Contents
Atul Maheshwari Scholarship 2020:- Amar Ujala Foundation ke dwara sanchalit Atul Maheshwari Scholarship 2020 ke liye Online application form ka aavedan shuru kar di gayi hai. Yadi aap honhar hai, Aur aarthik pareshani ke chalte bhavishya ko lekar pareshan hai, To ghabraye nahi Amar Ujala Foundation sabhi eligible students ke liye lekar aaya hai, Atul Maheshwari Scholarship Exam. Is exam me shamil hone ke liye aap sabhi ko sabse pahle iske liye Online Application form bharna hoga. Aap is post me diye gaye Link ki madad se Atul Maheshwari Scholarship 2020-21 ke liye application form bhar sakte hai.
Amar Ujala Foundation ki website @foundation.amarujala.com ya fir Amar Ujala ki website @amarujala.com se online aavedan kar sakte hai. Application form ke liye mangi gayi sabhi jankariyan dena anivary hai. Written exam online nahi balki alag alag shahro me nirdharit Examination centre par hogi. Form bharte samay Written exam ke liye students apni suvidha anusar shahar ka chayan kar sakenge. Exam ke liye 50 shahro ka option form me diya gaya hai. Exam centre ki suchna E-mail dwara bheje jane vale Admit Card me di jayegi. Isliye Application form bharne se pahle aap Atul Maheshwari Scholarship ki puri jankari prapt kar sakte hai.
Atul Maheshwari Scholarship 2020
Amar Ujala Foundation ne June 2014 me ek unique scholarship program shuru kiya hai, Jo visheh rup se government institution me padhai karne vale students ke liye aur Rs. 1.5 Lakh se kam annual family income ke liye yah scholarship exam taiyar kiya gaya hai. Pichle kuch saalo me online aur offline aavedan kiye jate the, Jinme lagbhag 1.5 Lakh se adhik students ne registration karbaya tha. Lekin ab sirf Online mode ke dwara hi Application form bhara ja sakta hai.
Pichle saal bhi aavedan keval online aamantrit kiye gaye the. Scholarship exam ke liye ek lakh se adhik students register aur 70,000 eligible students ne exam diya. Yah competition Uttar Pradesh, Himachal Pradesh, Jammu and Kashmir, Chandigarh, Punjab, Haryana aur Uttarakhand Rajyo me hui thi. Aur ab is bar Session 2020-21 ke liye bhi ini shahro me Atul Maheshwari Scholarship Exam ke liye Online aavedan shuru kar di gayi hai.
Origination Name | Amar Ujala Foundation |
Scholarship Name | Atul Maheshwari Scholarship (अतुल माहेश्वरी छात्रवृत्ति) |
Application Link | Available Soon |
Year | 2019-2020 |
Scholarship Reward | INR 30-50 Thousands |
Exam Date | November To December |
Application Start Date | August-September |
Eligibility Criteria | 9th To 12th Students |
Atul Maheshwari Scholarship Amount
Atul Maheshwari Scholarship Exam me pass huye 36 Students ko Amar Ujala Foundation ke taraf se 9th aur 10th ke 18 Students ke liye Rs.30,000 prati students aur 11th aur 12th ke 18 Students ko Rs.50,000 pratyek students ko governmental institutional me padhne ke liye sahayta rashi pradan ki jayegi.
Amar Ujala Foundation dwara sanchalit Atul Maheshwari Scholarship 2020 ki ghoshna bahut jald hi ki jayegi. Jiski latest update pane ke liye aap is Page se jure rah sakte hai.
Eligibility Criteria:-
Jin Students ne apne annual examination me 60% se adhik marks prapt kiye hai. Aur ve 9th se 12th Class me padh rahe hai. Aur unke annual family income 1.5 Lakh se kam hai. Ve is Scholarship program ke liye eligible hai.
Selection Process:-
- Written Examination (लिखित परीक्षा)
- Interview (साक्षात्कार)
How to Fill Atul Maheshwari Scholarship Form Online?
Jo Students is Scholarship Program ka labh uthana chahte hai, Ve Amar Ujala ke official web portal ke madhyam se online aavedan kar sakte hai. Students application form bharte samay apne sabhi jaruri documents apne sath rakhe. Ek mobile no. se e hi form bhara jayega.
- Sabse pahle aap Atul Maheshwari scholarship ke official site par jana hoga.
- Iske homepage par aap sabhi ko sign up karna hoga, Jiske liye ‘New here? Sign Up’ ke link par click kare.
- Students ko apna Account kholne ke liye apna email id aur password likhna hoga.
- Studnets ko register E-mail ID par ek link bheja jayega. Jiska upyog naya account banane ke liye upyukt hoga.
- Ab students Registration Form ko thik se bhar den.
- Aur jaruri document upload kar den.
- Form bharne ke bad use Submit kar den.
Apply Now | Apply NOW |
Official Website | https://foundation.amarujala.com/ |
Important Documents For Application
Jo bhi Students is exam me shamil hona chahte hai, Unhe application form bharne ke douran in documents ki aavashyakta padegi.
- Income Certificate
- Caste Certificate
- Mark sheets of High School / Intermediate
- Domicile Certificate
- Aadhar Card
- Pan Card
- And other documents
Good
Hi