Breaking News: Bihar Board ke taraf se ek badi khabar nikal ke aa rahi hai ki Bihar Me padhne bale sabhi student jo calss 1 se class 11 tak ke hain, ve bina exam diye hai pass kar diye jayenge aur aisa sirf lockdown ke chalte ye kadam uthaya ja raha hai. Lekin ye class 10 par lagu nahi hoga kyonki class 10 ka exam liya ja chuka hai aur ye board exam hota hai to isme bina exam ke pass nahi kiya ja sakta hain. Jaldi Bihar Board Matric Ka Result 2020 Jaari kiya jayega jise aap online download kar payenge.
To niche ke news me jaisa ki aap dekh sakte hain ki isme bataya gya hai ki class 1 se 11 tak ke sabhi student pass kar diye jayenge bina kisi exam ke. ye news Hindustan paper se liya gya hai aur ye official news hai.
Bihar Board Ke Sabhi Student Honge Pass
To aapne jaan liya ki ye news kyo di gyi hai aur kya karan hai ki Bihar Board ke sabhi student ko bina exam ke pass kiya ja raha hai. To jo log lockdown ke karan padhai nahi kar pa rahe the unhe ab chinta karne ke jarurat nahi hai kyonki bihar board ne bada kadam utha liya hai.