Hindi Yojna

Bihar Farmer Online Registration – बिहार किसान रजिस्ट्रेशन 2022 Link

Bihar Farmer Online Registration
Written by A to Z Classes

Bihar Kisan Online Registration:- Bihar ke kisan ab ghar baithe Online aavdan kar sakte hai, Aur kisano ke liye jo bhi Sarkari Yojna shuru ki jati hai ve uska labh utha sakte hai. Kisano ki suvidha ko dhyan me rakhte huye Bihar Sarkar ne ek nayi Website @dbt agriculture Portal launch ki hai. DBT Agriculture ke madhyam se Kisano ka sara byaura ikatha diya jata hai. Aur labharthi kisano ko sarkar dwara sanchalit Yojanao ka Paisa sidhe unke Bank Account me bhej diya jata hai.

Jaisa ki aap sabhi jante hai Bihar Government kisano ki sthiti sahi karne ke liye pratidin kuch na kuch prayas karne ki kosis karti hai. Aap sarkar ke dwara shuru ki Webiste portal DBT Agriculture ke madhyam se sari jankari prapt kar sakte hai. Aur sarkar ke sabhi yojanao ka labh Online Registration kar aap labh utha sakte hai.

DBT Agriculture ke website ke madhyam se aap kisi bhi Yojna ke liye Online Registration kar sakte hai. Is post me aap sabhi ke liye Website ki Direct link share ki gayi hai, Online Registration karne ke liye link aur step by step jankari bhi bhi batlayi gayi hai. Official Site

https://dbtagriculture.bihar.gov.in/

Bihar Kisan Online Registration 2022 Ki Jankari

DBT Bihar ki website ke madhyam se aap Bihar sarkar dwara chalai ja rahi Yojnao ka labh utha sakte hai, Is website ko shuru karne ka udeshya Bihar Rajya ke kisano ko ghar baithe suvidha pradan karti hai. Ham is aricle ke madhyam se DBT Bihar Kisan Registration ki puri jankari denge ki kaise ghar baithe is website par aavedan kar sakte hai.

DBT Agriculture Bihar Kisan Registration ke madhyam se jaise Bihar Kisan Pradhan Mantri Krishi Samman Yojana, Agricultural Mechanization Scheme, Prime Minister Agricultural Irrigation Scheme jaise any Yojnao ka labh utha sakte hai.

Scheme NameDBT Agriculture Bihar Kisan Registration
DepartmentBihar Agriculture Ministry
BeneficiaryFarmers of Bihar State
ApplicationOnline
Application Start DateAlways Open as per Plans
Application Last DateNo Last Date
Official Websitehttps://dbtagriculture.bihar.gov.in/

DBT Agriculture Ke Under Schemes ki List

Bihar rajya sarkar ke dwara kisano ke liye yojnao shuru ki gayi hai. Un Yojnao me me Kisan DBT Agriculture ki website par Online aavedan kar sakte hai. DBT Agriculture ke antrgat aanebali Yojnao ka nam niche diya gaya hai:-

  • Prime Minister Krishi Samman Nidhi Yojana
  • Agricultural mechanization scheme
  • Diesel Grant Rabi
  • Diesel subsidy
  • Application for Seed Licensed State Government
  • Agricultural input subsidy scheme for drought-prone blocks
  • An agricultural input grant scheme

Farmer Registration Documents Kya Chahiye

Yadi kisan khud DBT Agriculture ke douran Registration karbata hai to uske pass upyukt documents hona jaruri hai. Yadi kisan ke pass Aadhar card se Link mobile no. nahi hai, To kisan apne nikat CSC centre jakar aavedan kar sakte hai. Niche jaruri documents ke naam batlaye gaye hai:-

  • Aadhar Card
  • Mobile Number (linked to Aadhaar Card)
  • Ration card
  • Residence certificate
  • Bank detail
  • Bank Account Number and IFSC Code

Bihar Kisan Online Registration Kaise Karen DBT Agriculture Portal Par?

Bihar ke Kisan DBT Agriculture Portal ke madhyam se Bihar kisan registration online karbane ke liye, Niche diye gaye Steps ko follow kar sakte hai:-

  • Sabse pahle aap DBT Agriculture ki official website https://dbtagriculture.bihar.gov.in/ par visit kare.
  • Iske homepage par Registration bale link par click kare.
  • Registration ke link se aapko General user ke liye log.in karna hai.
  • Aapke pass tin option honge.
  • DEMOGRAPHIC + OTP
  • DEMOGRAPHIC + BIO–AUTH
  • IRIS (WORKING)
  • Aapko pahla option choose karna hai.
  • Fir apne Aadhar card ka No. bhar den.
  • Aur fir aapke pass Application Form khul jayega, Use achhi tarah se bhar den.
  • Ise submit karne ke bad, Registration No. likh le.

To is tarah se aap Bihar Agriculture Portal par registration karenge, Ye Bihar sarkar ki Official website hai. Yaha se aap Rajya sarkar ke dwara jitni bhi Yojnao chalai jayengi aap un yojnao me aavedan karke labhrthi ban sakte hai.

Registration karne ke bad Website me diye huye 10 Yojnao me aavedan kar sakte hai aur sath hi sath aavedan ki sthiti ki janch kar sakte hai. Bihar Kisan Registration ke bare me koi bhi adhik jankari ke liye aap niche comment me puchh sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

5 Comments

Leave a Comment