Sarkari Yojna UP

BC Sakhi Scheme Online Registration 2020 – सखी योजना पंजीकरण

Written by A to Z Classes

BC Sakhi Yojna Online Registration:- Uttar Pradesh Sarkar ne UP ke Gramin Area ke Bank se jodne ke liye ek bahut hi achchhi pahle ki hai. Bata den ki Uttar Pradesh Mukhyamantri Yogi Adityanath ne Banking Correspondent (BC) Sakhi Scheme ko shuru kiya hai, Jiske antargat Rajya ki sabhi Mahilaon ko Rajya Sarkar dwara Rojgar ke avsar pradan kiye jayenge.

Aur is Yojna ke tahat Uttar Pradesh Sarkar ne Gramin Area me Baking Correspondent Sakhi tainat karne ka nirnay liya hai. Is Yojna me mukhya roop se Gramin Logon ko Bank jane ki aavashyakta nahi pad sakti hai, Kyonki BC Sakhi sabhi gharo me Paise ki delivery karegi. Jo is article me UP BC Sakhi Yojna 2020 se judi sabhi vistarit jankari pradan karaya ja raha hai, Yadi aap bhi is Yojna ke bare me janana chahte hain to is post ko last tak padhe.

Uttar Pradesh BC Sakhi Yojna 2020 Online Registration

Aapko bata den ki Uttar Pradesh Sarkar UP Banking Sakhi Yojna ka elaan kiya hai aur kaha hai ki is Yojna ke antargat UP ke Gramin Area ki Mahilayen Digital Mode ke madhyam se Logo ke ghar par Banking Services aur Paiso ka lenden jaise suvidha pradan karegi, Aur sabhi Graminn Mahilaon ka Rojgar bhi milega Sath hi un sabhi ko Nai Banking Reporter Sakhi Scheme 2020 se Earnings ke liye kaam karne me shayata di jayegi.

Yadi Uttar Pradesh ke Gramin Area ke jo bhi Mahilayen UP Banking Sakhi Scheme 2020 me work karti hai to unhe 6 Mahine tak 4000 Rupaye ki Rashi partyek mahine Sarkar dwara pradan kiye jayenge. Iske alava Bank dwara bhi in sabhi Mahilaon ko Paiso ka len den karne par Commission pradan kiya jayega. Is Yojna me shamil hone se UP ke Gramin Mahilayen Per Month achhi khasi Income prapt kar sakti hai.

Aap sabhi jan rahe hai ki is samay Desh me COVID-19 ke chalte Berojgari ki samasya kafi jyada badh gyi hai, Aise me UP Government dwara Mahilaon ko Rojgar pradan karne ke liye 22 May 2020 ko Banking Correspondent Sakhi Yojna ki shuruaat ki hai. Is Yojna ke tahat Rajya me 58,000 Banking Correspondent Sakhi tainat kiye jayenge. Aur sabhi Gramin Area ke logo ko Banking Suvidha uplabdh karaya jayega.

Uttar Pradesh BC Sakhi Scheme 2020 Highlights

Name of The SchemeBC (Banking Correspondent) Sakhi Scheme 2020
Started byChief Minister Yogi Aditya Nath
LocationUttar Pradesh (UP), India
Launch Dates22 May 2020
BeneficiaryState Ki Mahilayen.
ObjectiveRojgar Pradan Karna

UP Banking Correspondent (BC) Notification 2020

Aap Uttar Pradesh Mukhyamantri dwara BC Sakhi Yojna 2020 ke bare me jaari kiye gye Notification ko niche pad sakte hain.

Purpose of UP Banking Sakhi Scheme

Aap jan len ki BC Sakhi Scheme 2020 ka mukya udeshya hai ki Uttar Pradesh ke Gramin Mahilaon ko is Coronavirus Lockdown Mahamari me Rojgar pradan karna hai. Iske sath hi aise Yojna ki lagu hone se Bank Account Dharak bhi apni aane jane ki samasya se bach payenge. Aur is Yojna ki shuruaat hone se sabhi Khata Dharko ko Bank me jakar lambi line me lagne ki aavashyakta nahi hai, Ve apne ghar baithe Degital Banking ki suvidha prapt kar sakte hain aur paise ka len den kar sakte hain.

Is Yojna ko laghu karne ke liye CM Adityanath ne 35,938 Self Sahyata Samuho (SHG) ko 218.49 Crore Rupaye ka Revolving Fund bhi diya, Jo ki yah Paisa Gramin Aajivika Mishan ke tahat diya gya hai.

Special Features of UP Banking Sakhi Scheme

  • BC Sakhi Yojna ki madad se UP ki Gramin Area ke Mahilaon ko Rojgar ki avasar prapt honge.
  • Aur is Yojna ke tahat lagbahg 58,000 Mahilaon ka Rojgar pradan kiya jayega.
  • Jo Mahilayen is Yojna ke liye chuni jayegi, Unhe Naukri milegi aur agele 6 Mahine tak Per Month 4000 Rupaye pradan kiye jayenge.
  • Chuni gyi partyek Banking Sakhi ko Sarkar dwara Degital Device lene ke liye Rs. 50,000 Rupaye ki Rashi pradan ki jayegi, Iske alave Bank dwara bhi Degital Mode se kiye gye partyek Transaction par Commission diya jayega.
  • BC Sakhi Scheme ke madhyam se Gramin Log ghar baithe Banking Service ko prapt kar payenge.
  • BC Sakhi ka mukhya kaam har ghar me jakar Logo ko Banking ki jagrukta pradan karna, Aur Banking Kamo ko ghar baithe pura karbana hai.
  • Is Yojna ke antargat Rojgar prapt karne ke liye Mahilaon ko aavedan karna hoga.

How To Apply in BC Sakhi Scheme 2020?

Rajya ke jo bhi Labharthi Mahilayen is Yojna ke tahat Rojgar prapt karna chahti hai aur Gramin Logo ko Banking Suvidhayen pradan karna chahte han, To unhe BC Sakhi Yojna ke antargat Registration karbana hoga. Lekin abhi aapko kuchh wait karna hoga. Kyonki is Yojna ki ghosna hal hi me 22 May 2020 ko kiya gya hai, Abhi Aavedan ke liye koi official update nahi di gyi hai. Lekin jaise hi iski Registration Process ko shuru ki jati hai to ham is page me Update karenge. Yadi aap is Yojna ke liye ichhuk hain to Latest Update prapt karne ke liye is page par Regular visit karte rahe.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

5 Comments

Leave a Comment