Hindi Jankari Sarkari News

Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana: आवेदन करें यहाँ, @startup.bihar.gov.in

Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana 2023:- Bihar Sarkar Rajya ke berojgar yuvaon ki future ko dhyan me rakhte huye aur rojgar anupat me shudhar karne ke liye apni pryash me aneko Sarkari Yojnaye shuruat kar rahi hai. Taki Rajya ke berogar yuva ko rojgar ka ek avsar prapt ho. To aise hi aaj ke is article me ham aapko Bihar Sarkari Yojna ke bare me jankari pradan karne ja rahe hain. Jiska naam Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana hai.

Is Yojana ka udeshya Rajya Sarkar dwara yuvaon ko Self-employment (स्वरोजगार) ke liye inspire karke udyami banana hai.

To yadi aap janana chhate hain ki Mukhyamantri Udyami Yojana Bihar ki puri jankari kya hai. Yaha aapko is Yojana se sambandhit sabhi mahatvapur jankari jaise Mukhyamantri Udyami Yojna ka benefits, features, eligibility, application process aur important document etc. mil jayegi.

Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana

Aapki jankari ke liye bata den ki Bihar Sarkar ne Rajya ke (Schedule Caste & Schedule Tribes) category ke logo ko labh pahunachane ke liye “Mukhyamantri Udyami Yojana” ki shuruat ki hai. Jiske tahat Rajya Sarkar Yuvaon ko Udyog ke kshetra me protsahit karegi.

Kyonki is Scheme ke antargat Bihar Sarkar Yuvoan ko Self-employment and industries (स्वरोजगार और उद्योगों) ko sthapit karne ke liye 10 Lakh Rupaye tak ka loan uplabdh karayegi. Bihar ke Mukhyamantri (Nitish Kumar) ne is Scheme ke liye total 102 Crore Rupaye ka budget nirdharit kiya hai.

Taki Bihar Udyami Yojana ka labh lekar Yuva apna khud ka Industry (उद्योग) shuru kar saken. Aur khud ka Rojgar shuru kar apne aap par aatmnirbhar ban saken. Yadi aap is Yojana ka labh uthana chahte hain to aapko online application form bharna hoga. Jiske liye step by step jankar niche diya gya hai.

Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana Overview

Article Category Bihar Government Schemes
Name of Scheme Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana
Launched By. Chief Minister of Nitish Kumar
Beneficiary Unemployed Youth
Objective Motivating youth to self-employment
Benefits Make youth Entrepreneurs
Application Process Online
Official Websitewww.startup.bihar.gov.in

Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana – Incentive Amount

बिहार मुख्यमंत्री उद्यमी योजना ke tahat Rajya ke berojgar yuvaon ko Udyog shuru karne ke liye 10 Lakh Rupaye tak ka Loan protsahan rashi ke roop me diya jayega. Agar Rajya ke jo bhi Yuva Mukhyamantri Udyami Yojana ka labh lene ke liye aavedan karte hain, To unhe Sarkar ki taraf se application form verification hone ke baad 10 Lakh Rupaye ki rashi di jayegi.

Yah Rashi total 2 Installments me di jayegi, Pahle to 5 Lakh Rupaye anudan ke roop me, Jabki 5 Lakh Rupaye interest-free credit (ब्याज मुक्त ऋण) ke roop me diya jayega. Jise labharthi ko kul 84 Installments (84 किस्तों) me pura karna hoga. Yadi aap bhi iska labh lekar khud ka Rojgar shuru karna chahte hain, To iske official website http://www.startup.bihar.gov.in/ par application process ko pura karna hoga.

Mukhyamantri Udyami Yojana – Benefits & Features

  • Is Scheme ka labh sirf SC/ ST Category ke Yuvaon ko hi diya jayega.
  • Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana ke tahat Sarkar Yuvaon ko Rojgar ke liye 10 Lakh rupaye tak Loan uplabdh karayegi.
  • Jo is Scheme ke tahat 5 Lakh Rupaye anudan ke roop me jabki 5 Lakh Rupaye interest-free credit ke rup me diye jayenge.
  • Yah Loan ki rashi Uuvaon ko total 84 Installment me jama karna hoga.
  • Mukhyamantri Udyami Yojana ke liye Bihar Sarkar ne 102 Crore Rupaye ka budget rakha hai.
  • Is Yojana ke madhyam se Schedule Caste & Schedule Tribes ke Yuvaon ki aarthik sthit me shudhar aayega.
  • Aur is Scheme ke jariye Rajya me berojgari me kami aayegi, Aur logo ko Rojgar milega.

Mukhyamantri Udyami Yojana Bihar Eligibility Criteria

  • Must be a permanent resident of Bihar.
  • The age of application should be 18 to 40 years.
  • Applicant must be of scheduled caste or scheduled tribe.
  • Intermediate, ITI, polytechnic level educational qualification can apply under this scheme.
  • Applicant’s ko Partnership, Proprietorship, Limited Liability Partnership or Private Limited Company ke antargat register hona anivarya hai.

Required Document – Mukhyamantri Udyami Yojana Bihar

  • Applicant’s Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Caste Certificate
  • Educational Qualification Certificate

How to Apply for Bihar Mukhyamnatri Udyami Yojana?

Is Yojana me aavedan karne ke liye ichhuk labharthi niche bataye gye steps ko follow karke online application form bhar sakte hain.

  • Niche ke link se Bihar Mukhyamantri Udyami Yojana ke official website par jayen.
  • http://www.startup.bihar.gov.in/CMSCSTUDYAMI/Default.aspx
  • Website ke home page niche scroll karke (रजिस्टर करें) par click karen.
  • Click karte hi aapke samne Registration Form open ho jayega.
  • Isme puchhi gyi Details jankari ko enter karke OTP प्राप्त करें par click kar den.
  • Ab aapke register mobile number par ek OTP aayega.
  • Iske baad sabhi Important Document ko upload karen, Aur “Submit” button par click kar den.
  • Is prakar aapka aavedan pura ho jayega.

Important Links

Mukhyamanti Udyami Yojana Registration:- Apply Link

Official Website:- Click Here

Helpline Number

  • Helpline Number:- 18003456214
  • Email ID:- dir-td-ind-bih@nic.in

I hope, Aapke liye Bihar Mukyamantri Udamy Yojana se sambandhi jankari kafi upyogi raha hoga. Lekin abhi bhi aap koi samasya ka samna kar rahe hain, To diye gye Helpline No. & Email ID se contact kar sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment