Sarkari Yojna

Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 Registration – Online Application Form

Bihar Diesel Anudan Yojna 2022:- Hello Guys, Government of Bihar ne apne Rajya ke Kisano ko Kheti karne me sahayata pahunchane ke liye Bihar Diesel Anudan Yojna ki shuruaat ki hai. Jiske antargat Bihar Sarkar Rajya ke Kisano ko Krishi Utpadan ke liye Diesel par Subsidy pradan karegi. Aapko bata den ki बिहार डीजल अनुदान योजना 2022 ke tahat Rajya ke Kisano ko 40 Rupye / Liter ke hisab se Anudan Rashi di ja rahi thi. Lekin ab Bihar Sarkar ne is Yojna me kuchh badlav bhi kiya hai. Ji ha, Rajya Sarkar dwara ise badhakar 50 Rupaye/ Liter kar di gyi hai.

Isliye aaj ke is article me ham Bihar Diesel Anduan Yojna 2022 ki puri jankari ke sath Online Registration karne ke liye official link bhi share kiya hai. Yadi aap Bihar Rajya ka ek Kisan hain, Aur Bihar Diesel Anduan Yojna ka labh uthana chahte hain to aapke liye yah post kafi upyogi savit hone bali hai. Aap is post ko Padhkar bahut hi aasani se Diesel Anudan Yojna Bihar 2022 me online Application Form bhar sakte hain.

Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 Online Registration

Aapki jankari ke liye sabse pahle batana chahunga ki Diesel Anudan Yojna ke tahat Bihar Sarkar apne Rajya ke sabhi Kisano ko Kharif Crops (खरीफ फसलों) ki Diesel Pump Set se Utpadan karne par Anudan Rashi pradan karegi. Jaha Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 me Rajya ke Kisano ko sirf Dhan ki 4 Sinchai karne par Per Acre 400 Rupaye pradan ki jati thi. Isi tarah ab Kisano ko Corn (मक्का) ki dono Fasal par bhi Subsidy di jayegi.

Itna hi nahi Bihar Sarkar anya Kharif Fasal jaise Pulses, Oilseeds, Seasonal Vegetables, Medicinal and Aromatic Plants (दलहन, तेलहन, मौसमी सब्जियां, औषधीय एवं सुगंधित पौधे) ki 3 Sinchai tak Diesel Anudan degi. Aur Diesel Anudan Yojna ke antargat pahle Krishi Utpadan ke liye Per Unit Electricity Rate 96 Paise thi, But ab ise 75 Paise kar diya gya hai. Yah Private and Government sabhi Tube Well ke liye lagu ki gyi hai.

Bihar ke jo bhi Kisan Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 ka Labh uthana chahte hain, Unhe iske liye Bihar Agriculture Department ke official website par jakar online Aavedan karna hoga. Lekin Aavedan karne se pahle Kisano ko Eligibility Criteria ko pura karna hoga, Jo is page me niche diya gya hai.

Overview of Bihar Diesel Anudan Yojna 2022

Name of Scheme Bihar Diesel Anudan Yojna 2020
Started By Chief Minister Nitish Kumar
Department Direct Benefit Transfer, Agriculture Department, Government of Bihar
Beneficiary State Farmers
Objective Kisano Ko Diesel Anudan Pradan Karna
Registration Process Online
Category Bihar Government Scheme
Official Website https://dbtagriculture.bihar.gov.in/

Eligibility Criteria of Diesel Anudan Yojna Bihar

Yadi Bihar ke jo bhi Kisan Diesel Anudan Yojna 2022 ka Labh uthana chahte hain, Unhe sabse pahle Eligibility Criteria ko pura karna hoga, Jo nimnlikhit hai.

  • Sabse pahle Bihar Rajya ka ek Nagrik hona anivarya hai.
  • Aur Agricultural Sector me kaam karne bale Kisan hi is Yojna me Aavedan karne ke liye eligible hain.
  • Kisan ke paas khud ka kam se kam 1 Acre Krishi ke liye Jamin hona chahiye.
  • Yadi kisi Kisan dusre ki kheti karte hain, To unhe Diesel Anudan Yojna ka Labh nahi diya jayega.
  • Kisan ka apna Bank Account hona chahiye, Jo unke Aadhar Card link hona chaiye.

Benefit of Bihar Diesel Anudan Yojna 2022

  • Diesel Anudan Yojna me Rajya ke Kisano ko Bihar Sarkar dwara Paddy ki sinchai par Per Acre ke hisab se 400 Rupaye Subsidy di jayegi.
  • Labharthi Kisano ko 50 Rupaye Per Liter ki hisab se Diesel Anudan diya jayega.
  • Electricity se chlne bale Tube Well ki stithi me Sarkar dwara Kisano ko Krishi Sinchai me upyog ke liye 96 Paise Per Unit ki Electric Rate ko 75 Paise Per Unit kar di gyi hai.
  • Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 me Transformer khrab hone par 72 hours ke jagah 48 hours me New Transformer change kiya jayega.
  • Aur is yojna ki shuruaat se Rajya ke Kisano ko aarthik madad milegi, Jis se Kisano ki Income me vridhi hogi.

Required Document

  • Aadhar Card
  • Voter ID Card
  • Bank Passbook
  • Residence Certificate
  • Agricultural Land Papers
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

बिहार डीजल अनुदान योजना 2022 के लिए ऑनलाइन आवेदन कैसे करें?

Eligibility Criteria ko pura kar chuke Kisan niche bataye gye steps ko follow karke Bihar Diesel Anudan Yojna 2022 ke liye online Aavedan kar sakte hain.

  • Bihar Agriculture Department ke official website par visit karen.
  • https://dbtagriculture.bihar.gov.in/
  • Iske home page se डीजल खरीफ अनुदान 2019-20 par click karen.
  • Ab ek new page open ho jayega, Yaha aapko kuchh jankari enter karke Registration No. Enter hoga.
  • Agar aapka Registration nahi hain, To aap Registraion kar sakte hain.
  • Yadi aap बटाईदार एवं स्वयं बटाईदार स्थिति ke liye Aavedan karenge, To aapke ek Form open ho jayega.
  • Application Form ko sahi se bharen, Aur Close par click kar den.
  • Ab sabhi details enter karne ke baad Search par click kar den.
  • Iske baad aapko Khet ki puri jankari enter karni hogi.
  • Sabhi jankari enter karne ke baad Validate par click karke Diesel Rashid ko Upload karna hai.
  • Last me Submit par click kar den, Aapka Aavedan pura ho jayega.
Apply Online Form Click Here
Official WebsiteVisit Here

बिहार डीजल अनुदान के बारे में अधिक जानकारी प्राप्त करने के लिए यहाँ क्लिक करें:- (Click Here)

Aap sabhi is tarah se Bihar Diesel Anudan Yojna me online Aavedan kar sakte hain, Aur yadi koi Saval hai to niche comment section me massege kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment