se utha sakte hain. Yadi Desh ke koi Labharthi ka Age 18 Varsh hai aur is Yojna me shamil hona chahte hain to unhe Per Mahine 210 Rupaye ka Premium dena hoga, Jabki Agar koi Vyakti 40 Varsh ke hain to unhe 297 Rupaye se lekar 1454 Rupaye tak ka Premium Per Mahine dena hoga.
To Atal Pension Yojna me Shamil hone ke liye Labharthi ka apna Bank Account unke Aadhar Card se Link hona anivarya hai, Aur jo Vyakti ko chhota se chhota ya other wise kisi tarah ki Government Job hai to vah is Yojna ke aavedan nahi kar sakte hain.
Objective of Atal Pension Yojna
Is Yojna ka mukhay udeshya Unorganized Area ke Kamgaro ko Pension dekar unke Future ko Surakshit bana bana hai, Jo ki yah Yojna ek Samajik Suraksha yojna hai jiska udeshya Yojna me bhag lene bale Labharthiyon ko Suraksha pradan karna hai, Aur apne aap par Aatmnirbhar banana hai.
Is Yojna me koi bhi Vyakti apne 7 Rupaye bachakar Per Mahine 210 Rupaye ka Investment kar sakta hai, To ve 1 Years me 60,000 Rupaye tak ka Pension prapt kar sakte hain. Jiske liye Invesement unko 18 Varsh se hi karna hoga.
Batate chale ki is yojna ka men point hai ki isme Income Tax ke Section 80 ke tahat Investment karne par Tax ka pura Labh milta hai, Kyonki yah Yojna National Pension Yojna ke madhyam se Pension Fund Regulatory and Development Authority (PFRDA) dwara Sanchalit ki gyi hai.
Benefit of Atal Pension Yojna 2020
- APY Yojna ka Labh Sirf Bharat ke Log hi utha sakte hain.
- Is Yojna ke tahat 60 Varsh pura hone ke baad Sarkar dwara Rs. 1000 se 5000 Rupaye ki Pension Per Mahine di jayegi.
- Aur is Pension Yojna ki Rashi Labharthi dwara kiye gye Investment aur Age ke aadhar par pradan ki jayegi.
- Is Yojna me PF Account ki tarah Sarkar apni taraf se Contribution pradan karegi.
- Agar aap Per Month 1000 Rupaye Pension ka Labh prapt karna chahte hain to aapko 18 Varsh se 42 Years tak 210 Rupaye ka Premium Per Mahine jama karna hoga.
- Aur 40 Varsh ke Logo ko 297 Rupaye se 1454 Rupaye tak Premium dena hoga.
Who is Not Eligible For APY Scheme, (APY योजना के लिए कौन पात्र नहीं है)?
Kisi bhi Statutory Social Security Schemes ke Labharthi APY Scheme ka Labh prapt karne ke liye eligible nahi hain, Jo nimnlikhit hai.
- Employees Provident Fund and Miscellaneous Provisions Act, 19521.
- Koyla Khan Bhavishya Nidhi Aur Vividh Pravdhan Act, 19481.
- Simmons Provident Fund Act, 1966.
- Assam Tea Plantation Provident Fund and Miscellaneous Provisions, 1955.
- Jammu & Kashmir Staff Bhavishya Nidhi Aur Vividh Prabdhan Act, 1961.
- Any other statutory social security scheme.
Eligibility Criteria
- Applicants should be Indian Citizens.
- Aavedak ki AGe 18 se 40 Varsh ke bich honi chahiye.
- Aur Bank Account Aavedaak ke Aadhar Card se Link hona chahiye.
Important Document
- Aadhar Card
- Mobile Number
- Identity Proof
- Postal Address
- Passport Size Photo
How To Apply For Atal Pension Scheme 2020?
Desh ke jo bhi Labharthi Pradhan Mantri Atal Pension Yojna 2020 ka Labh uthane ke liye ichhuk hain ve niche bataye gye step by step tarike ka upyog karke iske liye aavedan kar sakte hain.
- APY ke tahat aavedan karne ke liye sabse pahle kisi bhi National Bank me Account hona anivarya hai.
- Yaha se aapko is Yojna ka Labh lene ke liye Application Form prapt karna hoga.
- Iske baad Application Form puchhi gyi saari jankari ko bharen.
- Form bharne ke baad Bank Manager ke pass jama karna hoga.
- Ab aapke sabhi Document ko Verified karne ke baad APY Scheme ke liye Bank me aapka Account khol di jayegi.
Important Link:-
Official Website:- Go Here
Download Notification | Click Here |
Important Information | Click Here |
PM Atal Pension Yojna
Is PM Atal Pension Yojna ko abhi tak Five Years pure ho chuke hain, Jo is Yojna ko PFRDA dwara Sanchalit ki gyi hai, Jiske madhyam se abhi tak lagbhag 2.23 Crore Male aur Female Log shamil huye hain.
PAY Scheme ke antargat Desh ke 60 Varsh se adhik Age ki Mahilaon aur Pursho ko 5 Saalo me Per Mahine Pension pradan kiya ja chuka hai. Jabki Is Varsh Registered Logo ki Sankhya 2.23 Crore se adhik pahuch gyi hai. Mane to yah Yojna Desh ke Logo ke kafi Labhdayak hai.