BSEB

Bihar Board Ka Answer Sheet Aur OMR Sheet Kaise Download Karen – BSEB RTI

BSEB
Written by A to Z Classes

Bihar School Examination Board (BSEB) Marksheet and OMR Sheet 2021: Hello Friends, Bihar board ne ab sabhi students ko ek nayi suvidha di hai jis se ve apne answer sheet ko photo copy aur omr sheet ko photocopy prapt kar sakte hain bihar board ke official site se. To exam dene ke baad aap kis tarah se apne likhe gaye answersheet aur omr sheet ko RTI ke tahat download kar sakte hain uske bare me puri jankari aap sabhi ko is article me di ja rahi hai. Yaha par aap sabhi ko bataya jayega ki kaise ise BSEB ke official site download kar sakte hain. Aapko bata den ye suvidha class 10 aur class 12 ke board exam dene bale students ke liye kiya gya hai.

To yadi aap bhi Bihar board ke matric aur inter ka exam dete hain aur uske baad yadi aap apna answer sheet aur omr sheet ka photocopy dekhna chahte hain to iske liye bihar board ke official site se apply kar sakte hain. Aapko bata den ki iske liye aapko prati page 2 Rupye paid karne honge Answer sheet aur OMR sheet ke liye.

UPDATE: RESULT AANE KE 3 MONTHS TAK AAPKE PASS MAUKA HOTA HAI KI AAP APNA ANSWER SHEET AUR OMR SHEET ONLINE DOWNLOAD KAR SAKEN. ISKE BAAD AAP ISE DOWNLOAD NAHI KAR SAKTE HAIN.

Bihar Board How to get Photocopy of the Answer Sheet and OMR Sheet

To aapko bata den ki Bihar Board Ka Answer Sheet aur OMR Sheet online prapt karna kafi aasaan hai aur iske liye aapko niche step by step tarika bataya gya hai. To jaise ki aapko upar bataya gya hai ki iske liye aapko 2 Rupye per page ka shulk bhi dena hoga. Aap Bihar Board Online ke official site ke RTI section me jakar iske liye online apply kar sakte hain. Jiska Direct link niche diya gya hai.

http://rti.biharboardonline.com/

How to Download Bihar Board Answer Sheet & OMR Sheet

  • Sabse pahle Bihar Board ka official site open karen.
  • Uske baad “Online Portal For Requesting Answer Book and Question” ya RTI 2020 ke link par click karen.
  • Ab yaha par New Registration Panel me details ko bharen.
  • Ab yaha par Registration Number, Roll Code, Roll Number ityadi puchhi gyi sabhi details bharen.
  • Ab Register par click karen.
  • Iske baad aapko iska fee online pay karna hoga.
  • Aur is prakar aap Bihar board ke answer sheet aur OMR sheet ka copy prapt kar sakte hain.
नोट:-1. प्रथम बार उत्तर पुस्तिका एवं ओएमआर प्राप्त के लिए “NEW REGISTRATION PANEL” का प्रयोग करे |
2. “ALREADY REGISTERED USER PANEL” का प्रयोग आवेदक अपने प्राप्त आवेदन संख्या एवं सूचीकरण संख्या के साथ करे |
3. माध्यमिक के लिए सूचीकरण का उदाहरण :-
4. उच्च माध्यमिक के लिए सूचीकरण का उदाहरण :-

About BSEB

The Bihar School Examination Board is established for holding and conducting an examination at the end of the Secondary School stage, for prescribing a course of studies for such examination and for carrying out such other objects and duties as may be considered necessary for the purpose as stated in the Act, Rules, and Regulations of the Board.

Normally every year the Bihar School Examination Board conducts Annual Secondary School Examination in the month of February/March and Supplementary School Examination in the month of August/September on the basis of course/syllabus as prescribed by the State Government.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

4 Comments

Leave a Comment