Contents
Bihar Board 10th Compartment Exam 2021:- Hello Students, Bihar School Examination Board (BSEB) Matric Compartmental Exams ke liye 12th April 2021 se online registration shuru kar diya hai. Bihar Board apne official website www.biharboard.online par Class 10th Compartment Exam Online Form accept kar raha hai. Bihar Board (BSEB) Matric 10th Class Exam 2021 me jo students kisi Subjects me paas nahi ho paye hain, to Compartmental Exams de sakte hain. Iske liye sabse pahle Bihar Board Matric Compartmental Exam Form 2021 online bharna hoga. Bata den ki form fill karne ka last date 16 April 2021 hai.
Bihar Board Matric Annual Exam 2021 me 1-2 Subjects me fail rahe sabhi students Compartmental Exam ke liye aavedan kar sakte hain, Aur BSEB 10th Compartmental Cum Special Exam 2021 me bhag le sakte hain.
IMORTANT INSTRUCTIONS:- बिहार बोर्ड मेट्रिक कंपार्टमेंटल सह विशेष परीक्षा 2021 में सम्मिलित होने के लिए ऑनलाइन फॉर्म भरने हेतु तिथि दिनांक 12 अप्रैल 2021 से 16 अप्रैल 2021 तक निर्धारित किया गया है |
>> परीक्षा में शामिल होने के लिए छात्रोंका परीक्षा फॉर्म विद्यालय प्रधान के द्वारा वेबसाइट www.biharbard.online पर दिनांक 12 से 16 अप्रैल 2021 तक ऑनलाइन माधयम से भरा जायेगा|
>> उक्त परीक्षा में परीक्षार्थी अधिकतम दो अनुतीर्ण विषयो (एकल विषय अंग्रेजी अंक्तिरित) में कंपार्टमेंटल कोटि के रूप से सम्मिलित हो सकते हैं|
>> ऑनलाइन परीक्षा आवेदन भरने या परीक्षा शुल्क जमा करने के किसी प्रकार की असुविधा होने पर बोर्ड ने एक हेल्पलाइन नंबर भी जारी किया है, जिसपर संपर्क करके अधिक जानकारी ले सकते हैं. समिति के हेल्पलाइन नंबर 612-2232074 2232257 और 2232239 है|
Bihar Board 10th Compartmental Exam Form 2021
Sabhi jante honge ki BSEB ne 05 April 2021 ko Matric Exam Result 2021 ghoshit kiya gya tha. Lekin BSEB Board un students ko ek aur chance diya hai jo Class 10th Exams 2021 me 1-2 Subjects me fail hote hain. To yadi aap bhi 1-2 Subjects me fail hone bale students me se ek hain to aap Bihar Board Matric Compartmental Cum Special Exam Form 2021 bhar sakte hain. Board aavedan form accept karne ke baad Admit Card jaari karega. Kyunki 10th Compartmental Exam May 2021 me hone ki sambhavna hai. Aap niche section me diye gye direct link se aavedan form bhar sakte hain.
BSEB 10th Compartmental Cum Special Exam Form Fill Up 2021 – Details
Article | Bihar Board 10th Compartment Exam Form 2021 |
Board | BSEB, Patna |
Exam Name | Compartmental Cut Special Exam |
Class | 10th / Matriculation |
Exam Form Apply Date | 12 April 2021 to 16 April 2021 |
Form Fill Up Mode | Online By School |
Who Can apply | Fail in 1 or 2 Subjects |
Official Site | http://biharboardonline.bihar.gov.in/ |
Bihar Board 10th Compartmental Exam Form Apply Date 2021
To Bihar Board 10th Compartmental Exam Form Fill Up 12 April 2021 se shuru kar diya hai. Compartmental Exam Form un sabhi students dwara bhara ja sakta hai jinhone Matric Annual Exam 2021 me bhag liya hai, lekin 1-2 Subject me fail hain. Aur 2 se adhik Subjects me fail huye students iske liye aavedan nahi kar sakte.
Events | Important Dates |
Exam Form Fill Up Start Date | 12 April 2021 |
Form Fill Up End Dates | 16 April 2021 |
10th Compartmental Exam Fee
Bihar Board 10th Compartmental Exam Form Fee 2021 sabhi category ke students ke liye alag alag hoga, Jo aap table me check kar sakte hain. Aur application fee ke bare me adhik jankari ke liye official notification padh sakte hain.
Candidates Categories | Fee |
General/ UR | Rs. 855/- |
SC/ ST/ EBC & BC-1 | Rs. 755/- |
How to Apply BSEB 10th Compartmental Application 2021?
Bihar Board 10th Compartmental Exam Form School principal dwara online bhara jayega. Students apne sambandhit Schools me jakar offline Compartmental Exam Form bhar sakte hain.
- Sabse pahle secondary.biharboardonline.com se Matric Result web copy ko download karen.
- Aur ise apne respective school me lekar jayen, aur 10th Compartmental Exam Form ke liye puchhen.
- School se form lekar form bharen, aur Matric result 2021 web copy ko attach karen.
- Last me Compartmental Exam Form Fee ke sath jama kar den.
Important Link
10th Compartmental Exam Form 2021 Fill Up Link | CLICK HERE |
Download Notification | CLICK HERE |
Bihar Board 10th Scrutiny Form 2021 | CLICK HERE |
Official Website | http://biharboardonline.bihar.gov.in/ |
Aur ha, Board aavedan form jama lene ke baad Examination se 1-2 week pahle Admit Card jaari karega. 10th Compartmental Exam Form bharne bale students apne respective schools se Admit Card prapt kar sakte hain.