Contents
BRABU PG Entrance Test 2020: Hello Students, Babasaheb Bhimrao Ambedkar University ne PG me admission ke liye Entrance Test ka notification jaari kar diya hai aur ab aap iske liye online form bhar sakte hain. To yadi aap bhi BRABU ke PG course MA MSC MCOM me Admission lena chahte hain session 2019-21 ke liye to aap iske liye online form bhar sakte hain. Ise online BRABU ke official site se bhara jana hai. Aapko bata den ki 26 Feb 2020 se online form start hoga aur ise aap brabu.edu.in se bhar sakte hain. Niche is se related puri jankari hindi me di ja rahi hai. Iske important dates aur online form bharne ki step by step jankari bhi niche update ki ja rahi hai.
BRABU PG Admission 2020
To yadi aap bhi BRABU me MA, M.Sc and M.Com course me admission lena chahte hain to aap iske entrance test ke liye online form bhar sakte hain aur uske baad result hone ke baad aap iske college me admission le sakte hain. Yaha par admission test 2020 se related puri jankari share ki gyi hai. Iska Aplication 26 feb se start hoga raha hai aur ise 6 March 2020 tak bhara ja sakta hai bina kisi late fine ke. Online form bharne ki puri process BRABU ke official site se hogi. Niche is se related dates ko share ki gyi hai.
BRABU PG Admission Important Dates
Notification | 20th February 2020 |
Start Date | 26th February 2020 |
Last Date | 6th March 2020 |
Admit Card Release Date | 1st week of March |
Result ya Merit List | 1st week of April |
How to Fill BRABU PG CET Application Form?
- BRABU ke official site par visit karen.
- Uske baad “PG Entrance Test 2019-21“ ke link par click karen.
- Naya page open ho jayega.
- Ab New Registration Par click karen.
- Puchhi gayi sabhi details bharen.
- Iske baad Submit kar den.
- Photo aur signature upload karen login karne ke baad.
- Payment karen.
- Aur Final submit kar den.
- Ek print out jarur le len.
BRABU PG Admission Test Exam Pattern
Paper | Marks |
General Aptitude Test [ Paper 1 ] | 50 Marks |
Subject Related [ Paper 2 ] | 150 Marks |
PG Courses in BRABU
- M.A. Hindi
- M.A. History
- M.A. in Political Science
- M.A. Sanskrit
- M.Com
- M.A./M.Sc.Mathematics
- M.A. Arabic
- M.A. Bengali
- M.A. English
- M.A. Hindi
- M.A. History
- M.A. Persian
- M.A. Philosophy
- M.A. in Political Science
- M.A. Punjabi
- M.A. Sanskrit
- M.A. Urdu
- LL.B.
- LL.M.