Contents
BSCC Scheme 2023 Apply Online:- Hello Friends, Jaisa aapko pata hoga ki Bihar Sarkar ne Bihar Students Credit Card Yojna (BSCCS) ki shuruaat ki hai. Jiske tahat 12th Inter Pass kar chuke Students ko higher education ke liye Financial Help ke roop me Sahayata Rashi pradan ki jati hai. Aaj ke samay me State bhar me bahut se aise Students hain, Jo apni aarthik sthiti kamjor hone ke karan 10th ya 12th Pass karke Graduation ki Degree hasil nahi kar pate hain. Isi samasya ko dhyan me rakhte huye Rajya Sarkar ne Bihar Students Credit Card Yojna ko launch kiya hai.
Isliye aaj ke is article me ham aapko batayenge ki aap BSCC Scheme ke liye aavedan kaise karen, Yah kya hai. Is Yojna ka labh kya hai, Ityadi jankari is page me provide karaya gya hai. Aap bhi ek Bihar ka Students hain, Tab aapko is post ko last tak padhne ki salah di jaati hai. Taki Higher Education prapt karne ke liye aasani se is yojna ka labh utha saken.
Bihar Students Credit Card Yojna 2023
Bata den ki Bihar Students Credit Card Yojna ki shuruaat Bihar ke Mukhyamantri Nitish Kumar Ji ke dwara 2 October 2016 ko Bihar ke Chhatron ko Higher Education ke liye Loan uplabdh karane ke liye kiya gya tha. Is Yojna me Bihar Sarkar Garib Chhatron ko 12th Intermediate Pass karne ke baad aage ki Padhai ke liye 4 Lakh Rupaye tak ka Loan Financial Help ke roop me pradan kar rahi hai.
Agar Rajya ke jo bhi ichhuk Students is Yojna ke tahat Higher Education prapt karne ke liye aavedan karna chahte hain, Ve is Scheme ke official portal par jakar online aavedan kar sakte hain. BSCC Scheme ke tahat Loan lene bale Students ke liye sabse khas baat hai ki unhe kisi prakar ko koi Byaj nahi dena hoga.
Kyonki BSCC Scheme ko lagu karne ke liye Sarkar ne Education Finance Corporation (शिक्षा वित्त निगम) ki Sthapna ki hai, Jisse is Students Credit Card Yojna ko State bhar me saphaltapurvak chalaya ja sake. Jiski saari jankari jaise Application Process, Eligibility, Important Document Ityadi is page me pradan karaya ja raha hai.
Students Credit Card Yojna 2023 – Overview
Name of Scheme | Bihar Students Credit Card Yojna 2023 |
Launched by | Chief Minister of Bihar |
Launch Date | 2016 |
Beneficiary | 12th pass students of state |
Objective | Students ko Higher Education ke liye Loan Pradan karna |
Loan Amount | 4 Lakh Rupees |
Application Process | Online |
Online | www.7nishchay-yuvaupmission.bihar.gov.in/ |
Benefit of Bihar Students Credit Card Yojna 2023
- Is Yojna me State Government Manyata prapt Colleges se 12th Paas kar chuke Students ko Higher Education jaise BA, B.Sc ki Degree prapt karne ke liye 4 Lakh Rupaye tak Loan pradan karegi.
- BSCC Scheme ke tahat loan lene bale Students ko koi byaj nahi dena hoga.
- Iska labh mukhya roop se un Students ko pradan kiya jayega, Jo aarthik sthiti kamjor hone ke karan Higher Education ki Degree nahi prapt kar pate hain.
- Is yojna me educational institutions ke fee ke sath khane pine jaisi sabhi sambandhit kharche ko shamil kiya jayega.
- BSCC Yojna ka labh lene ke liye ichhuk Students official site par jakar online aavedan kar sakte hain.
Bihar Students Credit Card Yojna Course List
- BA, BSc, B Com
- BCA, BSc IT, Computer Applications, Computer Science
- BSC Agriculture
- BSC Library Science
- BSc, BHMCT, BTech, Hotel Management
- Diploma in Hotel Management
- B.Tech, B.E., B.Sc.
- BSC Nursing
- Bachelor of pharmacy
- BVMS
- BAMS
- BUMS
- BHMS
- BDS
- GNM
- Bachelor of mass communication
- BSC in Fashion Technology
- Bachelor of Architecture
- BPED
- B.Ed.
- MSc, MTech
- Bachelor of Physiotherapy
- Bachelor of Occupational Therapy
- Diploma in food processing, food production
- Diploma in Food and Viverage Service
- BA, BSc, B.Ed, Integrated Course
- BBA
- BFA
- Diploma in Food, Nutritionist, Dietetics
- MBBS
- BL, LLB
- Aalim
- Shastri
- B.Tech, B.E, (State Level Education council se Manyata Prapt Institute me 3 varsh Diploma me Namankit)
Eligibility for Bihar Student Credit Card Scheme 2023
- Students Bihar Rajya ka ek permanent nivashi hona chahiye.
- Students jis College me Padh raha ho vah State ya Central Government dwara Manyata prapt ho.
- Scheme ka Labh lene ke liye Students 12th Paas hona chahiye.
Required Document For Students Credit Card Yojna 2023
- Aadhar Card
- PAN Card
- 12th Certificate and Marksheet
- Residence Certificate
- Income Certificate
- Bank Passbook
- Mobile Number
- Certificate of admission in higher educational institution
- 6-month statement of parent’s bank account
- Two photos each of student parents and guarantors
- Identity Card (Aadhar card, Driving License etc.)
How To Apply For Bihar Students Credit Card Yojna 2023 Online ?
Yadi jo bhi garib ya aarthik roop se kamjor Students apni aage ki padhai jaari rakhne ke liye Bihar Students Credit Card Yojna 2023 ke tahat 4 Lakh Rupaye tak ka Loan prapt karna chahte hain, To vah Planning and Development Department and Labor Resources Department ke official site par jakar online aavedan kar sakte hain, Aavedan karne ke liye niche step by step tarika batlaya gya hai.
- Aap niche diye gye link se Education Department ke official site par visit karen.
- https://www.7nishchay-yuvaupmission.bihar.gov.in/
- Home page par jakar New Applicant Registration bale option par click karen.
- Screen par Registration Form open ho jayega.
- Registration Form puchhi gai details ko sahi se bharen, Aur Yes ya No par click karke Send OTP par click kar den.
- Iske baad Register Mobile No. par aaye OTP ko enter karen.
- Ab Screen par 3 option dikhai denge, Jisme se aapko Student Credit Card par click karna hai.
- Click karte hi Application Form open ho jayega, Isme puchhi gayi saari details jankari ko enter karen, Aur Submit bale button par click kar den.
- Is tarah se aapka Aavedan Successful ho jayega, Last me aapko ek User ID & Password mil jayega, Jo Mobile Number ya Email ID par bheja jayega.
Official Site:- Click Here
How To Check Students Credit Card Yojna Application Status
- Apni application status check karne ke liye Official Site par visit karen.
- Home page se Application Status bale option par click karen.
- Screen par ek page open hoga, Registration No. Ya Aadhar Number, DOB aur Capcha Code enter karke Submit par click kar den.
- Ab aapke screen par Application Status open ho jayega, Aap check kar sakte hain.
Aap is tarah se Bihar Students Credit Card Yojna 2023 ke liye online aavedan kar sakte hain. I, hope ki aapke liye yah article kafi Useful raha hoga. Yadi aapke man me abhi bhi is Scheme se judi koi saval hai, To niche comment box ke jariye puchh sakte hain.