Hindi Yojna Sarkari Yojna

{epds.bihar.gov.in} Ration Card Bihar List 2020 – Check राशन कार्ड Status – Apply Online

Bihar Ration Card
Written by A to Z Classes

Bihar Ration Card List 2020:- Bihar Ration Card ki registration process iske official website par shuru ho Chuka hai, Yaha se aap Bihar Ration Card List 2020 check kar sakte hai. Public distribution system se sambandhit sabhi process Bihar State Food & Civil Supplies Corporation Limited ke dwara ki jati hai. Yah Food and Consumer Protection Department, Bihar Sarkar ke dekh rekh me hai. Bihar Ration Card List 2020

Bihar me naya Ration Card banbane ke liye bahut badi sankhya me logo ne register karbaya hai. Bihar Ration Card ki list hal me hi launch ki gayi hai. Jinhe Ration Card ke liye aavedan karna hai, Ve check kar sakte hai, Ki unka naam List me hai ya nahi. Yaha diye gaye direct link ki madad se aap Ration Card ka Status check kar sakte hai.

Halanki, Aap me adhikansh logo ne Bihar Ration Card List check kar li hogi. Lekin jinhone abhi tak check nahi ki hai, Ve yaha se list check kar sakte hai. Bihar Ration Card ka list iske official site par jari ki gayi hai, Jise aap yaha diye gaye direct link ki madad se check kar sakte hai. EPDS Bihar ration Card status district wise, category wise

To jaisa ki aap sabhi jaante hain ki ab Ration card ke liye form Jivika Didi dwara liya ja raha hai aur yadi aap is list ko check karna chahte hain to aap check kar sakte hain. jivika ration card list

बिहार में जीविका के द्वारा राशन कार्ड फॉर्म भरा जा रहा है जिसके लिए न्यू लिस्ट जल्द ही ऑफिसियल साईट पर जारी किया जायेगा. इसे कैसे ऑनलाइन डाउनलोड करना है उसकी पूरी जानकारी यहाँ पर शेयर की गयी है. निचे से आप बिहार राशन कार्ड के न्यू लिस्ट को चेक और डाउनलोड कर सकते हैं.

Ration Card Bihar List 2020

Bihar Ration Card List iske official website se download ki jayegi. Aap sabhi ko iske list check karne ke liye, Direct link provide kiya gaya hai, Aur Step by step method bhi bataya gaya hai, Taki aap aasaani se List me apna naam dhund sake aur Naye Ration Card ke liye apply kar sake.

Article Bihar Ration card list
Authority   Food & Civil Supplies Corporation Limited, Govt. of Bihar
Department The Food and Consumer Protection Department
Year2020
website  sfc.bihar.gov.in

Bihar Ration Card 2020 Jankari

Ration Card aamtour par ek official document hai. Yah Bihar Rajya Sarkar ke dwara jari kiya jata hai. Yah Public Distribution System se minimum rates par food grains aur dusre supplies ki kharid ke liye hai. Keval Ration card dhariyo ko PDS shops se supplies kharidne ki anumati hai.

Bihar Rajya me yah karya Bihar State Food & Civil Supplies Corporation (BSFC) dwara kiya jata hai. Is pranali ke liye pratyek rajya ka adhikar hai. Gharelu/Nagriko dwara aavedano ke aadhar par hi unhe Ration Card jari kiye jate hai. Mukhya rup se 4 prakar ke Ration Card hai, Jo har ek garib parivar ko jari kiye jate hai.

BPL, APL, AAY, and Annapurna Ration Card

  • BPL Ration cards- BPL ration card un gharo me hai jo garibi rekha se niche hai, Aur unki family income Rs2000 prati mahine se kam hai. BPL Ration Card ka rang laal hai.
  • APL Ration Cards- APL ration card garibi rekha se upar gharo me hai. Aur unnki varshik aay Rs.24000 / – se kam hai. APL Ration Card ka rang nila hai.
  • AAY Ration cards- Anthyodaya Anna Yojana (AAY) ration card garibo ke liye hai. Yah unke liye hai, Jo sabse jyda garib hai. AAY Ration Card ka rang Pila hai.
  • Annapurna Ration cards- Ye ration card purane jamane logo ke liye hai. Rajya ke ve pensioners. Jin logo ne pahle aavedan kar diya hai ve Ration Card List ki online check kar sakte hai.

बिहार राशन कार्ड लिस्ट डाउनलोड 2020

Bihar Sarkar garib praivaro ke liye ek naye Ration Card jari karne ja raha hai, Jo bhi BPL, APL, AAY, Annapurna ke garib parivaro ke log hai, Ve niche diye gaye Link se iska Ration Card List check kar sakte hai, Jisme aap check kar sakte District Wise apna Name, Aur fir iske liye Application form bhi kar sakte hai.

Bihar Ration Card list check karne ke liye niche diye gaye Steps ko follow kare, Aur yah bhi check kar sakte hai ki Aapka Naam application form accept hua hai ya nahi, List check karne ke liye aap Official site par Login bhi kar sakte hai.

How To Check the Bihar Ration Card List Online?

Bihar Ration Card list check karne ke liye aap niche diye gaye Link aur Steps ko follow kar sakte hai.

  • Sabse pahle iske Official site official website par visit kare.
  • Bihar State Food & Civil Supplies Corporation Limited, Govt. of Bihar i.e.- http://epds.bihar.gov.in/
  • Iske Homepage par aap sabhi Ration Card List check kar sakte hai.
  • District name bharne ke bad, Show button par click kare.
  • Agar aap village me rahte hai to Rural dabaye, Aur shahar me hai to Urban dabaye.
  • Aur fir apne Village name par click kare.
  • Apne Family Head ke name par click kare.
  • Aapko apna sara List mil jayega.

Documents Required

  • Address proof of the candidate
  • A passport-sized photograph
  • Income certificate by the authority.
  • Other documents

Bihar Ration Card Ke Liye Apply Kaise Karen?

Bihar Ration Card Application Form apply karne ke liye niche diye Steps ko follow kare:-

  • Niche diye official site ke link se iske liye Application Form download kare.
  • Application Form Download karne ke bad use thik se bhar den.
  • Form bharne ke bad, Sare Documents upload kar den.
  • Apne najdiki Block me jakar form jama kar den.
  • Vaha se aap iska Application form jama kar sakte hai.
  • Aur kuc hi din bad Aapko naya ration card mil jayega.

Ration Card ke liye safltapurvak application form bhane ke bad ve official site par online Ration Card status check kar sakte hai. Ration Card ke madhyam se Online Services sfc.bihar.gov.in par uplabdh hai. Rarion card ki status janne ke liye upar diye gaye Steps ko follow kar sakte hai.

Yadi aapko abhi bhi Bihar Ration Card List check karne me problem aa rahi hai, To aap niche apna problem comment me puch sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

8 Comments

Leave a Comment