Ayushman Bharat Yojana Apply Online:- Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana ke tahat ab aap Covid-19 ke check up ke liye diye gaye kisi bhi Testing centre me jakar check up karva sakte hai. Iski puri jankari is post me di gayi hai, Aur kis kis shahar me kitne testing centres hai, Uska bhi list provide kiya gaya hai. Yadi aap Corona virus ke treatment aur testing bilkul muft me karna chahte hai, To niche di gayi list me se kisi bhi Testing Centre par jakar check up karva sakte hai. Yah Yojana Ayushman Bharat Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana ke tahta shuru ki gayi hai. Aap niche is Yojana ke bare me puri jankari prapt kar sakte hai.
PM Narendra Modi ne Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PM-JAY) प्रधान मंत्री जन आरोग्य योजना shuru ki hai. Jise Bhartiye nagriko ke liye Ayushman Bharat ke rup me bhi jana jata hai. Yadi aap bhi is Yojana ka labh uthana chahte hai, To aap sabhi PM-JAY Online Application Form bhar sakte hai. Registration karne ke baad aap is Yojana ki Beneficiary List dekh sakte hai, Aur suvidha ka labh uthane ke liye Ayushman Bharat Card download kbhi kar sakte hai. Aap Ayushman Bharat ke tahat registration karva kar Free COVID-19 Testing Center / Hospital List me check karva sakte hai.
Latest Update:- आयुष्मान भारत प्रधानमंत्री जन आरोग्य योजना के तहत अब COVID -19 का परीक्षण और उपचार मुफ्त किया जायेगा
Ayushman Bharat Yojana List 2020
Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PM-JAY) ki shuruat National Health Authority Bharat Sarkar dwara 23 September 2018 ki gayi Universal Health Coverage (UHC) ki national level ki yojana hai. Ayushman Bharat Yojana Bharat ke garib parivar ke liye healthcare program or Insurance plan ke liye samarthan karne ki yojana hai. Government medical infrastructure aur healthcare facilities me se adhikansh Bhartiye parivar Private Hospitals aur healthcare centers ka kharch nahi utha sakte hai. Isliye Bharat sarkar ke Ministry of Health and Family Welfare ne PMJAY Ayushman Bharat scheme shuru ki hai.
Ayushman Bharat Yojana ke tahat 10 Crore garib parivaro ko Rs. 5 Lakh Health Insurance muhaiya karai jayegi. 5 Lakh tak ki health facilities pradan karne ke liye is yojana karne ka udeshya hai, Aur yah yojana Private Hospitals aur healthcare centers me bhi cashless treatment ka vada karti hai. Ayushaman Bharat Yojana ke tahat ghutne ki replacement, Coronary bypass aur any jaisi mahangi surgery bhi shamil hai. Aur ab Ayushaman Bharat ke tahat COVID-19 ka muft me testing aur treatment uplabdh hai.
Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PM-JAY) Overview
Higher Authority | National Health Authority Government of India |
Department | Ministry of Health and Family Welfare |
Scheme | Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PM-JAY) |
Known as | Ayushman Bharat आयुष्मान भारत योजना |
Beneficiaries | Indian Nationals (भारतीय नागरिक) |
Benefits | Health Insurance of Rs. 5 Lakh to all families covered in PM-JAY (कोरोना वायरस संक्रमण की मुफ्त जांच एवं इलाज) |
Official Website | www.pmjay.gov.in |
Benefits of PMJAY Scheme
- Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana (PM-JAY) ke antargat 10 Crore se adhik parivaro ko labh milega.
- Apne mobile no. se Log.in kar pata kare ki aapka parivar Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana me shamil hai ya nahi.
- Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana ka labh lene ke liye aapko karne ki jarurat nahi hai.
- Aagr aapka Parivar Pradhan Mantri Jan Arogya Yojana List me shamil hai, To aap health facilities ke liye diye gaye hospital me se prati varsh 5 Lakh Rupaye tak ka labh utha sakte hai.
PMJAY Eligibility Criteria
For Rural Area
- Ek Room ka kachaa makan.
- 16 se 59 umar tak ke koi bhi adult member na ho.
- Viklang sadasy ya asaksham log.
- SC/ST parivar
- Bhumihin parivar yojana ka labh utha sakte hai.
For Urban Area
- Ragpicker.
- Beggar.
- Domestic worker.
- treet vendor/ Cobbler/hawker
- Sweeper/ Sanitation worker/ Mali.
- Home-based worker
- Washer-man/ Chowkidar.
How to check the Ayushman Bharat Scheme Beneficiary List 2020?
- Sabse pahle PMJAY ke official website par visit kare.
- Iske homepage par ‘Am I Eligible’ ke option par click kare.
- Aur ab apna phone number, ration card number, Rashtriya Swasthya Bima Yojana URN number diye gaye blanks me bhare.
- Aapke mobile no. par ek OTP bheja jayega.
- Jise submit kar den.
- Apne State select kare, Aur search kare.
- Aapke samne list show ho jayega, Jisme aap apna naam dhunde.
How to Apply for Ayushman Bharat Yojana Registration Online 2020
- Sabse pahle diye gaye link se ske official site par visit kare.
- PMJAY @www.mera.pmjay.gov.in
- Iske homepage par Log.in kare.
- Fir state aur cateogry choose kare.
- Fir aap application form bhar sakte hai.
- Frm bharkar submit kare den.
- Aur kuch din hi bad aapko Ayushman Bharat Card mil jayega.
Application Form Link | Apply Here |
Official Website | www.mera.pmjay.gov.in |
Free COVID-19 Testing Center / Hospital List
Name of State | Coronavirus/COVID-19 Free Test Center |
Delhi | All India Institute Medical Sciences (AIIMS) National Centre for Disease Control (NCDC) |
Maharashtra | Indira Gandhi Government Medical College, Nagpur Kasturba Hospital for Infectious Diseases, Mumbai |
Rajasthan | Sawai Man Singh, Jaipur Dr. S.N Medical College, Jodhpur Jhalawar Medical College, Jhalawar SP Med. College, Bikaner RNT Medical College, Udaipur |
Tamilnadu | King’s Institute of Preventive Medicine & Research, Chennai Government Medical College, Theni Tirunelveli Medical College, Tirunelveli Govt. Medical college, Thiruvaru |
Uttar Pradesh | King’s George Medical University, Lucknow Institute of Medical Sciences, Banaras Hindu University, Varanasi Jawaharlal Nehru Medical College, Aligarh |
Uttarakhand | Government Medical College, Haldwani |
West Bengal | National Institute of Cholera and Enteric Diseases, Kolkata IPGMER, Kolkata |
Madhya Pradesh | All India Institute Medical Sciences, Bhopal National Institute of Research in Tribal Health (NIRTH), Jabalpur |
Kerala | National Institute of Virology Field Unit Govt. Medical College, Thriuvananthapuram Govt. Medical College, Kozhikhode Govt. Medical College, Thrissur |
Karnataka | Bangalore Medical College & Research Institute, Bangalore National Institute of Virology Field Unit Bangalore Mysore Medical College & Research Institute, Mysore Hassan Inst. of Med. Sciences, Hassan Shimoga Inst. of Med. Sciences, Shivamogga |
Gujarat | BJ Medical College, Ahmedabad M.P.Shah Government Medical College, Jamnagar |
Haryana | BPS Govt Medical College, Sonipat Pt. B.D. Sharma Post Graduate Inst. of Med. Sciences, Rohtak |
Himachal Pradesh | Indira Gandhi Medical College, Shimla, Himachal Pradesh Dr. Rajendra Prasad Govt. Med. College, Kangra, Tanda |
Jammu & Kashmir | Sher-e- Kashmir Institute of Medical Sciences, Srinagar Government Medical College, Jammu Government Medical College, Srinagar |
Jharkhand | MGM Medical College, Jamshedpur |
Meghalaya | NEIGRI of Health and Medical Sciences, Shillong |
Manipur | J N Inst. of Med. Sciences Hospital, Imphal-East, Manipur Regional Institute of Medical Sciences, Imphal |
Odisha | Regional Medical Research Center, Bhubaneswar |
Punjab | Government Medical College, Patiala Government Medical College, Amritsar |
Puducherry | Jawaharlal Institute of Postgraduate Medical Education & Research, Puducherry |
Telangana | Gandhi Medical College, Secunderabad Osmania Medical College, Hyderabad |
Tripura | Government Medical College, Agartala |
Bihar | Rajendra Memorial Research Institute of Medical Sciences, Patna |
Chandigarh | Post Graduate Institute of Medical Education & Research, Chandigarh |
Chhattisgarh | All India Institute Medical Sciences, Raipur |
Andaman and Nicobar Islands | Regional Medical Research Centre, Port Blair, Andaman and Nicobar |
Andhra Pradesh | Sri Venkateswara Institute of Medical Sciences, Tirupati Andhra Medical College, Visakhapatnam GMC, Anantapur Sidhartha Medical College, Vijayawada Rangaraya Medical College, Kakinada |
Assam | Gauhati Medical College, Guwahati Regional Medical Research Center, Dibrugarh Silchar Medical College, Silchar Jorhat Medical College, Jorha |
We at Radiant Childrens Hospital provide the highest quality and affordable treatments to our patients. Our hospital is located at Udaipur City, Udaipur-Rajasthan, RAJASTHAN. All patients are assured of the best service in a very pleasant and non-stressful atmosphere. Proper attention is paid to the hygiene and sanitation. We have the best and most experienced surgeons and specialists treating our patients with utmost care.